FOUR

2.3K 128 16
                                    

Meerab gets numb and forgot to cry.

Maa begum along with her family coming to the funeral home.

Saba try to feed Meerab but she can't eat nothing.She stay at her room and refuse to meet with anyone or said everyone that nobody disturb her.

Maa begum and Murtasim sitting on the lounge room,Anwar comes and said;

Anwar:Aap log chale jai Hydrabad.Mein kuch din theher ke ayunga.Aab us bacchi ko akele chod ke kaise aa sakta hu.
Maa begum:Mein bhi rukta hu tumhare sath.
Anwar:Aap ko dekke use bura bhi lag sakta hai.Dekh nahi rahe woh kaise khud ko kamre mein band kar liya hai.Kisi se milna hi nahi chahti.Use Filhal zehni sukoon ki sakht zarorat hai.Aap log jai mein baad mein aata hu.
Murtasim:Chacha sahi keh rahe hai.Hum chalte hai Maa.Use akela chod dete hai.q

Maa begum and Murtasim left for Hydrabad.

Some days passed.

Meerab can't  get rid of her grief.Anwar comes to her room with some food and said;

Anwar:Aisa karoge to kaise chalega beta.Tumhari aage puri Zindegi hai.Tumhe to jini hai.
Meerab:Maine kabhi socha nahi tha ke ek din mama baba Mujhe chod ke yun chali jayenge.Mujhe to unke thode der ki judai bhi bardast nahi hoti thi.Aab puri Zindegi mein kaise rahungi unke begair?
Anwar:Mein hu na tumhare sath.Chacha kya baap jaisa nahi hota?

Meerab looks at him.

Anwar:Chalo beta kuch kha lo.Tum Pisle kuch dino se thik se nahi khaya.Agar aise chalte rahega to tum bimar pad jaoge.Tumhe is mushkil waqt mein himmat nahi harni.Majbut reh ke khud ki dhal banni hai.Tum to apni maa bap ki bahadur beti ho na.Himmat karo beta.

Anwar feed her and tears drop from Meerab's eyes.

Anwar is tensed for Meerab.He can't leave her alone in the home and he also can't stay there.He have lots of responsibility in the Hydrabad.He thinks to pacify Meerab to go to Hydrabad.

Anwar:Beta ek kehna tha.
Meerab:Bole chachu.
Anwar:Tum akele is ghar mein kaise rahoge?
Meerab:Jaise is bade si Duniya mein akele rahungi Bilkul Waise.
Anwar:Tumhare liye yaha akele rehna safe nahi hai beta.
Meerab:Kuch nahi hota.Rehna to padega.
Anwar:Meri baat mano mere sath Hydrabad chalo.Tum wahi rehna.
Meerab:Aap ko lagta hai mein waha jaungi.Jis ghar ne mere baba se sare taluk khatam kar diye the Aur meri mama ko kabhi nahi apnaya waha Mujhe waha nahi jaana.
Anwar:Yeh sab na sochke ke yeh socho woh tumhari Anwar chacha ka bhi ghar hai.Tum haveli ke us pad Rehna jo mere hisse mein aaya hai.Aur beta waha tumhari baba ka bhi hissa hai.
Meerab:Mujhe nahi jaana waha.
Anwar:Kabhi kabhi humari khud ki hifazat ke liye hume woh qadam uthana padta hai jo hume Shayed kabhi pasand bhi nahi hoti.Is ghar mein tumhari akele rehna safe nahi hai.Agar kisi gunde badmash ko pata chale yaha akele ek aurat rehti hai to unka nazar tum par aa jayega.Aur char logo char baten banainge.
Meerab:Char logo ki parwah nahi hai Mujhe.
Anwar:To khud ki fiqr karo.Chalo beta mere sath.Woh bhi tumhara apna ghar hai.

Meerab fall in dilemma.

Meerab thinks a lot about to go to the Hydrabad.For her own safety she decided to go there.It's not safe for her to stay there.Her maid told her once man asked how can Meerab stay this home in alone.Now they know she stay with her uncle.If her uncle go back,people will annoy her a lot.

Meerab told her decision to go Hydrabad.Anwar delighted to hear that.

In the next day.

Meerab along with Anwar khan left for Hydrabad.

Maa begum welcome her.Meerab feels irked but don't show it.

Murtasim and Meerab shocked to see each other and also find out they are cousin.But they doesn't react infront of the family.

Mariyaam brings Meerab to her room and said;

Mariyaam:Yeh hai aap ka kamra.
Meerab:Thank you.
Mariyaam:Aap Mujhe jante hai?
Meerab:Nahi.
Mariyaam:Mein Mariyaam hu.Maa begum ki beti.
Meerab:Oh.
Mariyaam:Ek baat kahu Meerab.
Meerab:Bolo.
Mariyaam:Hume pata to tha humara ek Aur cousin bhi hai par aap se kabhi mulakat hogi woh nahi socha tha.Bohot Accha laga aap se milke.

Meerab smiles.

After a while.

In the garden.

Meerab comes there to take some fresh air.She gets Ruhail's call.She takes it.

Ruhail:Maine suna tum Hydrabad chali gayi ho?
Meerab:Koi option nahi tha yaar.Is liye aana pada.
Ruhail:Tum thik to ho?
Meerab:Pata nahi.Yaha mein kabhi ayungi socha nahi tha Lekin kismat ka khel dekho.Mujhe yaha lee aaya.
Ruhail:Kisi chij ki zarorat ho yaa kisi tarha ki madad ki zarorat ho to mujhe batana.Yaad rakhna ek dost hai tumhara.Zamana sath de yaa na de mein dunga tumhara sath.
Meerab:Thank you.Tumne yeh keh diya dil ko bohot sukoon aaya.Rakhti hu Allah hafiz.

Meerab cut the call.She turned around and see Murtasim is behind her.

She ignored him and about to leave.

Murtasim block her way and said;

Murtasim:Tum wahi ho na...
Meerab:Ha mein wahi ho jisne tumhari gari ke sisha todi thi.
Murtasim:Tumhe bhul kaise sakta hu.Acchi tarha se yaad ho Mujhe.
Meerab:To kabhi bhulna bhi maat.Tumhari ghar mein aaj mein reh rahi ho Lekin yeh Galatfehmi mein kabhi maat Rehna ke main Bechari hu yaa koi lachar hu.Mere andar ki josh aab tak Bilkul waisa hi hai jaise Pehle mulakat mein thi.
Murtasim:Tumhe pata hai tum bad zubaan ke sath sath kitni Baittamiz ladki ho.
Meerab:Khud ko mein bohot acche se janta hu.Tumhare muh se apni bade mein sochna ka koi interest nahi hai mera.Aab rasta chodo.Ayenda kabhi mere rasta rukne ki koshish maat karna.
Murtasim:Jab tak tum mein nahi chaho tab tak tum andar nahi jaa sakte.
Meerab:Aur tum izazat denewale hote kon ho?
Murtasim:Murtasim khan.
Meerab:Hoge tum jo bhi Lekin mere tum Kuch nahi lagte Aur mujh par hukm chalanewale tum koi nahi ho.To khamakha ke yeh hukmrani mujh par maat azmao.

Meerab going to enter the home but murtasim holds her hand and said;

Murtasim:Meri beizzati karke tum andar nahi jaoge.
Meerab:Beizzati tumhari tab hogi jab mein tumhe koi izzat du.

Meerab released her hand and entered the home.

Murtasim looks at her departure and burst into the anger.

[Glad to learn you're loving the story 🙏]

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now