NINETEEN

1.7K 98 16
                                    

Meerab meets with Mariyaam and said;

Meerab:Baat ki thi maine tumhare bhai se.
Mariyaam:Kiya kaha unhone?
Meerab:Kisi bhi tarha maan to gaye Lekin pata nahi puri tarha convince hui bhi nahi?
Mariyaam:Bhai baat karenge maa se?
Meerab:Shayed karenge.Lekin karenge woh fiqr nahi karo.
Mariyaam:Dekhna akhir mein is rishten ke liye koi nahi manega.Aur meri shaadi Khandan mein hi kiya jayegi na marzi puchenge Aur nahi pasand.Yaad hai na kaise zabardasti hui thi aap ke sath?Aap ne to halat ke sath samjhota kar liya Lekin mein nahi kar payungi Bhabi.
Meerab:Aise naubaat ayega hi nahi.Murtasim baat karega maa se.Zarorat pade to mein bhi Tumhare khatir lad lungi.Lekin Mariyaam tum Kuch galat faisla maat karna.Aur use Kehna tayar rahe kabhi bhi murtasim use mil sakta hai.
Mariyaam:Aap ladenge na mere khatir?
Meerab:Zaror.
Mariyaam:Thank you Bhabi.

Meerab left from the room.

In the terrace.

Meerab is standing there and Murtasim hugs her from behind and said said;

Murtasim:Pure ghar mein tumhe dhund raha hu Aur tum yaha nikle.
Meerab:Kyun kuch kam tha?
Murtasim:Haa.
Meerab:Kya?
Murtasim:Aap se mohabbat ka irada tha.
Meerab:Tum Aur tumhari baten.
Murtasim:Accha suno,us ladke ka details dena Mujhe.
Meerab:Apni behen ki taraf nazar ke zurm mein qatal karne ka irada hai?
Murtasim:Apni behen ki pasand ko azmane ka irada hai.Milke dekhta hu woh uske layek hai bhi yaa nahi.
Meerab:Tum sach mein use milna chahte ho?
Murtasim:Haa.
Meerab:Tum maa ko bhi mana loge?
Murtasim:Yeh kam bohot mushkil hai Lekin koshish karunga mein.
Meerab:Har mumkin koshish karna murtasim.Mariyaam ke sath koi zabardasti maat karna.Use Jaha pasand na ho waha rishtan maat karna.Zabardasti ki shaadi ke takleef woh janta hai Jiske sath woh biti ho.
Murtasim:Tumhe aaj bhi woh takleef deta hai?
Meerab:Rishtan jis tarha se judi thi woh takleef deta tha.Is liye samaj sakti hu is ke takleef.Lekin murtasim sab meri tarha khush kismat nahi hai jo tum jaise shaks ka sath mil jaye.Tumne Mujhe nahi mohabbat di Mujhe izzat bhi diya.Mujhe ek personal space diya ta ki is rishten ko apna saku.Mere marzi ko tarji diya.Khud ko mere upar musarrat nahi kiya Aur nahi majbur kiya is rishten ko nibhane ke liye.Sab itna khush naseeb nahi hote Murtasim.

Murtasim tightly hugs her and said;

Murtasim:Kash mein bite hui waqt ko badal sakta.Kash tum us aziyat se na guzarti.Kash Meerab kash. 
Meerab:Mariyaam ka dil maat tutne dena murtasim.Dil tutne ki gunj umar bhar sunai deti hai Aur insaan ke liye mushkil ho jata hai us tore hui dil ko dobara judna.
Murtasim:Mein maa se baat karunga Aur unhe samjhane ki puri koshish karunga.

Meerab holds him tightly.

In the lounge area.

Everyone gathered there and Murtasim start the topic over Mariyaam's love.

