Haya again begins to start the set up the closet.She put the clothes and said;
Haya:Tum bas kuch din ki Mehman ho yaha pe.Phir tum hogi bahar Aur bas mein reh jaungi yaha.Haveli pe Aur murtasim ke dil mein hukmrani bas mera hi hoga.
Meerab holds her hand and pulled her out from the room.
She takes her infront of Maa begum.
Maa begum:Yeh kiya harqat hai?Ise aise gasit kyun rahe ho?
Haya:Dekhe na maa begum mere sath kaise pesh aa rahi hai.
Meerab:Aap humesha Mujhe meri maa ki taane dete hai na ki mere maa ne Mujhe kuch nahi sikhaya mujhe zara bhi Tamiz nahi sikhaya Aur bohot kuch.Aaj mein aap se puch ti hu ke yeh hai aap ki tarbiyat Maa begum.Jo dusro ke shohar par dore dale Aur uski biwi se kahe uske shohar ko usse chin legi Aur biwi ko shohar ke Zindegi se nikal degi.Aisa tarbiyat kiya hai aap ne iska?
Maa begum:Yeh sab kiya hai Haya?
Haya:Maa begum yeh jhoth bol rahi hai meerab.Mere khilaf sazish hai iski.
Meerab:To tum mere kamre mein kiya kar rahi thi?
Haya:Murtasim ke kapde rakhne gayi thi.
Maa begum:Kapde to humesha feena rakhti hai to tum kyun leke chali gayi?
Haya:Feena masruf thi to maine socha mein hi rakh aati hu.
Meerab:Iska sahi jawab feena hi degi.Meerab called Feena and said;
Meerab:Aap ki khan ki kapde aap humesha kamre mein rakhti hai na to yeh Haya bibi ke pas kaise aaya?
Feena:Mein leke jaa hi rahi thi bibiji Lekin Unhone mujhse lee liya.Aur kaha woh khud rakh legi.Mein dena nahi chahti thi par Haya bibi ne kuch suna hi nahi.
Haya:Jhoth mat bol.
Feena:Mein sacchi bol rahi hu bibiji.
Meerab:Thik hai aap jai.Feena left from there and Meerab said;
Meerab:Mil gaya aap ko jawab.Aab ap ko pata chala ke aap ki ladli ki harqate.Meri maa ne Mujhe jaise tarbiyat di ho Lekin kabhi dusro ki chij par nazar dalna nahi sikhaya.Kismat ko manna sikhaya hai.Jo kismat mein nahi woh mera kabhi nahi hai.Dusre ki tarbiyat par ungli uthane se Pehle khudki tarbiyat par gor karna zara.(Looking at Haya) Aur tum ayenda mere kamre ki yaa mere shohar ki as pas bhi nazar aye na to tumhe usi waqt ghar se nikal ne se Pehle sochungi bhi nahi.Yaad rakhna meri baat.
Haya:Tum kon hote ho Mujhe ghar se nikalnewali.
Meerab:Murtasim ki biwi.Meerab left from there.
Maa begum looks at Haya and said;
Maa begum:Tumhari wajah se woh Anila ki beti ne Mujhe itni baten sunake gayi hai.Ayenda kabhi aise nich harqat karoge to uske nikal ne se Pehle mein hi tumhe ghar se nikal dungi.Samjhi?
Maa begum angrily looks at her and she cried.
In the night.
Murtasim coming home and finds silence in everywhere.
He sees Mariyaam and asked;
Murtasim:Mariyaam ghar mein kuch huya hai kya?Itni khamoshi kyun hai.
Mariyaam:Yun mano tofaan ke baad ka sannata hai yeh.
Murtasim:Matlab?Kahi maa Aur meerab ke bich jhagra to nahi hua?
Mariyaam:Jhagra hua hai Lekin Bhabi Aur maa ke bich nahi.
Murtasim:Phir?
Mariyaam:Bhabi Aur Haya ki bich woh bhi aap ko lekar.
Murtasim:Mujhe sab shuru se batau ek ek baat.Mariyaam narrated the whole incident and Murtasim smiles to think meerab did it for out of jealousy.
Mariyaam:Itna bada jhagra huya hai Aur aap has rahe hai?
Murtasim:Tum nahi samjhoge.Kafi raat ho chuke hai jake so jau.
Murtasim:Thik hai.Murtasim comes to the room and said;
Murtasim:Meerab kuch jalne ki badbu aa rahe hai as pas se.Kuch jalata kya?
Meerab:(In mind) Mera dil.
Murtasim:Bol kyun nahi rahe ho?
Meerab:Kya jalega murtasim.Kuch nahi jal raha hai.
Murtasim:Lekin jalne ki badbu to tumhare pas se hi aa rahe hai.
Meerab:Kya Bakwas kar raha ho mere pas se kyun aayega.
Murtasim:Sunne ko aaya hai ek aisa wakiyat Jaha murtasim ki biwi hui uske liye possessiv.Kya yeh sach hai?
Meerab:Haa yeh sach hai.Lekin mein bas haya ko uski jaga bata rahi thi Aur koi Baat nahi.Taki woh jo karne ki piche hai waha se bagar aa jai.
Murtasim:Tum to mujhe apna shohar nahi manti to aise rewaiye ke wajah.
Meerab:Shaadi jaise bhi hua hai Lekin yeh hua to hai.Us shaadi ko mein apni kismat samaj ke Qubool kar liya hai.
Murtasim:To Mujhe mera shohar hone ka haq kab doge?
Meerab:Waqt chahiye Mujhe iske taraf qadam badane ke liye.Ummed karta hu tum Mujhe woh waqt doge.
Murtasim:Puri Zindegi le lo bas badle mein apna sath de na.Meerab smiles.
Murtasim:Waise Haya se aise rawaiye ka proper jawab nahi mila.
Meerab:Agar haya ki jaga koi Aur mard hota Aur woh mujhse mohabbat ka dawa karke yeh kehta woh tumhe meri Zindegi se bahar nikal dega to tum kya karte?
Murtasim:Jaan se mar dalta use.Himmat kaise hui mere biwi pe nazar dalne ki.Mere biwi pe mohabbat karne ka haq kisi ko bhi nahi hai.
Meerab:Tumhe guess karke hi Itna gussa aaya Lekin Mujhe yeh baten khud haya ne kahi hai.Bohot Bakwas ki usne mujhseAur Mujhe gussa aa gaya.Phir jo kiya gussa mein kiya.
Murtasim:Meerab,Haya ko kabhi maine koi ummed nahi di Aur nahi uski harqato pe barava diya hai pata nahi kaise woh aise ho gayi.Lekin Yakeen mano mera maine use ek choti behen ke ilawa Kuch nahi samjha.Mere dil mein Tumhare Pehle na koi tha Aur nahi koi ayega.Jo jaga sirf tumhara hai waha koi aur kabhi nahi lee sakta.
Meerab:Waise pure din the kaha?
Murtasim:Gao gaya tha kuch jaruri kam se.
Meerab:Khana khaoge?
Murtasim:Milega Mujhe khana?
Meerab:Mein lee aati hu.Meerab about to leave and Murtasim holds her hand and said;
Murtasim:Mohabbat ho rahi hai tum ko mujhse?
Meerab looks at him and said;
Meerab:Mohabbat ka pata nahi Lekin aab tum Mujhe bure nahi lagte ho.
Murtasim smiles.
[Please Give Me your opinion on this chapter]
YOU ARE READING
𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕
FanfictionAnother Meerasim plot from my imaginary world. Ranking #83 Pakistan out of 76.3k stories.