TWELVE

2.2K 118 7
                                    

Meerab coming out from the university after enrolling from MBA.

Murtasim:Ho gaya kam?
Meerab:Ha ho gaya.
Murtasim:Tum khush ho?
Meerab:kis liye?
Murtasim:Yeh jo tum age pad paa rahi ho.
Meerab:Haa khush hu.Thank you.
Murtasim:Thank you nahi chahiye.
Meerab:To kya chahiye?
Murtasim:Tumhari smile.

Meerab smiles.

Murtasim:Aise hi haste raho.Tum jab hasti ho na to Tumhare sath tumhari ankhen bhi hasti hai.
Meerab:Ghar chale?
Murtasim:Chalo.

They are left from the home.

Maa begum sees them to enter together and said;

Maa begum:Kaha se aa rahe ho dono?
Murtasim:Meerab ki university gaya tha.
Maa begum:Kyun?
Murtasim:Meerab ko MBA mein dakhil karne.
Maa begum:Kya?Tumhara dimag kharab ho gaya Murtasim ki tum ise age padne ki izazat de diya hai.
Murtasim:Padna iska haq hai Aur woh haq mein chinnewala hota kon hu.
Maa begum:Tum shayed bhul rahe ho beta ki humare Khandan ki rewayat hai yaha bahu ko age padne ki izazat nahi hai.
Murtasim:Rewayat hai maa isko badla bhi jaa sakta hai.Aur rewayat insaan ki khushi se badke nahi hota.
Maa begum:Tumhare sad pe to biwi ke ishq ki junoon savar hai.
Murtasim:Shaadi kiya hai isse.Iski zimmedari ke sath sath iski sukh Aur dukh ki bhi zimmedari liya hai.Aur shohar hone ke nate yeh mera farz hai ke mein dekhu kis chij se meri biwi ko khushi milti hai Aur kis baat pe takleef.
Maa begum:Aur biwi ke khushi ke khatir rewayat badalne chali ho tum.
Murtasim:Zarorat pade to haa.Mere liye Meerab ki khushi sab se upar hai.Aur meerab ki age ki padai se is ghar mein kisi ko bhi koi aitraaz nahi hone chahiye kyun ki iske izazat khud maine diya hai.Iske Shohar ne.
Maa begum:Wah bhai dekho zara Anila ki tarbiyat ko.Aate hi beti ne apni shohar pe qabu karke uska dimag ghuma diya hai.Anila se Aur ummed bhi kiya jaa sakta tha.Uski beti bhi uspe gayi.

Meerab starring at him.Murtasim holds Meerab's hand and go towards the room.

Haya comes to Maa begum and said;

Haya:Aap ka beta to hath se chutta jaa raha hai maa begum.Yeh to woh murtasim khan hi nahi jo aap ka beta tha aab woh pura ka pura Meerab ke shohar ban chuka hai.Aab nahi manega aap ki koi baat.

Maa begum looks at her and thinking.

In the room.

Murtasim:Maa ki baat kafi had tak bardast karlena.Waqt ke sath sath woh bhi samaj jayenge.
Meerab:Mere liye tum apni ghar ki rewayat badal doge?
Murtasim:Zarorat pade to ha.
Meerab:Kyun?
Murtasim:Tumhari khushi ke khatir mein Kuch bhi kar sakta hu.
Meerab:Itna khas ban gayi mein tumhare liye?
Murtasim:Khas ka pate nahi Lekin dil mein kabja jarur kar gaye ho.Aab in ankhon ne tumhari siwa kisi Aur ka dedar karne ko bhi Tumhare sath Bewafai samajta hai.Dil chahta hai woh bas tumhara dedar kare Aur kho jaye tumhari in khubsurat ankhon mein.

Meerab looks at him.Right then Murtasim's phone rang up and he goes to attend the call.

Meerab smiles after recalling his words.

Meerab:Sahi kehte hai log mard ki khubsurti uski lafzon se hoti hai.Aaj murtasim ki kahin gayi har alfaz mere dil ko chu gaya.

