EIGHT

2.4K 123 13
                                    

After the niqah ceremony,Mariyaam brings Meerab to the room.Meerab irked to see the decorated room.

On the other hand.

Murtasim smoking in the yard and recalled Anwar's words and said;

"Chacha sahi keh rahe the agar uske sath sakti se pesh ayunga to woh bhi apna talwar nikal kar humesha war karne ko tayar rahegi.Phir woh mera kamra nahi jang ke maidan ho jayega.Use apne age jhukane ke liye Pehle Mujhe jhukna hoga."

Murtasim throwing away his cigarette and goes towards the room.

Murtasim entered the room and finds Meerab change the attire and wear a simple dress for sleep.

Murtasim:Mujhe laga tum mere intezar mein hogi.
Meerab:Kyun karo mein tumhara intezar?
Murtasim:Shohar hu tumhara.Tumhe dekhne haq sirf Mujhe tha.Lekin mein to apni biwi ke sajawat bhi nahi dek saki.Jab ki woh tayari sirf mere liye tha.
Meerab:Mein humesha apne liye tayar hoti hu Aur khud ko dekhne ka haq bhi sirf mera hai.
Murtasim:Thik hai baki baten kaal hogi.Bohot thak gaya hu to so jate hai.

Murtasim goes towards the bed.Meerab comes to her and said;

Meerab:Waha kaha jaa rahe ho?
Murtasim:Andhi ho kya?Dekh nahi rahe ho sone jaa raha hu.
Meerab:Tum bed pe nahi so sakte.
Murtasim:To kaha sou tumhare sad pe?
Meerab:Jaha bhi sona hai so jau Lekin bed pe nahi.Mujhe yaha sona hai.
Murtasim:So jau tumhe mana kon kar raha hai.Bed itna bada hai ke hum dono ke liye kafi hai.
Meerab:Kisi khushfehmi mein maat rehna ke mein Tumhare sath bed share karungi.
Murtasim:Har couple bed share karte hai.Tum kaha ki azoba ho.
Meerab:Woh karte honge jinki shaadi razamandi se hua ho.Zabardasti se nahi.
Murtasim:Maine kiya tha Tumhare sath zabardasti?Shaadi ke liye Pehle razi tum hui the.Tumhari haa ke baad hi maine haa bola tha.Us waqt mana kyun nahi ki.Is ghar mein rehne ke liye Pehle Mujhe apna muhafiz banaya Phir mujhi se hi tumhe dur rehna hai.
Meerab:Kyun ki mein tumhe apna shohar nahi manti.
Murtasim:Film chal raha hai ya koi.Shaadi karli par shohar nahi manta.
Meerab:Chali to gayi thi mein shaadi chod ke to kyun lee aye the mujhe.
Murtasim:Tumhe lagta hai tum Mujhe baizzat karke chali jaoge Aur mein hath pe hath dhare beith jaunga.Jo kiya apni izzat ke khatir kiya.Aab Usi izzat ke khatir is rishten ko bhi nibhaunga.Tumhe jaha sona hai so jau Lekin mein bed nahi chodunga.Aur Waise bhi mere bagal pe so jauge to tumhe mein kha nahi jaonga.Mujhe khud par kabu hai.Agar tumhe apne ap par kabu nahi hai to beshak mujhse dur raho.

Murtasim lying down on the bed and murmured;

"Yaa Allah Mujhe sabar de iski karwi baten jhelne ki."

Meerab thinking about his last word and lying down beside him.

Murtasim sees it and smiles.

In the next day.

Meerab heard knocked out on the door and open it.

Haya comes there and said;

Haya:Murtasim ke liye chai layi hu.
Meerab:Woh Filhal so rahe hai.
Haya:Mere jagane ke baad hi to uski ankhen khulegi.

Haya comes inside and Murtasim wakes up and said;

Murtasim:Tum yaha kya kar rahe ho?
Haya:Chai layi hu tumhare liye.
Murtasim:Kitni baar mana karne ke baad sunoge ki Mujhe tumhari hath chai nahi pini.Aur kab piya hai mein tumhare hath chai jo humesha lee aati ho.Baj aa jao Haya apni harqat se.
Haya:Murtasim mein to bas...
Murtasim:Aur ek baat kaan khol ke sun lo Mein Aab shaadishuda hu.Yeh kamra sirf mera nahi meri biwi ka bhi hai.Kabhi bhi chali maat aana.Mujhse Aur meri shadishuda Zindegi se dur raho.Yeh Tumhare liye Aur sab ke liye sahi hoga.Aab jao yaha se.Agar Mujhe kuch chahiye ho to meri biwi hai mere khayal rakhne ke liye.Tumhe takalluf lene ki zarorat nahi.Aab jao.Ayenda aane se Pehle Meerab ki izazat leke aana.

Haya feels insult infront of Meerab.She left from there.

Murtasim:Haya ki baat zehen mein maat lao.Woh Pata nahi kyun aisa karti hai jab use pata hai mein use zara bhi pasand nahi karta.
Meerab:Mujhe safai kyun de rahe ho.Mujhe tumhare Zindegi se koi lena dena nahi hai.Jo karna hai karo.

Meerab going to freshen up and Murtasim said;

"Mein bhi kisse ummed laga raha hu."

Meerab getting ready and going to wear the chain which is twisted.

Murtasim takes the chain from her and said;

Murtasim:Lao mein sahi kar deta hu.
Meerab:Tum tod doge.
Murtasim:Tod ke bhi jod dunga.
Meerab:Dekho mere mamlat mein dhakal na do.
Murtasim:Dakhal nahi dunga pura ka pura ad jaonga.
Meerab:Tum ad jao yaa jam jao Phir bhi hath tumhara Kuch nahi ayega.
Murtasim:Tum bhi ek din hath aa hi jaoge.

Murtasim takes the chain from her and fixed it.

Murtasim removed her hair and He wears it by his hand.

Meerab feels uneasy and fixed her hair.

Murtasim:Niche chalo Aur haa jaisa mein rahu waisa hi rehna.
Meerab:Mein waisa hi karungi jo Mujhe thik lage.
Murtasim:Tum mere baat manna shuru kardo tumhare din raat acche ho jayenge.Tumhare bhale ke liye keh raha hu.
Meerab:Agar mera bhala karna hota na to us waqt karte jab humari shaadi ho rahi thi.Aab tumhare muh se bhala sunna qayamat ke nishani lagta hai.
Murtasim:Aab chalo Warna yaha khade khade qayamat khada kar dunga.Aur mere qayamat tum samhal nahi paoge.

Murtasim puts her dupatta on her head and said;

Murtasim:Chalo.

Meerab follow him.

After a while.

Haya meet meerab and said;

Haya:Itralo jitna itrana hai akhir mein Murtasim mera hi hoga.Tum jyada din mera haq nahi chin paoge.
Meerab:Maine kisi ka haq nahi china.Yeh jo Kuch hai woh bhi Mujhe chahiye bhi nahi tha Phir bhi mere hath aaya hai.
Haya:Murtasim mera hai.
Meerab:Aab  mera shohar hai.Tum mujhse Aur usse dur raho.Waise bhi murtasim tumhe pasand nahi karta.Apni hath se khud ki baizzati maat karao.Apni izzat e nafs ko bar karar rakho.Yehi Tumhare liye sahi hoga.

Meerab going to her room.

Author's note:The chain sequences was my one of my favourite scenes.That's why I put this scene on there.Missing old Meerasim chemistry.

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now