Chap.28

206 7 3
                                    


Kasra Kadar Raat Ke Taron Se Roshan hui thi bharpur sajavat aur sunehre a spry paint Shuda asli Gulab roshniyan or keh kahe vo Sab Gol mezo ke ird gird khade the gol meze Itni Unchi thi ki sine Tak Aati thi or unchi kursi ya

Ek table par tag laga tha yusuf's
Or waha wo Charo he khare the
Saadi haneen usama or zumar

Sirf akeli haneen ka frock sunehri tha usama or saadi ne siyah suit pehen rakhe the or zumar ki to vaise he aadat thi siyah rang ki

Tasuf saChehra liye ghunghriyali Lat ungali par lapait te zumar samne dekh rahi thi siyah lambi kameez or khando par siyah he dupatta tha

Haneen ke Baal French choti main bandhe they or wo gor se ati jati larkion ke pair dekh rahi thi

Ameer larkion ke chehre Jaise bhi ho pair Bala ke haseen hote hai or haneen to chehra dhole bohot hai
Or usne sochte apne pair frock ke niche chhupane ki nakam koshish ki

Usama bohot he purjosh tha use sabse ziyada khushi apne doston ko batane ki thi ke uske ameer cousin ka ghar Kaisa hai

Haneen ne ammi ko bary Abba ke pas chor dete hai kehte hue zumar ki Raye li kyu phopho or Saadi zumar ki waja se inkar na kar saka or usama Jo sath ane ki izajat de di isleye usama bar bar raste main apna or kardar ka rishta pochta Aya tha

"Hashim bhai hamare kiya lagte hai "

"Dekho usama hamare Dada ne 3 shadiya ki thi pehli Biwi Se Ammi aur Waris mamu they jinki biwi Sara Khala Hai Pata Hai na unka or dusri biwi se faris mamu or Jo hamari dusri Nani thi unke bhai orinzeb kardar the
Hashim bhai ke abbu "

"Yani faris mamu or hashim bhai first cousin hue "

"Bikul magar hamare first cousin nahi hai vo hamare kuch nahi lagte "

"Phir wo hame kaise jante hai? "

"Uff sem.. Khoon ka rishta nahi hai
Magar ammi ki souteli Maa ke bhatiji hai to rishtedar to lage naa Ab Dobara mat puchna "

"Magar wo zumar phopho ko kaise jante hai? "

"Hashim bhai aur Zumar phopho Vakeel Hai Ek Sath kam Karte Rahe Honge ISI Tarah Shayad"

"To Hashim bhai ne sara khala ko kyon Nahin Bulaya ?

"Ufff Mujhe kya pata Sara khala to vaise bhi ab Kisi Se zyada milti julti Nahin Hai hamen bhi kabhi kabhi bulate hain "

"Pehle kab bulaya Main to nahi Aya kabhi hashim bhai ke ghar "

Sem ko to gham Lag Gaya

"bas Chand Ek Bar gaye the ham Unki Taraf bhai aur Main Ab chup Karke batho "

Usk Baat tal Di aur BA Mushkil sem ko Khamosh karaya Magar party Mein Aa kar vo vakai Khamosh ho gaya tha ye duniya uski duniya se bikul alag thi or use bilkul bhi maza Nahi a raha tha

" Katto "
usne haneen ke kareeb sargoshi ki

"Ye Hashim bhai "
Dur Kisi Se hanskar baten Karte Hashim ki taraf Ishara Kiya
"itne artificial Lagte Hain Na

" Ullu Ishare Mat Karo "

Use jaldi se sem ka hath dabaya albatta Chehre Ke Rang Badal Gaye voh hashim ko dekh bhi na pa rahi thi Dil Mein khauf alag Agar kisi ko pata chal gaya to

______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now