In the yard.

Murtasim cut the call and Haya comes to him.Murtasim ignore her and about to inside.

Haya stop him and said;

Haya:Aab baat karna bhi band kar doge?
Murtasim:Aab baat karne mein rakha kiya hai.Mujhe tumhari Bakwas sunne ka koi shok nahi hai.
Haya:Cousin hu tumhara.Bachpan sath guzara hai humara.Kuch Aur ka na sahi us Bachpan ke rishten ka hi lihaj karlo.

Murtasim looks at her and said;

Murtasim:Tum bhi lihaj karna.Aur jo pagalpan kar rahi ho na usse bahar aa jao.
Haya:Meri mohabbat ko tumhe pagalpan lagta hai.
Murtasim:Ha.Kyun ki woh mohabbat nahi pagalpan hai.
Haya:Tum bhi kabhi tadap ke dekho kisi ke chahat mein Phir pata chalega yeh mohabbat chij kiya hai.

Haya left from there.

Meerab looks at them from the terrace.She feels a strange jealousy inside her.She knows murtasim don't like haya and always ignore her but don't know why she didn't like to see them together.

In the room.

Meerab just remembered the scene of Murtasim and Haya together.She wants to forget the moment but it's roaming around again again in front of her eyes.

Murtasim comes to the room and he deliberately broke his button and said;

Murtasim:Hai Allah yeh bhi abhi hona tha.
Meerab:Kiya hua hai?
Murtasim:Button toot gaya hai mera Aur Mujhe kahin jana hai urgently.
Meerab:Lao mein laga deti hu.
Murtasim:Tumhe aata hai?
Meerab:Haa aata hai.

Meerab brings the needle and thread.And see he still wearing the shirt.

Meerab:Aise hi laga du.
Murtasim:Ha aise hi laga du.

Meerab going to sewing at the button.Murtasim just look at her.

Meerab coming close to him and tore the thread by her teeth.She about to move but murtasim holds her.Meerab looks at him.She thinks murtasim will kiss her now.She closed her eyes and he blew away her hair.

Meerab opens her eyes and Murtasim smiles on her.

He left from the room and Meerab thinks what was she thinking.She feels so shy.

After a while.

Meerab entered her room and finds Haya set up Murtasim's closet.Meerab gets angry to see her and said;

Meerab:Tum yaha kiya kar rahe ho?
Haya:Murtasim ke kapde laundry se aaya hai to wohi thik kar rahi hu.
Meerab:Murtasim ke kam karne ke liye uski biwi mojud hai is ghar mein.Tumhe khamakha ke takalluf lene ke zarorat nahi hai.
Haya:Mehbob ke kam karte waqt takalluf kaisa.

Meerab losing her control.She clenched fists.Somehow calm her down and said;

Meerab:Haya bibi kuch haya karo.Ek insaan ke hath itni be izzat hone ke baad bhi tum besharamo ki tarha uske piche pade ho.Kam se kam apni izzat to khud karo.
Haya:Mohabbat karta hu usse.Aur mohabbat mein Kuch sahi galat nahi dekha jata.Tum bhi Kuch din murtasim ke biwi hone ki maza lee lu kyun ke akhir mein hoga to woh mera hi.
Meerab:Man kyun nahi lete woh tumhari kismat mein nahi hai.
Haya:Kismat se bhi lad lungi.
Meerab:Kismat se koi lad nahi pata hai haya.Jo kismat mein nahi lakh koshish ke bad bhi woh hath nahi aata.
Haya:Agar woh mere kismat mein nahi hai to mein use tumse chin lungi.Kyun ki jyada din mein tumhe uske sath nahi dekh paungi.Phir murtasim khud tumhe apne hath se  apni Zindegi se nikal dega.

Meerab gives her a angry glance.

Author's note:Whoever wants to know about whi written my stories dialogue,guys it's me who set up the plot and write the dialogue.Glad to know you are liking it.

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now