TWENTY SEVEN

1.7K 103 6
                                    

Murtasim is getting ready to go village.Meerab put his shawl on him and said;

Meerab:Kab tak lautoge?
Murtasim:Gao pe jirga bulaya gaya hai Malik Zubair ke hawale se.Pata nahi kab tak sab khatam hoga.Aate aate raat ho sakti hai yaa Phir Kaal subha hi lautunga.
Meerab:Malik kafi khatarnak log hai.Pichi baar bhi tum par jaanleva humla kiya tha.Mujhe ajeeb sa dar laag raha hai.
Murtasim:Kuch nahi hota.Dua karna tum mere liye taki mein khair se jake laut saku.
Meerab:Tum laut ke ayoge to mein tumhe Ek Baat bataungi.
Murtasim:Kya?
Meerab:Pehle tum lautke to aau.
Murtasim:Ok.Chalta hu Allah hafiz.
Meerab:Allah hafiz.

Murtasim kissed on her forehead and left.

Meerab sees his departure from the upstairs and she feels some unknown nervousness.

After a while.

Maid comes to her and said Maa begum called her in the downstairs and told immediately go there.

Meerab feels scared about murtasim and ran towards there.

Meerab comes there and asked;

Meerab:Aap ne bulaya?
Maa begum:Ha.
Meerab:Sab thik hai.
Maa begum:Pata nahi sab thik hai bhi yaa nahi.Kis par Yakeen karu jo ankhon ke samne hai woh yaa jo dil se mehsos kiya woh.
Meerab:Mein kuch samjhi nahi.Aap Kehna kya chahte hai.

Haya comes there and said;

Haya:Aise bholi ban rahi ho jaise pata nahi hai kiya gul khilaya tumne.
Meerab:Kya Bakwas kar rahi ho?
Haya:Chalo maine to Bakwas kiya hai par tumne shadishuda hote hui apni shohar ke pit pise kiya kare jaa rahe ho.
Meerab:Kiya kya maine?Baat ko gol gol na ghumake saf saf kaho.

Then Haya showed some photograph where Ruhail holds her hand.This one from actually that day when She meet Ruhail and Saba in the university.Some picture of Just Ruhail and Meerab.Haya crop Saba from scenery in a tricky way.

Meerab:Yeh sab jhoth hai.Ruhail sirf dost hai mera.
Haya:Dosti Kaisa ho woh to saf saf nazar aa raha hai.Aur yeh baat sab jante hai ek ladka Aur ladki kabhi dost nahi hote.
Meerab:Tum jaisi gandi sochwali ke zehen mein har rishtan hi galat lagta hai.
Haya:Mujhe laga tum bad zuban ho Baittamiz ho Lekin yeh nahi pata tha tum bad kirdar bhi ho.Shohar ke hote hui bahar bhi chakkar chalai.

Before Meerab said anything someone scream and said;

"Bas."

Meerab turned around and said Anwar there and said;

Anwar:Tumhari himmat kaise hui meri beti ko bad kirdar kehne ki.
Haya:Mein nahi keh rahi mamu.Yeh tasvere hi iski kirdar ki gawai de raha hai.Yeh dekhe sabot.
Anwar:Mujhe kuch nahi dekhna.Mujhe pata hai meri beti ki kirdar kaisi hai.To band karo ispe bohtan lagana.
Maa begum:Kis kiske muh band karoge Anwar?Yeh tasveer bhi to hum jhotla nahi sakte.
Anwar:Aap bhi is ladki ki baton mein aa rahe hai.Yakeen mane Meerab aisi nahi hai.Woh pak damanwali sacchi hai.Mere bhai Bhabi ki tarbiyat pe koi kami nahi hogi.
Meerab:Chup ho jai please.Mein nahi chahti chachu aap kisi ko bhi mere kirdar pe Yakeen dilai.Mujhe bhi apni kirdar ki safai nahi deni.Jin ko jo sochna hai woh soch sakti hai.
Maa begum:Aab is baat ko murtasim ke upar chod do.Yakeen karna hai yaa nahi karna hai iska faisla Murtasim karega.Biwi uski hai Aur is mamle mein faisla karne ka haq bhi use hai.Woh jo kahega hum bhi wahi manenge.Yeh dono miah biwi ki mamla hai.
Haya:Murtasim kya faisla karega maa begum.Uski ankhon mein to iski jhoti mohabbat ki patti bandhi hui hai.Meri baat mane is bad kirdar ko ghar se Aur murtasim ki Zindegi se bahar bhej de.
Maa begum:Tum chup raho.Tumse maine rai nahi mangi.Jo karna hai murtasim karega.Mein kuch nahi kahungi is bade mein.

