SEVENTEEN

2K 101 5
                                    

Murtasim brings a beautiful necklace for Meerab.

Meerab:Yeh kya hai?
Murtasim:Tumhari muh dikhai.
Meerab:Muh dikhai?Pehli dafa dekh rahe ho kya Mujhe?
Murtasim:Yeh wohi tohfa hai jo har biwi ko uska shohar shaadi wale raat deta hai.Lekin humari shaadi aisi halat mein hui thi ki us waqt mein Kuch de nahi paya.Is liye aab dee raha hu.
Meerab:Mujhe aisi tohfe ka shok nahi hai murtasim.
Murtasim:To kya chahiye aap ko?
Meerab:Tumhara sath se jyada kimti chij Aur Kuch ho sakta hai bhala.
Murtasim:Mein to hu tumhare sath har sukh mein har dukh mein.Zindegi ki har maqam pe Mujhe apne sath khade paoge.
Meerab:Agar Zindegi mein aise mod aaye ki tum mera sath na de sako to kya hoga?
Murtasim:Aisa Kuch hoga nahi Insha Allah.Mein qayamat tak tumhari sath deta rahunga.Pata hai meerab tum khamoshi se mangi hui dua ho mere.Jis ka mohabbat pane ka dua to maine kiya tha par woh dua itni jaldi Qubool ho jayegi pata nahi tha.
Meerab:Aur tum mere khuda ke diye hui tohfa ho  jo Shayed Mujhe kisi neki ke badle mile hai.
Murtasim:Shukriya Mujhe Aur is rishten ko dil se apnane ke liye Aur Mujhe tumhare qarib aane ki izazat dene ke liye.
Meerab:Agar us raat mein tumhe rukh  deta to tum kya karte?Zabardasti karte mere sath?
Murtasim:Zabardasti to marke bhi nahi karta.Meerab mein jitna tumse mohabbat karta hu usse kahin jyada tumhare aur tumhari marzi ki ihteram karta hu.Agar us raat tum Mujhe rok dete to mein usi waqt ruk jata.Manta hu khud ko qabu karna mushkil hota.Aur takleef bhi hota Lekin mein tumhare marzi ke begair kuch karke tumhara aitbaar nahi todna chahta tha.Tumhare taraf se izazat mila is liye mein age bada.Agar izazat na milta to bhi thik hai.Mein kuch bhi karke tumhare maan mein yeh khauf nahi dal sakta tha ki tum mehfoj nahi ho mere sath.
Meerab:Sach mein Kuch to neki kiya tha maine jo aise shaks ka sath Aur mohabbat mila hai.Aur mein Bewokuf shaadi se bhagna chahti thi.
Murtasim:Bhag bhi gaye the.Woh to kismat acchi thi tum waqt se Pehle mil gayi.Agar us din tum chali jati to mein ek anmol khazane ko kho deta Aur Mujhe pata bhi nahi chalta.Tumse shaadi ke baad hi dil tumhare liye qayel hone laga Aur kab mein ishq mein giraftar ho gaya pata bhi nahi chala.
Meerab:Humara ek hona kismat ko manzur tha.Aur kismat mein likh diya gaya hai woh to hoke rehta hai.Kismat ki lakir ko koi mita nahi sakta.
Murtasim:Khuda ka jitna Shukriya ada karu utna kam hai ke unhone mere kismat mein tumhe likh diya hai.

Murtasim kissed on her forehead.Meerab closed her eyes.

In the night.

Meerab is passing by Mariyaam's room,she finds a unfamiliar male sound from her room.

Meerab opens the door and feels someone flew away from there.

Mariyaam:Bhabi aap?
Meerab:Kon tha kamre mein?
Mariyaam:Kon hoga?Mein hi hu sirf.
Meerab:Koi to tha jo darwaza khul ne ki awaz se chala gaya.
Mariyaam:Koi nahi hai Bhabi.

Meerab sees from the window and sees a boy leaving from there.

Meerab:Yeh yeh tha?Kon hai yeh?
Mariyaam:Woh Bhabi...Actually...
Meerab:Haa bolo.
Mariyaam:University se hai.Pasand karta hai mujhse.
Meerab:Aur tum?
Mariyaam:Mein bhi.
Meerab:Pasand karna koi zurm nahi hai Lekin aise raat ke andhere mein ek ladke ko kamre mein bulana galat baat hai.Aaj meri jaga maa yaa murtasim aa jate to qayamat aa jati yaha.
Mariyaam:To kya karu bhai ke dar se bahar bhi nahi mil sakta.
Meerab:Shaadi karna chahte ho use.
Mariyaam:Uske ilawa kisi ka nahi hona Mujhe.
Meerab:To batau ghar mein sab ko iske bade mein.
Mariyaam:Aap ko lagta hai koi manega is rishten ke liye.
Meerab:Agar ladka sahi nikla to kyun nahi manenge.
Mariyaam:Aap ko pata nahi is ghar ki rewayat ke bade mein.Ya Khandan se bahar rishten nahi judte.Aur woh is Khandan se bahar hai.Maa kabhi nahi badlenge.
Meerab:Rewayat insaan ki khushi se badke nahi hota.Agar tumhari khushi is ladke mein hai to rewayat se badke tumhari khushi ko tarji diye jayegi.
Mariyaam:Maa kabhi aisa kuch nahi karenge ki jo rewayat ke khilaf ho.Aur bhai bhi maa ki faisle ko hi manenge.Yeh rishtan mumkin nahi hai.
Meerab:To kya karna chahti ho tum?
Mariyaam:Bhag jaungi uske sath.
Meerab:Tum koi galat qadam maat uthana Mariyaam.Mushkil hai yeh rishtan Lekin na mumkin nahi hai.Tum izzat se is ghar se ruksat hogi.Aur mohabbat izzat se badke nahi hota.Use kaho ghar mein rishtan bheje.Izzat se tumhari maa Aur bhai se hath mange.
Mariyaam:Phir dono karenge Inkaar.Pata hai Mujhe akhir mein yehi hoga.
Meerab:Murtasim ko mein mana lungi.
Mariyaam:Pakka?
Meerab:Koshish karungi.Lekin tum mujhse wada karo jab tak is masle ki koi haal nahi nikal jata tab tak tum koi galat faisla nahi karoge jo lene ke baad tum Zindegi bhar pastao.Aur apni Khandan ki izzat ka lihaj rakhoge.
Mariyaam:Mein wada karti hu harbari mein koi faisla nahi karungi.
Meerab:Mujhe apne mohabbat ke dushman nahi samjho Mariyaam.Mujhe bhi tumhari fiqr hai.Tum is waqt sab Kuch dil se soch rahe ho Aur mein dimag se.Is masle ka koi na koi haal mein nikal lungi.Tumhara dil ko dukhne nahi dungi.Yakeen rakho mujh mein.

Mariyaam nodded her head.Meerab is thinking how to talk with Murtasim about Mariyaam's love affair.

Author's note:Reason behind writing this story is my own satisfactory.After the ongoing disaster track maybe can't watch the sizzling chemistry between Meerasim.They just totally ruined it.Want to create the same love scene with my style.

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now