Maa begum gets shocked and said;

Maa begum:Yeh sab meerab ka kiyadhara hai.Isne hi patti padai hogi apne modern society ki.Warna meri Mariyaam to aise nahi hai.Maine use Bachpan se sikhai hai ke uski shaadi humare Khandan mein hi hogi.Woh aisa nahi kar sakti.Yeh meri tarbiyat nahi hai.
Murtasim:Aap bina baat jane sare ilzam meerab pe kaise dal sakti hai.Use bhi abhi abhi pata chala hai is bade mein.Behtar hoga aap sare baten Mariyaam se puche.Bolo Mariyaam.
Mariyaam:Baat Sach hai maa.Mein pasand karti hu kisi se Aur yeh baat do din Pehle hi Bhabi ko pata chala hai Aur maine hi unhe kaha tha bhai se baat karne ko.Bhabi par ilzam maat lagai.
Maa begum:Kiya tumhe mein yeh baat nahi samjhai ke Khandan se bahar yaha kisi ka rishtan nahi judta.
Mariyaam:Maine Itna soch ke mohabbat nahi kiya tha maa.

Maa begum comes to slap her but murtasim stop by holding her hand.

Murtasim:Maa kya kar rahi hai aap?
Maa begum:Iske aqal thikane lana jaruri hai.
Murtasim:Meerab,Mariyaam ko leke andar jao.

Meerab takes Mariyaam to her room.

Murtasim calm down his mother and said;

Murtasim:Maa yeh waqt sakti ka nahi hai.Mariyaam ko samaj ne ka hai.
Maa begum:Samaj ne ka nahi samjhane ka hai.Mein iske liye ladke dekhna shuru kar deti hu.
Murtasim:Phir zabardasti karenge aap?Zabadasti se rishtan nibhte hai kiya?
Maa begum:Kya tum khush nahi ho aab?Tum bhi to shaadi nahi karna chahte the Lekin aab dekho biwi ke isharon se chalte ho.
Murtasim:Humara Baat alag tha maa.Mere Zindegi mein meerab se Pehle koi nahi tha.Guzarte waqt ke sath sath hume ek dusre se mohabbat ho hi gayi.
Maa begum:Ek baar shaadi ho jai to woh bhi bhul jayegi use.
Murtasim:Har baar aisa nahi hoga.Majburi mein rishten nahi nibhte maa.Dam ghut tha hai aise rishten mein.Har insaan ko haq hai khush hone ki.Aur kya us baat ka guarantee hai hai aap ki chuni gaya ladka sahi ho jayega.Agar woh sharabi Aur aurat pe hath uthanewala nikle to kya karenge.Agar Mariyaam uske sath khush na ho to kya karenge hum us waqt.Ho sakta hai jo ladka Mariyaam ne pasand kiya ho Sach mein sahi ho.Woh khush rahe uske sath.Yeh rewayat ka Mariyaam se khushi se badke hai Maa?Aap ek baar mil to lee us ladke se.Phir koi faisla karna rishtan dena hai yaa nahi.Bina use jane pehchane us rishten ko maat tukrai.
Maa begum:Tum lakh koshish karo Lekin mein is rishten ke liye haa nahi kahungi.
Murtasim:Thande dimag se is rishten ke bade mein soche Phir dekhna sahi faisla kar payenge.

Maa begum looks at him.

Murtasim comes to the room and sit on the sofa.Meerab put hands on his shoulder and said;

Meerab:Baat hui maa se.
Murtasim:Apni jid pe adi hai.Lekin woh bhi samaj jayenge.

Meerab comes to him and kissed on his forehead and said;

Meerab:Fiqr nahi karo sab thik hoga.
Murtasim:Tum ho na sath.Sab thik hi hoga.Tumhare sath ne Mujhe himmat dega har mushkil lamhe mein.

Meerab smiles.

[Any guesses who will be Mariyaam choice]

Author's note:TERE bin should go this way How a girl like Meerab brought up in a modern society then circumstance brings her khan household.How she adjusted this place and Murtasim supported her.How Murtasim stand behind her in every situation and she accomplished her dream.Why they go to the typical ITV style.But I feel ITV is better than tere bin.And they totally forgot Meerab was wanting to become lawyer?

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now