TWENTY

1.7K 106 13
                                    

Meerab comes to see Mariyaam and she is crying.Meerab console her and said;

Meerab:Rona to band karo.
Mariyaam:Mujhe pata tha maa nahi manenge.Dekha na aap ne.Aab pakka woh mere liye ladke dekhne ke bade mein soch rahe honge.Aab tak to Shayed ladka dhund bhi liya hoga.Woh Meri zabardasti shaadi karayenge Bhabi woh bhi is Khandan mein.
Meerab:Aisa Kuch nahi hoga.Murtasim hai na.
Mariyaam:Aap maa ki jid ko nahi jante.Bhai bhi kuch nahi kar payenge.Woh bhi jhuk jayenge maa ki faisle ki age.Aur meri mohabbat adhora reh jayega.
Meerab:Nahi rahega adhora tumhari mohabbat.Mein hu na.
Mariyaam:Agar maa nahi manenge to mein bhag jaungi.Lekin zabardasti ki shaadi nahi karungi.
Meerab:Hosh mein to ho kya bole jaa rahe ho.Mein tumhe koi galat qadam uthane nahi dungi.Aise ghar se bhagke sab ke dil dukhake tumhe kuch bhi haseel nahi hoga.Khandan ki izzat ka janaza maat nikalo.Waqt abhi hai kuch galat nahi hoga.

Mariyaam cried and Meerab console her and said;

Meerab:Dekho Pehle koshish to karne do Phir hum milke is mamle ka ek sahi haal nikalenge.Mein tumse wada karta hu kisi bhi tarha ki zabardasti mein tumhare sath nahi hone dungi.Yakeen rakho mujh pe.

Mariyaam hugs her.

In the room.

Meerab is tensed about Mariyaam then Murtasim comes to the room.

Meerab:Maa ne kiya faisla kiya?
Murtasim:Wohi yaha Mariyaam ki shaadi nahi karenge.
Meerab:Mariyaam ki khushi hai woh.
Murtasim:Maa bohot jiddi hai.
Meerab:Kya unki jid beti ki khushi se badke hai?
Murtasim:Unke liye rewayat ko bar karar rakhna sabse upar hai.
Meerab:To tum sab ki rewayat ke naam pe Mariyaam ki khushiyan qurban ho jayegi.Bhai hone ke nate tum Kuch bhi nahi karoge apni behen ke liye.
Murtasim:Bhul jayegi woh bhi us ladke ko dhire dhire.
Meerab:Mohabbat bhulna itna asan hai?
Murtasim:Shayed hai.
Meerab:To kabhi tum bhi Mujhe bhul sakte ho?
Murtasim:Kaha ki Baat kaha lee jaa rahi ho.Hum dono ki Baat kaha aa gayi hai yaha.
Meerab:Tum bhi to mujhe mohabbat karne ki dawa karte ho.To kya tum bhi kabhi Mujhe bhul jaoge?
Murtasim:Tum meri biwi ho.Humare bich shaadi ka rishtan hai.Mein kaise tumhe bhul sakta hu?
Meerab:Lekin tumhe lagta hai insaan ke liye mohabbat bhulna asan hai.
Murtasim:Maine Mariyaam ke hawale se kaha.
Meerab:Mohabbat mohabbat hoti hai murtasim.Aur sacchi mohabbat bhulna asan nahi hota.

Meerab goes to the washroom.Murtasim try to understand her but she didn't listen.

In the night.

Meerab didn't talk with Murtasim.He tried to pacify her but Meerab ignore him.Both spend the night restlessly.

In the next day.

Maa begum announced That some family comes to see Mariyaam.She have to get ready at the evening.Mariyaam and Meerab both are getting shocked.Meerab don't know what to do.

