Chap.35

190 7 0
                                    


itwar ko sivae Suraj Ke Sab Kuchh Susti se Tullu hua tha zumar fajar ke bad soi To fir der se Uthi aur uski Aankhen abhi tak surkh thi ghoongraly Baal Hathon se sametate wo sarhane Pare phone ki taraf mutwajja hui jo baje ja raha tha
Gehri Sans Lekar usne call Le Li

"Kaheye Hashim "

Wo jo Apne Ghar Ke andruni jim Mein treadmill per Bhag raha tha be ikhteyar ruka Handsfree Kan Mein pakka Kiya aur tauliye se Chehra Khushk karte hue bola

"Main Apne Mulazim ki bevkufi pay mazrat karna chahta hun Jo Hua usmein Mera Kasur nahin tha "

Zumar ki aankhen fir se jalne lagi
Saadi ka Aakhri Chehra Yad Aaya uski Aankhon Mein Aansu the usko Pala tha Bara kiya tha usko Dukh Mein Dekh kar Dukh bar jata tha Ek Galti per Itna To Na Sunati usko
vo khamosh rahi

Toliye se gardan ki pusht ragarte jab dusri taraf se jawab na Aya to fir bola

"Par main Kisi bhi aise Vakya ki vajah se apne aur aapke working relationship ko kharab nahin karna chahta "

FIR juice ki Botal uthai aur Mu se lagayi tam tamate chehre par tanao tha aehtiyat thi

Zumar ne pair bed se utare phone kandhe aur Kan Ke Darmiyan Rakha poni Mein Bal bandhe or boli

"Mera aur apka working relationship 123 per kaiem hai Hashim 1 Ham Ek dusre ko acche se Jante Hain 2 ham Ek dusre ko bilkul Pasand Nahin Karte aur 3 is Sab ke bavjud Ham bahut Izat se ek dusre ke sath kam Karte Rehte Hain to is working relationship ko kaiem rakhne ka ye tareeka hai Ki Ham ye zahir Karen kal Kuchh Bhi Nahin hua tha "

"Durust" wo Zara sa Muskuraya

"Mrs jawaherat ka necklace mil gya? "

Aur Hashim Ki Aankhon Mein bahut Kuchh samajhti Hui muskurahat ayi

"Meri taraf se vo necklace jahannam Mein chala jaaye "

"good" zumar phone band Kiya To

vo muskurate Hue Mura nosherwa Jim main dakhil ho raha tha nosherwa raat wale libaas main tha magar Jim shirt or trouser main Hashim ko dekh kar lagta tha vo sakoon ki Nind ke bad jaga hai

"Bhai I'm sorry ye sab meri waja se hua hai "

Nosherwa ka sar jhuka tha

Hashim Ne handsfree kan se nikaalte Hue narmi se use Dekha

"Ye tumhari galti nahi hai sheru tumhen shehri ne istemal kiya hai "

Ye Naam sun kar nosherwa ke aankhon main malal ubhra uski chot ab gham ke marhale main Badal chuki thi usse agla marhala gussa aur intakam tha

"Woh Mujhe u exploit Karegi maine socha bhi nahin tha "






______________________________________

Don't forget to vote!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now