Muskan café se bahar nikli, Woh footpath ki taraf barhi, usne Zayn ko wahan khada dekha jo ek lamppost ke saath tek lagaye khada tha, adhi roshni aur andhere mein. Woh kuch dinon se usse bach rahi thi, yeh soch kar ke faasla uske jazbaat ko samajhne mein madad karega.
Zayn sidha khada ho gaya jaise hi woh kareeb aayi,
"Muskan, Mujhe baat karni hai."
"Zayn, der ho gayi hai," usne dheemi si awaaz mein kaha. Usne apni nazrein hata li, Zayn ki aankhon mein dekhne ki himmat us mein nahi thi. "Yeh sahi waqt nahi hai."
"Achha, raat toh kal bhi itni hi Hui thi jab tum Zamir ke sath has kar baatein kar rahi thi, khair mujhe fark nahi padta tum kisi se bhi baat karo. Mujhe yeh jaanna zaruri hai ke tum mujhe kyun avoid kar rahi ho? Kya hua hai?" Uska lehza sakht tha. Yeh pehli baar tha jab Zayn ne usse iss tarah ki baat ki thi.
"Kuch nahi, Zayn. Kuch bhi nahi ho raha,"
"Jhoot mat bolo. Tum mujhe bilkul avoid kar rahi ho,"
"Tum mujhe Zamir ke naam ka taana kyun de rahe ho?"
"Taana nahi de raha hun. Tum uske saath has khel kar baatein kar sakti ho magar mujhe ignore kar rahi ho. Dost to Sarah ki ho na."
"Kya kaha tumne?"
"Mera woh matlab..."
"Sahi kaha. Mein sarah ki dost hun. Aur tumhari aur meri dosti sirf Sarah ki wajah se thi," Muskan ne beech mein hi kaha, uski awaaz kanp rahi thi. "Aur ab jab Sarah ka chapter tumhari zindagi se khatam ho chuka hai, toh meri zarurat bhi nahi rahi. Isliye isse khatam karte hain."
"Toh tum samajhti ho ke yeh dosti sirf Sarah ke liye thi?" Zayn ki awaaz tez thi, uski aankhein sakht ho gayi.
"Toh aur kis wajah se hoti?"
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...