ONE

6.5K 138 17
                                    

Karachi.

𝓔𝓱𝓼𝓪𝓷 𝓣𝓮𝓻𝓪 𝓗𝓸𝓰𝓪 𝓜𝓾𝓳𝓱 𝓟𝓪𝓻
𝓓𝓲𝓵 𝓒𝓱𝓪𝓱𝓽𝓪 𝓗𝓪𝓲 𝓦𝓸𝓱 𝓚𝓮𝓱𝓷𝓮 𝓓𝓸
𝓜𝓾𝓳𝓱𝓮 𝓣𝓾𝓶𝓼𝓮 𝓜𝓸𝓱𝓪𝓫𝓫𝓪𝓽 𝓗𝓸 𝓖𝓪𝔂𝓲 𝓗𝓪𝓲

A woman humming in the song and making breakfast for the family.

Her Daughter hugged her from behind and said;

Meerab:Aap ki har roz ki gungun se mera subha bohot Accha ho jata Mama.Lekin khulke kyun nahi gaate.Jo hua usme aap ki kya Galti hai.
Anila:In sab ke pise asal wajah mein thi beta.Yeh mera gana hi tha.Is wajah sab se jyada mushkil tumhari baap ne jhela hai.
Meerab:Galti na aap ki thi Aur na baba ki.Galti Hydrabadwalo ki back dated soch ki thi.Kya ho jata agar woh log apko apna kar bahu ka rutba de dete to.Unka kya bigad jata aisa karne se.
Anila:Unki unchi shan o shaukat pe fadak padta.
Meerab:Nahi Mama unki jhoti aana ko fadak pada tha.Aap mein kami kya thi batai Mujhe?Bas itna hi aap khandan se bahar thi yaa Phir aap ka bahar kam karna?
Anila:Dono hi beta.Khan parivaar apne Khandan se bahar rishtan nahi karte Aur dusra mera radio pe gaana gana.Woh kehte hai unke ghar ke bahu ki bina parde ke ghar ke angan mein bhi kadam nahi rakhti Aur mein puri Duniya ko apni awaz sunati hu.
Meerab:Woh aap ki sokh thi.Agar aap ko qala mili hai Aur woh qala ka istemal aap kar rahi hai to isme galat kiya hai.
Anila:Tum nahi samjhoge beta.Unki kuch usool thi Aur rewayat bhi is liye unhone Mujhe kabhi nahi apnaya.Lekin Mujhe is baat ka koi shikwa nahi hai.Tumhare baap ne to mera sath kabhi nahi choda.Dekho na shaadi karke hum Karachi chale aaye Phir kabhi hum Hydrabad nahi laute.Jis jaga Meri izzat afzai ho waha tumhare baba Mujhe kabhi leke nahi gaye.
Meerab:Bohot Accha decision liya tha baba ne jo hum Hydrabadwalo se dur rehte hai.Mein kabhi mili to nahi par itna samaj sakti hu bade toxic log honge woh log.Hum to humari choti si Duniya mein khush hai.
Anila:Waise tumhe Saba ki sagai pe nahi jaani.
Meerab:Haa mama jani hai.Best friend ki engagement miss kaise kar sakti hu.Pehle mein bahar jaungi phool ka jo order diya tha woh lene.Waha se direct venue pe.
Anila:Dyan se jaana Aur waha pochke mujhe call karna.
Meerab:Meri karne se Pehle to aap kar loge.Chalte hai Mama.Allah Hafiz.

Meerab left the home to pick up the flowers with her scooter.

While returning from the flowers shop,Suddenly a car bumped her and broke her headlight.

Meerab is about to fall but somehow she managed herself.

She get off the scooter and goes towards the car.She knocked on the Car's door and said;

Meerab:Bahar niklo.

A man in 3 suits comes out from the car and takes off his sunglass and said;

"Kya problem hai?"

Meerab:Mujhe takkar marne ke baad yeh keh rahe ho ke problem kiya hai?Gari chalate waqt ankhen kiya kahi girvi rakke aaye ho.

