Seven

2.2K 119 11
                                    

Murtasim also agreed for the marriage.Haya is crying in her room.

Anwar khan comes to Murtasim and said;

Anwar:Shaadi ki bohot bohot badhai ho beta.Ummed karta hu tumhari yeh shaadi kamiyab hogi.
Murtasim:Bas dua mein yaad rakhna.
Anwar:Beta meerab ek bohot hi suljhi hui ladki hai.Bas thodi si ziddi hai.Humesha karti wohi hai jo use thik lagta hai.Mujhe lagta hai hume aisa lagta hai woh apni manmani karta hai Lekin agar tum aisa sochoge ke uski tarbiyat kaise Aur kis mohol mein hui thi to tum usse Aur acche tarha se samaj paoge.Karachi jaise sheher mein woh badi hui.Woha ki jo normal Baat hai yaha humare liye sochna bhi gunah hai.Woh kabhi usool Aur rewayat ke zanzir ped mein bandke badi nahi hui hai.Woh to humesha se ek azad parinda thi.Aur use pankh uske waldain ne diye the.Agar yaha aane ke baad hi agar koi zabardasti uske pankh katne ki koshish karenge to baghi woh ho jayegi.Is ghar mein kabhi rang nahi payegi.Beta tum samaj rahe ho na mein kya Kehna chahta hu?
Murtasim:Ji chachasab.
Anwar:Tum mohabbat dekar hi uski mohabbat haseel karna.Dusre ko jhukane se Pehle hume khud uske age jhukna padta hai.Apni baat manwane ke liye Pehle hume baat manni padti hai.Aur shaadi ka rishtan to barabari ka hai.Is rishten mein koi kam yaa jyada nahi hota.Mujhe tumse bohot ummed hai Beta.Tum kabhi mere bhai ki amanat ka dil nahi dukhaoge.
Murtasim:Mere liye dua karna ta ki mein use jhel saku.

Anwar Khan laughed.

After a while.

Everyone gathered in the lounge area.Murtasim put ring on Meerab's finger and their marriage fixed on the next day.

In the Meerab's room.

Meerab looking at her ring and think.Right then Haya entered the room and snatched the ring from her.

Haya:Tumhe kisne haq diya hai mujhse mera haq chinne ka.Kya sochke razi hui ho tum is shaadi ke liye.
Meerab:Bohot kuch soch ke.Bohot mohabbat karti ho na Murtasim se?
Haya:Haa.
Meerab:Shaadi karna chahti ho?
Haya:Haa.
Meerab:Woh bhi karna chahta hai tumse?
Haya:Haa.
Meerab:To jake kaho woh is rishten se mana karde.
Haya:Tum mana kardo na.
Meerab:Maine kiya tha Lekin kisi ne suna nahi.Murtasim karta to yeh shaadi kabhi nahi hota.
Haya:Murtasim kabhi maa begum ki baat nahi talega.
Meerab:Galat.Mard tab tak shaadi ke liye haa nahi kehta jab tak woh khud na chahta ho.Murtasim bhi Shayed yeh chahta ho.Maf karna Mein majbur hu Aur meri is majburi is ghar mein koi nahi samjha.

Haya looks at her.Meerab taken her ring from her.

In the marriage day.

Maa begum send Wedding attire to Meerab.Some ladies starting to get her ready.After her getting ready,She sent everyone from the room.

She called Ruhail and said;

Meerab:Yaad hai tumne Mujhe kaha tha Ruhail zamana sath de yaa na de tum mera sath har haal mein doge.
Ruhail:Ha bola tha.Aur mein har waqt tayar rehta hu tumhare madad ke liye.
Meerab:Mujhe tumhari madad chahiye.

In the wedding venue.

Everyone is waiting for Meerab to come there so that they can started the niqah ceremony.

Maa begum send Mariyaam to bring her.

Mariyaam comes to the room and didn't find Meerab there.She looks everywhere in her room and and house but Meerab is not here.

Mariyaam gets restless and comes to maa begum.Murtasim sees her face and doubt something is wrong.

Murtasim:Kya hua Mariyaam?
Mariyaam:Bhai Meerab apni kamre mein nahi hai.Maine pura ghar dekha woh waha bhi nahi hai.
Anwar:hoga kahin.Kahan jayegi woh.
Maa begum:Bhag gayi hogi.Anila ki beti se Aur ummed bhi kya hogi.Shaadi wale din humare izzat ka dhaziya udake chali gayi hai woh.Is din ka intezar mein thi woh taki humari baizzati kar sake.
Murtasim:Maa bas kijiye.

Murtasim takes off his turban and gets off the stage.

Maa begum:Tum kaha jaa rahe ho?
Murtasim:Use dhundne.
Haya:Chali gayi to jane do na use.Use dhundke karoge kya?
Murtasim:Shaadi hai aaj humari Aur woh shaadi aaj hoke rahegi.Aab baat meri gairat ka hai.

Murtasim told his men to take the car.He left the home to look for her.Haya is delighted.She thought this marriage will not happen.Murtasim will not find meerab.

On the other hand,

Meerab is waiting for Ruhail.Suddenly someone holds her hand,she thought it's Ruhail but shocked to see Murtasim there.

Murtasim holds her tightly and said;

Murtasim:Kisne haq diya tumhe aise humari Khandan ki be izzati karne ki.Apni marzi se razi hui thi na shaadi ke liye to aab bhagne ki kya zarorat pad gayi.
Meerab:Marzi nahi majburi thi.Tumhari chuppi ne Mujhe majbur kiya tha haa kehne ke liye.Lekin jab mein gor se socha to samaj aaya zabardasti ghar nahi baste.
Murtasim:Jo bhi tha shaadi nahi karni to keh deti mein sab ko mana leta.Lekin tumhari aaj ki yeh harqat na qabl e mafi hai.Aab ghar chalo.
Meerab:Mujhe nahi jaana.
Murtasim:Jana to hoga.Aur shaadi bhi aaj hi hogi.Aab baat mere izzat ka hai.Agar yeh shaadi na hui to kaal sab murtasim khan ki izzat ka mazak udainge.Aur Mujhe woh bardast nahi hoga.Shaadi to aab hoke rahegi.

Murtasim holds her hand and forcefully sitting on the car.And left from the home.After they leave Ruhail comes there and waiting for her.

Murtasim and Meerab coming home.Haya heartbreak to see them together.Maa begum sees Meerab and said;

Maa begum:Kaha chali gayi thi?
Murtasim:Yeh sab baten baad mein hogi Pehle niqah padai.Kafi raat ho chuki hai.

Murtasim made her sit down on the place.He sit next to her and Qazi sahab started niqah.

Meerab had no choice,she have to agree.

After the niqah ceremony,Murtasim told to everyone that nobody will never talk about this incident anymore.It's over now.

Author's note:And here's the another co incident I already wrote the Meerasim engagement part but watching the promo of Hayasim Engagement.How pathetic and disgusting it was!

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now