Meerab comes to Murtasim and said;

Meerab:Kyun kar rahe ho aisa?Kiya ho jata agar Mariyaam ki khushi ka khayal rakhte to.
Murtasim:Jo ho raha hai hone do.Maa ke sath maat uljho.Warna woh sara ilzam tum pe dal denge.Aur Fiqr nahi karo jo hoga Accha hoga.
Meerab:Yeh hai acchai ki tum log insaan ki khushi kha jao jhute aana Aur rewayat ke naam.Mujhe laga tum Shayed is bade mein mukhtalif sochoge Lekin nahi tumhara soch bhi waise ka waisa hi hai.
Murtasim:Mujhe jo Kehna hai kaho.Hoga wohi jo maa chahte hai.Ummed karunga tum Koi mushkil halat paida nahi karoge.Mere izzat ka khayal karoge.

Murtasim left from there.

Then Haya comes to her and said;

Haya:Kya hua baat nahi mane woh tumhara?Tum to dawa karti thi woh mohabbat karta hai tumse to aaj tum use apni baat ke liye bhi nahi mana paye..Aab to samaj jao usne shaadi tumse majburi mein ki Aur....
Meerab:Rishtan jaisa bhi juda hai Lekin aab mein uski biwi hu.Aur har shadishuda jude ki bich anban hoti hai.It's a very normal thing.Aur ek Baat rishtan bhale hi majburi mein juda ho yaa zabardasti Lekin aab woh mujhse be inteha mohabbat karta hai.Aab ek baat ki wajah se mein humare sare mohabbat ke lamhe jo sath bitai thi Aur jo behad khubsurat tha woh nahi bhul sakti Aur nahi bhul sakti hu woh mera kitna khayal Aur sath diya hai aab tak.

Meerab left from there leaving Haya in furious.

In Mariyaam's room.

Meerab help Mariyaam to get ready.

Mariyaam:Mujhe nahi jana unke samne.
Meerab:Maa ka hukm hai jana to padega hi.Aur sirf dekhne se hi rishtan tei nahi ho jata.
Mariyaam:Woh bhi mera phone nahi utha raha.Pata nahi kaha hai?
Meerab:Kab se Baat nahi ho rahi?
Mariyaam:Kaal se.
Meerab:Yeh to wakai sochne ki baat hai.

Right Then Maid inform them that Guests are comes and Maa begum called them in the downstairs.

Meerab:Pehle niche chalte hai Phir jo hoga dekha jayega.Aur is masle ka bhi koi haal nikal hi jayega.
Mariyaam:Bhabi mein yaha shaadi nahi karungi.
Meerab:Aur mein hone bhi nahi dungi.

Reluctantly Mariyaam comes downstairs to meet the family.

Mariyaam shocked to see the boy and said;

Mariyaam:Naurez.

Meerab sees them and recalled this boy is resemble like that boy who comes to meet Mariyaam in the room.

Meerab looks at Murtasim and he is smiling.

Maa begum comes to Mariyaam and said;

Maa begum:Koi rewayat meri beti ki khushi se badke nahi hai.Waqt rehte Mujhe yeh samaj aa gaya.Maine bohot socha Phir mere dil se yehi awaz aayi ki rewayat ke khatir beti ki khushi barbad nahi honi chahiye.Aao beta beitho idhar.

Mariyaam gets delighted and some tears gathered in the corner of her eyes.

Meerab smirked at Haya.

Sabra:Mujhe Mariyaam bohot pasand aayi.Aap logo ko koi aitraaz na ho to hum baki bateen tei karle?
Maa begum:Hume bhi is rishten ko Inkaar karne ke liye koi wajah nahi hai.Aap sharif log hai Aur khandani bhi.Aap ka beta pada likha Aur sab se ahem baat woh meri beti ka pasand hai.To humari taraf se bhi rishtan Pakka.

Meerab sees the happy face of Mariyaam and thinks finally she can break the stereotype of this family.They prioritise Mariyaam's happiness over Rewayat.

Author's note:As I say before I'll write the Mariyaam track with some better storyline.I hope you're liking the plot that Mariyaam didn't get fooled by someone and actually choose the right person.

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now