Anwar Khan is in big dilemma what to do.He sat on the sofa and talking to himself;
Anwar:Bhabi begum ki jid ko bohot acche tarha se janta hu mein.Agar unki zehen mein yeh baat aa gayi ke Murtasim Aur Meerab ki shaadi karni hai to woh har haal mein shaadi karwake rahenge.Agar kisi bhi tarha yeh shaadi na ho to woh Meerab ka yaha rehna Mushkil kar denge.Murtasim bura ladka nahi hai.Ha gussewala hai Lekin gusse ke ilawa aur koi buri adat nahi hai uska.Meerab ko khush rakhega woh.Mujhe meerab ko manana hoga uski bhale ke khatir.
In the next day.
Anwar khan comes to Meerab's room and said;
Anwar:Beta mein jo kehnewali ho woh zara gor se sunna Phir acchi tarha soch ke jawab dena.
Meerab:Bole chachu.
Anwar:Bhabi begum chahte hai tumhari Aur Murtasim ki shaadi ho jai.Meerab drop off her phone from her hand.She can't believe what she heard now.
Meerab:Kya?Lekin Murtasim ki mangni to haya ke sath hui hai.
Anwar:Yeh tumne kisne bataya.Yeh sach nahi hai..Murtasim ko to kabhi bhi Haya pasand nahi tha to mangni kaise hogi.Tumhe koi Galatfehmi hui hogi.Rishtan tumhare liye aaya hai.
Meerab:Mujhe Inkaar hai.
Anwar:Acche tarike se soch ke jawab do.Mujhe nahi pata tumhare sath murtasim ka masla kiya hai Lekin Mujhe pata hai woh bura ladka nahi hai.Bohot khush rakhega tumhe.Agar tumhari shaadi gadde ki jaanashin se hogi to beta yaha pe hukmrani tumhari hogi.
Meerab:Mujhe nahi Zindegi barbad karna uske sath.Aur qaid ki malika bhi qaidi hote hai chachu.Yaha mera dam ghut ta hai.Puri Zindegi aab mein yaha guzarne ka faisla lu woh na mumkin hai.Aur Mujhe pura haq shamil hai apni marzi se niqah karne ka.Koi Mujhe zabardasti nahi kar sakta.Agar koi zabardasti kare bhi to mein is ghar chodke chali jaungi.
Anwar:Beta aisa maat kaho.Kaha jaoge tum?
Meerab:Kahin na kahin to apna thikana jarur dhund lungi jo is qaidkhane se lakh behtar hogi.
Anwar:Yaha se jane ke bade mein sochna bhi maat.Tumhe meri kasam.
Meerab:Chachu.
Anwar:Thik hai nahi hoga yeh shaadi.Tum yehi rehna.Koi zabardasti nahi hoga.Mein hu na.Anwar left from the room.
In the terrace.
Meerab looking down from there.Murtasim comes to her and said;
Murtasim:Khud khushi ka irada hai?Karlo Lekin aaj nahi kisi acche se din dekkar shokh se mar jana.
Meerab:Kis khushi mein mar jau?
Murtasim:Mujhse shaadi hone ki khushi mein.
Meerab:Really!Tumhe lagta hai yeh shaadi hogi?Tum agar is Duniya ke akhri mard bhi hue na Phir bhi mein tumse shaadi nahi karungi.
Murtasim:Mujhe bhi tum jaisi Baittamiz magrur ladki se niqah nahi karna.Lo ho gaya Inkaar pe Inkaar.
Meerab:To jake aap ni maa se kaho tum is shaadi nahi karna chahte.
Murtasim:Mein kyun kahu tum jake bolo.Tum to bahadur ho na.Tum to kisi ke baap se bhi nahi darti.Aab kya apni shaadi se Inkaar karte waqt dar laag raha hai?Agar dar laag raha hai to saf saf bol do.Mein maa ko apna faisla bata dunga.Tumhe zehmat karne ki zarorat nahi.