Meerab about to go to her room,Anwar stop her and said;

Anwar:Jab tak tumhari kirdar par se yeh ilzam nahi hat jate tum apni kamre mein nahi jaoge.Tum Tab jaoge beta jab yeh ilzam jhota sabit hoga.Puri izzat se jaoge woh bhi murtasim ke sath.Tum Filhal mere kamre mein chalo beta.

Meerab nodded her head and Go with Anwar.

In the Anwar's room.

Meerab recalled her one conversation with Murtasim where he told;

"Bewafai ki koi mafi nahi hoti."

Meerab feels scared what if Murtasim believe that fabricated photos as a real one.What if he didn't trust her?

Anwar comes to her and said;

Anwar:Pareshaan maat ho beta.
Meerab:Ek aurat ko hi kyun apni kirdar ki safai deni padti hai chachu.Kyun log asani se use bad kirdar keh dete hai Aur uske liye saza bhi suna dete hai.Agar yehi chij mard karde to bhi log ummed karte hai Aurat use maf karde.Mard ke liye mafi Aur aurat ke liye Saza kyun hai.Aaj Mujhe Dekhiye bina kisi Galti kiye mein muzrim hu logo ki nazron mein.Aisa lag raha jaise maine bohot badi koi gunah kiya hai Aur saza ke muntazir hu.Koi Mujhe aab bad kirdar kahegi to koi Bewafa.Lekin mein janti hu mein begunah hu.Kis kis ko apni be gunahi ki saboot du.

Meerab wipes her tears and said;

Meerab:Lekin maine soch liya hai mein aisa nahi karungi.Jis ko mujh pe Yakeen hoga Woh aise hi Mujhe be gunah samjhega.

Anwar holds her hand and said;

Anwar:Jo log Allah ko pasand hote hai to sabse jyada azmaish bhi us pe dalta hai.Yeh azmaish ka waqt hai beta dekhna yeh khatam hone ke baad tumhe azar bhi milega Aur sukoon bhi.Aurat ki kirdar pe ungli uthana bohot bada gunah hai.Aur jo jhota bohtan lagate hai aurat ki kirdar pe use uski saza khud Allah dete hai.Agar tum sacchi ho na to zara bhi fiqr nahi karna.Allah humari dil ki haal ba khubi jante hai.Har sazish se parda uthega Aur sach ki jit hogi.Tum dekh lena.

Meerab smiles.Then Anwar phone rang up and goes to attend it.

Haya comes to her and said;

Haya:Kaha tha na akhri chaal chalungi.To yeh tha mere akhri chaal.Tum soch rahi hogi yeh tasver kisne kinchi.Wh kya hai na Mein har waqt tum par nazar rakhti thi.Tum kuch aisa karo Aur mein woh tumhari khilaf istemal kar sako.Lo Mujhe mauka mil gaya Aur maine yeh natak saja liya.Aur tum ban gaye sab ke samne bad kirdar.Aab murtasim ayega Aur yeh dekhega.Yeh dekkar isko gairat ko chot pouchegi.Woh yeh bardast hi nahi kar payega uski biwi ko kahin Aur chakkar hai.Phir tum hogi murtasim ki Zindegi se Aur is ghar se humesha ke liye bahar.
Meerab:Suna hai hum jab kisi ke liye dua karte hai chahe woh sahi ho ya galat farishta bhi humare dua ke sath Qubool bolte hai.Aaj tum mere liye keh rahi ho ke mein is ghar se bahar nikal di jaungi kya pata tumhari dua ki wajah se tum hi nikal di jao.Dusro ke liye bura sochke kabhi khud ka Accha nahi hota Haya.Kash tumhe aqal hoti.Aur mein kaha rahungi kya hoga mere sath iska faisla maine apni khuda pe chod diya hai.Woh jante hai mere dil ki haal Aur Mujhe Yakeen hai un pe ki woh Mujhe ruswa nahi karenge.Aur jo hoga acche ke liye hi hoga Aur woh mere haq mein behteri hoga.

Haya looks at her.

Author's Note:I know this chapter is snoopy.

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now