In the room.
Meerab put her head on Murtasim's shoulders and said;
Meerab:Aaj ke din Kuch to hoga iska andesha Mujhe Pehle se tha.Ek ajeeb si ghabrahat ho rahi thi subhe se.Aaj kuch bhi ho sakta tha murtasim.Haya ne apni maksad ke khatir hum dono ki rishten ko dawo pe laga di thi.Agar aaj tumne mera Yakeen na karte to humara rishten toot bhi sakta tha.
Murtasim:Aise kaise tut jata.Mujhe tum par Yakeen hai khud se bhi jyada.Mohabbat ki buniyad bhi Yakeen hota hai.Ek jhoti ladki ki char baten Aur kuch photographs ke wajah Mere Yakeen nahi tod sakta tha.Lekin mein sharminda hu tumhare age.Meri germojudgi mein zara bhi Accha nahi hua tumhare sath.Kirdar par bohtan lagana bohot badi baat hai.Aaj tumhe zalil karne ki koshish mein koi kasar nahi chodi thi Haya ne.Yeh soch ke hi Mujhe gussa chad raha hai use mein bohot Pehle hi kyun ghar se nahi nikal diya.
Meerab:Bhul jao us baat ko.
Murtasim:Aise kaise bhul jao.Mein mohabbat se bhi jyada tumhara ihteram karta hu Meerab.Aaj tumhari izzat pe chot aayi thi.Aur woh mere liye bohot badi Baat the.
Meerab:Aur tumne mujh pe Yakeen karke Mere izzat ko sab ke ankhon mein bohot bada diya hai.Mere kirdar ki gawai tumne diya hai mere shohar ne.Aur koi insaan us aurat ki kirdar pe kichar nahi uchal sakta jiski shohar ko us par sab se jyada aitbaar ho.
Murtasim:Tumhe Haya ko kisi badi Saza dene ka maan nahi kiya.Jab uski harqat na qable mafi tha.
Meerab:Maine iska faisla apne rab pe chod diya hai.Aur jab mere liye woh badla lenge to iski saza ibrat nak hogi.Mujhe yakeen hai apne rab pe.Har kisi ko apne gunaho ki saza mil ke rahegi.
Murtasim:Tumhare pas jitne khub surat hai na usse kahin jyada khubsurat sirat bhi hai.Tumhare andar ka insaan Tumhare bahar ke insaan se kahin guna haseen hai.Meerab up her head and murtasim said;
Murtasim:Gao jate waqt tum kuch batanewali thi.
Meerab:Ha woh kehne wali thi.Mere Kuch din ki symptoms Mujhe yeh bata raha tha ki Shayed mein pregnant hu.Par mein Yakeen ke sath nahi keh sakti.Kabhi kabhi hormonal imbalance ki wajah se bhi aise symptoms hote hai.
Murtasim:Doctor ke pas jana hai?
Meerab:Ghar pe test karle.Phir doctor ke pas se bhi confirm ho jayenge.
Murtasim:Kit lee au?
Meerab:Main mangwai thi.Hai mere pas ek.Test karlu?
Murtasim:Karlo.Mujhe ek ajeeb sa mehsos ho raha hai.Pata nahi kya.
Meerab:Mujhe bhi.Aur samaj nahi aa raha yeh feelings hai kya.
Murtasim:Tum test karlo na jaldi se please.Meerab takes the kit from the drawer and goes to test.
Murtasim is waiting for her.A while later Meerab comes to him and He said;
Murtasim:Positive or negative?
Meerab gives the kit to him and he saw the result and its positive.
Murtasim gets teary eyed and said;
Murtasim:Hum waldain bannewale hai?Humara meesam aanewali hai Meerab.
Murtasim kissed on her forehead and said;
Murtasim:Log sahi kehte bap banne se jyada khushi is Duniya mein Kuch bhi nahi hai.Aisa laag raha hai puri Duniya fatah karli ho.Tayar ho tum is nanhi si jaan ko is Duniya mein lane ke liye.
Meerab:Pata nahi.Samaj nahi aa raha mein itni badi zimmedari lene ke liye tayar hu bhi yaa nahi.Meerab put her hand on her belly and said;
Meerab:Humara baccha yaha hai murtasim.Yeh ek bohot ajeeb sa ehsas hai.Mein maa bannewali hu.Mein tumhe bata nahi sakti Mujhe kaisa mehsos ho raha hai.
Murtasim:Hum sath milke is zimmedari ko nibhainge.Humara yeh 2 se 3 banne ka safar bhi khubsurat hoga.Kaal tumhe doctor ke pas lee chalunga.Waha pe confirm hone ke baad hi ghar mein sab ko batayenge.Rest karlo.
Meerab:Thik hai.Murtasim put Meerab on the bed.He also lying down on it.
He maintain a long distance.Meerab said;
Meerab:Itne door kyun ho?
Murtasim:Ihtihad barak raha hu.Sote hui agar tumhe chot lag jai to is liye.
Meerab:Kuch nahi hota thik se sou Warna gir jaoge.
Murtasim:Mein koi risk nahi lunga.
Meerab:To Thik hai girte rehna.After a while.
Meerab heard a sound and sees Murtasim fall down from the bed.
She is laughing hard and said;
Meerab:Kaha tha na gir jaoge.
Murtasim:Hum to Pehle se hi aap ke mohabbat mein gire hui hai.
Meerab:Shayri chodo Aur so jau.
Murtasim:Waise to hum aap ke mohabbat mein giraftar ho gaye the warna yeh shayri wayri kaha aate the hume.
Meerab:Tum Aur tumhari baten kabhi khatam nahi hogi.So jau.
Murtasim:So jate hai.Meesam ki mama.Meerab looks at him and smiles.
In the next day.
Meerab and murtasim going to consulting with doctors.
Doctor also confirmed her pregnancy.She told him;
Doctor:Aap ko aab inka jyada dyan rakhna hoga.Specially starting ke 3 month.Phir sab normal ho jayega.Aise waqt mein hormonal bohot changes aate hai.Mood swings cravings etc.Jyada khush rakhne ki koshish karna.Maa khush rahenge to baccha healthy rahega.Enjoy this pregnancy period.
Doctor looking at Meerab and said;
Doctor:Aap pregnant hai koi marij nahi.Aur pregnancy koi bimari nahi hai.Healthy khaiye Aur exercise kijiye.Sab kuch kijiye Lekin dyan se.Apna bhi dyan rakhna Aur baby ka bhi.Good luck new parents.See you soon.
Meerab and Murtasim coming home and they disclosed the good news.
Maa begum kissed on Meerab's forehead and passed out by joy.
Anwar blessed her and said;
Anwar:Bohot badi khush khabri diye hai tumne beta.
Maa begum:Tum kya banoge Anwar?Dada yaa nana?
Anwar:Meerab meri beti hai.Is liye mein to is nanhe Mehman ka nana banunga.Meerab smiles.
Author's note:I got immense requests to write something on Meerab's pregnancy period.I will try to show it.
YOU ARE READING
𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕
FanfictionAnother Meerasim plot from my imaginary world. Ranking #83 Pakistan out of 76.3k stories.