This man coming towards her and said;

"Murtasim khan se koi Galti nahi hui hai.Galti tumhari hai.Agar chalana nahi aata to scooter leke bahar kyun nikle ho?"

Meerab:Ek to churi upar se seenazori.Galti khud ki hai Aur kasurwar tum Mujhe thehra rahe ho.Tumhe gari chalane ke Tamiz nahi hai to tum bahar kyun nikle.
Murtasim:Aye ladki!
Meerab:Meerab naam hai mera.Zara adab se Aur tehzib se baat karo yaa Phir ghar se kisi ke sath baat karne ki Tamiz bhi nahi sikhai.
Murtasim:Aab tum had se jyada baat kar rahe ho.
Meerab:Meri zuban meri marzi.
Murtasim:Sab samaj mein aata hai kiya chahiye tumhe.Tum jaisi ladkiyan expensive car dekhi nahi to waha jaanbuj ke takkar marti ho taki Kuch paise lee sako.Sab paise lutne ka dhanda hai tumhara.

Murtasim takes some money from his wallet and said;

Murtasim:Yeh lo paise.Apni nuksan ki bharpayi kar dena.

Murtasim Put the money on her palm and about to leave.

Meerab takes a bamboo stick and broke his car's front glass.

Murtasim:Tum pagal ho kiya?yeh kiya kya tumne.
Meerab:Hisab barabar.Tumne mere scoter ka headlight tod di to maine tumhari gari ka shisha tod diya.

Meerab put his money on his palm and said;

Meerab:Yeh paise dene ke wajai kisi se majrat karna sikh lena.Zindegi mein bohot kam ayega.
Murtasim:Tum..
Meerab:Meerab naam hai mera.Kabhi bhulna maat Mujhe Aur nahi yeh sabak ko.

Meerab started her scooter and left from there.

Murtasim:Aaj ki yeh wakiyat bohot badhi padegi tum par.Kabhi nahi bhulonga tumhe.Kabhi nahi.

In the engagement venue.

Meerab coming to Saba and said;

Meerab:Bohot pyari laag rahi hai?
Saba:You too.Itni der kyun kar di?
Meerab:Kuch nahi bas raste mein ek pagal takra gaya.Is wajah se der ho gayi.
Saba:Kya bole jaa rahi hai Mujhe to kuch samaj mein bhi nahi aa raha.
Meerab:Sab tafsil se kahungi.Filhal enjoy your day.
Saba:Waise kisi ke nazar tum par hi hai?
Meerab:Kiska?
Saba:Ruhail Aur kiska.Zara ihtihad se kya pata aaj propose hi kar de.
Meerab:Aise keh rahi ho jaise mein intezar mein beithi hu kab woh Izhare mohabbat kare mujhse Aur mein khushi woh manlu.Mujhe Ruhail mein koi interest nahi hai.
Saba:Bura kya hai usme?
Meerab:Bura to nahi hai Lekin Mujhe woh pasand nahi hai.Aur is bade mein Ek Baat Aur maat kehna.
Saba:Ok baba.

Hydrabad.

Murtasim angrily entered his room and takes off his blazer and throw it in the floor.

Haya takes it and said;

Haya:Itna gussa kis pe aa raha hai?
Murtasim:Tumse Matlab?
Haya:Mujhe tumhari fiqr hai Murtasim.
Murtasim:Aur tum Mujhe do ankh nahi pasand.Niklo abhi isi waqt yaha se.Yeh mera kamra hai koi public property nahi ki jab maan chahe chali aana.Ayenda yaha aane se Pehle meri izazat lena Phir aana.Aab dafa ho jao mere nazron ke samne se.
Haya:Murtasim tum...
Murtasim:Nikalte ho yaa dhakke dekar nikalu.

Some tears gathered in the corner of the eyes and Haya left the room.

Murtasim recalled his meeting with Meerab and clenched fists and gritted teeth in anger.

[How's you like the chapter,Don't forget to give me your feedback]

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now