Murtasim and Meerab coming to the home.Murtasim Just greeting his mother and going towards the room.
Before going he asked Meerab to make tea for him.
In the Kitchen.
Haya comes to her;
Haya:Aaj kaal bohot itra rahi ho na?
Meerab:Nayi nayi shaadi hui hai aise waqt mein log itrate hai.Yeh khubsurat lamha dobara laut ke nahi ayega.
Haya:Is Galatfehmi mein maat Rehna Murtasim humesha tumhara rahega.
Meerab:Mujhse chinega kon?Tum?
Haya:Haa mein.
Meerab:Khushfehmian bada jaanleva hoti hai.
Haya:Maat bhulo murtasim tumse shaadi nahi karna chahta tha.Woh to maa begum ne jor diya to usne tumse shaadi karli Warna shaadi bhi na karta.
Meerab:Shaadi jaise bhi hui ho Lekin Aab woh mujhse be inteha mohabbat karta hai.
Haya:Mohabbat nahi Majburi mein bas rishtan nibha raha hai tumse.
Meerab:Majburi Aur Mohabbat ke bich fadak karna aata hai Mujhe.Tum bhi zara Inkaar Aur ikraar ke bich fadak samajna.Din ke din tum bas behaya banti jaa rahi ho.Apni izzat to tumhe hai hi nahi is liye har roz aa jate ho dusre ke hatho zalil hone.Dusre ke shohar par bure nazar dalnewalo aurat ko pata hai kis naam se pukar te hai yeh mashra.Is liye jo kehti hu tumhare bhale ke liye kehti hu.Waqt rehte sudhar jao.Mere ghar todne ke wajai apna khud ka ghar basane ke bade mein socho.Waha khud ko zaya na karo Jaha se tumhe khali hath lautna pade.Meerab takes the cup and left from there.Haya burning in the anger.
Meerab brings Tea for Murtasim.He takes the cup and holds her hand.
Murtasim:Beitho mere pas.
Meerab sit next to him.Murtasim looks at her eyes and said;
Murtasim:Beithe raho mere pas pure din puri raat mere dil bas tumhare dedar ko tarasta hai.
Meerab:Ek Baat puchu.
Murtasim:So baat pucho.
Meerab:Yun Achanak Kaise ho gayi mujhse mohabbat.
Murtasim:Jis wajah se Mujhe tumse mohabbat hui woh wajah Mujhe bhi malum nahi.Shayed tumhari ankhen ho muskan ho baat karne ke lehza ho yaa uthi hui nazron ke ada.Mujhe nahi pata kon sa wajah woh tha.Mujhe bas pata hai Mujhe tumse mohabbat hota gaya.Har din har lamha.Bas mohabbat badta hi gaya har naye roz har naye lamha Aur mein mehsos karta gaya mohabbat ke woh khubsurat ehsas ko.Mere liye woh mohabbat bina kisi wajah ke thi.Aur Agar mohabbat kisi wajah se ho to woh mohabbat nahi kehte.Waqki jasbaat keh sakte hai.Meerab gets tears after hearing his beautiful confession for her.
Meerab put her head on his shoulder.Right then Meerab's phone rang up and she takes it.
Ruhail:Kiya baat hai tum to mujhe bhul hi gaye?
Meerab:Aise koi Baat nahi hai.
Ruhail:Suna hai MBA kar rahi ho?
Meerab:Haa recently classes shuru hui hai.
Ruhail:Accha suno jis ke liye call kiya hai Mein bahar chala jaunga MBA ke liye.Jane se Pehle milna jarur.
Meerab:Ok done.Meerab cut the call and Murtasim asked;
Murtasim:Kon tha?
Meerab:Ruhail.
Murtasim:Ruhail kon?
Meerab:Mere university friend.MBA ke ke liye bahar jaa raha hai.Yeh batane ke liye call kiya tha.Murtasim didn't like to talk to her with Ruhail.It doesn't mean he don't trust her but still he didn't like.But he didn't show him infront of her.
In the study room.
Maa begum comes to Murtasim and said;
Maa begum:Aaj kaal maa ko bada nazar andaz kar rahe ho?
Murtasim:Aisi to koi Baat nahi.
Maa begum:Lagta hai biwi pake maa ko bhul gaye.
Murtasim:Biwi biwi ki jaga hai Aur maa maa ki jaga pe.
Maa begum:Lekin Mujhe aisa kyun lag raha hai tumhari Zindegi mein biwi ke maqam maa se upar hai.
Murtasim:Maa ki Aur biwi ki apni apni maqam Aur jaga hai.Na koi kisi se kam hai Aur nahi jyada.Mere liye dono rishten ki ehmiyat hi jyada hai.Aap kuch jyada soch rahi hai maa.
Maa begum:To aaj kaal mere sath aise rawaiya kyun karte ho?
Murtasim:Kyun ki aap aaj kaal bohot galat harqat kar rahi ho.
Maa begum:Apni maa ko Galat keh rahe hai ho tum?
Murtasim:Maa ko nahi maa ki harqat ko.Kya apne yeh soch ke meerab ki shaadi mujhse zabardasti nahi karwai ta ki mein use daba saku.Uski pad kat saku.Kya yeh baat galat nahi hai maa?
Maa begum:Usko sabaq sikhana zarori tha.
Murtasim:Konsa sabaq?Aur kis zurm ki sabaq?
Maa begum:Bad zubani Aur Baittamizi ke.
Murtasim:Har baar use uski maa ka taana denge to woh chup kaise rahegi.Har baar aap uski tarbiyat pe ungli uthati hai.Yeh kon bardast karega.
Maa begum:Humare ghar ki usool Aur rewayat ko bhi nahi manti.
Murtasim:Woh ek bohot hi mukhtalif mohol mein pali badi hai.Humara soch se uski soch bohot alag hai maa.Woh kabhi yaha nahi aayi Lekin kismat ne use yaha lee ayi.Aur zahir si baat hai dusre mohol ke ane ke wajah se yaha rang bas jane mein mushkil hogi Lekin woh yaha ki adat dalne ki bohot koshish kar rahi hai.
Maa begum:Tum bhi Bilkul apne chacha Waqas ki tarha Zunmurid hote jaa rahe ho.
Murtasim:Biwi se mohabbat karna Aur uske sath dene se agar mard zunmurid ho jata hai na to thik hai hu mein zunmurid.Aur maa maine Meerab se shaadi apni pasand se nahi kiya tha.Aapne karwai thi woh bhi zabardasti.Agar aaj mein us rishten ko dil se apna ke nibha raha hu to aap ko masla ho rahi hai.
Ma begum:Ho gayi mujhse galti.Agar Pehle pata hota ki shaadi ke baad hi mere bete ka yeh roop dekhne ko milega to kabhi na karwati yeh shaadi.Murtasim looks at his mother and trying to control his anger.
In the night.
Murtasim is busy with call and Meerab scrolling her phone.
After the conversation,Murtasim sit on the bed.
Meerab:Sab thik hai?
Murtasim:Haa ek dost ka call tha apni life story share kar raha tha.Uski biwi ki extra marital affair tha to woh divorce chahta hai.
Meerab:Bohot bura hua bechare ke sath.
Murtasim:Aab biwi mafi mang raha hai.Divorce nahi chahti.
Meerab:Tumhare dost kiya kiya faisla hai?
Murtasim:Woh maf nahi karega kyun ki bewafai ki koi mafi nahi hoti.Meerab looks at him.
YOU ARE READING
𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕
FanfictionAnother Meerasim plot from my imaginary world. Ranking #83 Pakistan out of 76.3k stories.