Meerab:Apni ladai Mujhe khud ladna pasand hai.Agar Mujhe tum pasand nahi to Inkaar bhi mein hi karungi.Tumhe zehmat karne ki zarorat nahi.
Murtasim:To karlo jake inkaar.Jo tumhari faisla hai woh bhi mera faisla hoga.Meerab goes downstairs.
Meerab comes to Maa begum and said;
Meerab:Mujhe apki bete se shaadi nahi karni.
Maa begum:Wajah?
Meerab:Mujhe woh pasand nahi.Aur aap mere sath koi zabardasti nahi kar sakte.Agar karne ki koshish bhi karenge to mein bardast nahi karungi.
Maa begum:Aaj tumhari muh se apni maa ki badbu aa rahi hai.Woh bhi Bilkul aisi hi thi.Ek Baat kiya use keh diya tha usne to Waqas ko apni baton se uljha kar apne sath leke chali gayi thi.Tum bhi Bilkul aise hi ho.
Meerab:Sunke Accha laga mein meri bahadur maa ki bahadur beti hu.Jo nahaq baat pe kabhi Khamosh nahi rehti.Mujhe to fakhar hai is baat pe.
Maa begum:Maa ne behes karna sikhai Lekin Tamiz nahi sikha payi.Phir bhi mera bada dil dekho tumhari sari galtiyon ko nazar andaz karke apni bete ke liye muntakhib kiya hai.Tumhe to shukar guzar hona chahiye humara.
Meerab:Khud ki barbadi ko dawat deke koi Bewokuf hi apne liye khushiyan lata hai.Lekin mein woh Bewokuf nahi ho.Mujhe aap ki bete pasand nahi to nahi hai.Yeh shaadi hargiz nahi hogi.Mujhe apne khandan ki kamjur aurat samajhne ki Galti maat kijiyega.Mein kamjur nahi hu.Mujhe apne haqok ke liye ladna aata hai.
Maa begum:Shaadi to tumhe karni hi hogi.Murtasim se ho yaa kisi Aur se.Tum mere ghar mein mere nigrani mein ho.Aur tumhari Zindegi ka faisla lene ka haq bhi Mujhe hai.Tayar rehna shaadi to tumhari hoke rahegi.
Meerab:Aap to ek maa hai na Mujhe laga aap mein mamta hogi Lekin woh bhi meri Galatfehmi thi.Aap sirf naam ke maa begum hai.Maa ka mamta to aap mein hai hi nahi.Saying this one,Meerab left from there.
Meerab coming her room and closed the door.She sat on the floor and cried.
"Mujhe is zalim Duniya mein akela chod kar kyun chale gaye ho Mama baba.Koi mera yaha apna nahi hai.Sab mujh par hukmrani karna chahta hai.Koi Mujhe mere marzi nahi puch raha.Koi nahi keh raha meerab kya chahti hai.Jaise aap mere Zindegi ki har faisla lene se Pehle puchte the.Yeh Duniya badi zalim hai.Aur insaan ka fitrat tab jyada pata chalta hai jab uske sad pe waldain ka saya na ho."
She fall asleep on the floor while crying.
In the next day.
Meerab collides with Murtasim.She ignore him but he holds her hand and said;
Murtasim:Shaadi mein Inkaar ke jaga razi kiya sochke ho gayi.
Meerab:Soch samaj ke faisla liya hai maine.Tumme Inkaar karne ki himmat nahi thi to socha mein hi haa kehdu.
Murtasim:Achanak haa kehni ki wajah kiya hai?
Meerab:Yateem hu upar se ek akeli ladki.Yaha ki ilawa koi tikhna nahi hai mera.Apni sad pe chad rakhne ke liye Mujhe yeh faisla lena pada.Tears drop off her eyes.Murtasim sees it and for the first time he feels a unknown pain to see her tears.
Meerab:Tum shaadi nahi karna chahte ho to beshak Inkaar kardo.
Murtasim looks at her.
YOU ARE READING
𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕
FanfictionAnother Meerasim plot from my imaginary world. Ranking #83 Pakistan out of 76.3k stories.