Chap.43

164 3 0
                                    

Nosherwa shooting point per Khara tha jaha gun chalana seekhte hai uski line mein putla farfara raha tha usne dono Hathon se pistol pakde Baju Sidhe kiye Ek Aankh band kiye Nishana Bandha kano per pahle hi headphone type air protection pahne Hue tha Aankhon par zard glasses
Kar usne fire Kiya Ek Do Teen Char Sab Dil Ke aas pas Lage Dil tutne aur fatne se bacha Raha

"Hath Sidha Rakho kandhe na jhatko"

Apne kareeb hashim ki awaz sun kar nosherwa ek dam chonka or mura

glasses Lagaye cap pehne Hashim usko Dekhe Bina Aage hokar Uske Hath Ko Sidha kar raha tha
Nosherwa ne sar jhatka bezari zahir Karne ki koshish ki Magar wo hashim ke ane se bezar Nahin hua tha to na nakam raha uska baju sidha Karke Hashim Piche Hata

"hmm Ab Nishana Lo Puri kuwat se "

Nosherwa ke piche khare hashim ne putle ko dekhte hue bola

Nosherwa ne putle Ko Dekha gehri Sans Sundar khenchi aur fire kiya

Dil Ab Bhi Nahin fatta wo ukta kar sar jhatak kar Ek Taraf Ho gaya

Machine ne wo putla Piche Karke fresh putla saamne kiya

Hashim uski Jagah per Aaya pistol ka upla hissa Piche Karke load kiya

" Itni Khubsurat hai main Itni Musafir ko jo tum abhi tak uska Sadma liye baithe ho"

donon Hathon Mein Pakda pistol taak kar nishane per rakhte Hue vo bola

"Wo Aapki biwi rahi hai "

Shero Sar Jhuka Kar jute se farash masalne laga wo is moju se bachna chahta tha

"Mujhe usse farak nahi parta Tum batao Tumhari vo Pasand Thi Mohabbat Thi ya Ishq thi? "

Samne Dekhte Hue Hashim Ne fire Kiya us andruni kamre main golion ki
Tartara hat Lagi yake bad digre goliyan putle ke donon Hatho per Lagi

"Is se kya Fark parta hai "

Sheru Ne bezaari Se shane uchkae

"Fark parta hai agar yh Pasandidgi thi to tumhen sham tak theek ho Jana chahie "

Kehte hue phir se ek fire kiya goli ne putle ki dono aankhon ke beech surakh kar diya

"Agar Mohabbat Thi To Kuchh Din lagenge "

Zor dar awaz se agli goli peshani par Mari

"Aur Agar Ishq tha to....."

putle ka Nishana liye nazron ke samne ek surkh Rumal Sa lehraya
Laal..........red........surkh sa Rumal

"To phir ye LA ilaj hai "

LAgli goli se Dil Fat Gaya
Hashim ne glasses utar aankhen sikor kar putle ka jayeza liya jisko le Jaya ja raha tha phir pistol ki mu ko fook Mari or usko apni pent ki piche arsa or sakoon se nosherwa ko dekha

" pasand se ziyada mohabbat se Kam"

Wo musal sal pair hila raha tha

"Ya shayad tumhen shehreen se ziyada saadi ke Kehne par istemal hone se zidaya bura laga "

Sar jhukae nosherwa ke chehre par surkhi si ubhri muthiya bhich li
Hashim ne gor se use dekha

"Saadi ko duniya main sab se ziyada kis se mohabbat karta hai Maloom haDiy"

Nosherwa ne Nazar Uthakar sulagti nazro se use Dekha

"D.A d.a zumar se "

Hashim ne asbat main sar hilaya

"Han or unke Talukat kharab ho gaye hai necklace Milne ke bad or ye or Kharab ho Jaenge jald saadi mere pass aaega Aur Main Apne tarike Se Usko Sambhal Lunga or Agar vo mere liye kam karne lag Jaega To Socho Hamara Gulam Bankar Hamen Kitna fayda dega "

"voKabhi Hamara Gulab Nahin Banega namumkin "

Or itna to nosherwa use janta he tha

"Main use andekhi janjeeron mein jakar lunga Sheru Ek Din vo Mere Liye kam karega Uska talent hamre liye kam Aana chahie "

"Matlab apko abhi bhi uski fikar hai"

Nosherwa Ke andar gusse ki ek nai lahar Dori

"vo sari zindagi Mujhse Mukabala Karta Aaya Hai Har Jagah Mujhe Piche Karke Khud Logon ki Tahsil batorta Aaya Hai Uske Samne Kabhi main Kuchh Nahin Hota Har Koi uska motarib hota hai Aakhir Kyon "

"Kyunki vo Khuddar or zaheen nojawan hai Waqar hai aur vah rishto ka pass karna bhi Jaanta hai vah Logon ke liye Acha Sochta hai aur mushkil mein Unki madad Karta Hai Insan ko Izat karvani parti hai aur you know what Main Yahan Khada hokar saadi bary main 2 ghanty or bol sakta hun magar mujhe tumhri fikar hai sheru Kyunki Mere Bhai tum ho isliye Shereen truma se niklo Aaj pura din uska sog Mana Lo aur kal Subah tum mujhe majbut Asab ke sath Wapis office main Nazar aao aur is bare mein main Maszeed Ek lafz nahi Nahin sununga "

Sakhti aur Drishti se usne Kaha to Sheru ka gussa Jhag Ki Tarah baitha

Usne " ji " kehkar Sar jhukaya Hashim Uske barabar se Guzar kar aage bar gaya sheru ne ab glasses Hath Mein pakar Rakhe the Duniya ab zyada waze Nazar a rahi thi

*shayari*
______________________________________

Ab to sara dard tham jaye
sakoon Dil ko mile
Zakhme Dil main a chuki hai
ab to gehrai bohot

______________________________________

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now