TWENTY ONE

1.8K 99 5
                                    

Mariyaam alliance gets fixed with Naurez.Family decides they'll do the niqahfied first then complete the other ritual of the wedding.

After guests leave,Mariyaam said;

Mariyaam:Maa aap itne asani se maan kaise gayi?
Maa begum:Tumhari wakeel ne Aisi Kuch baat kahin ki Mujhe is rishten ke bade mein sochne pe majbur kar diya.
Mariyaam:Meri wakeel?
Maa begum:Tumhari bhabi.

Maa begum recalled her conversation with Meerab.

Before the night conversation with Murtasim,Meerab comes to Maa begum's room and said;

Meerab:Mujhe pata hai aap ko meri baat nahi sunni.Phir bhi mein jo kehne aayi thi woh kehke jaongi.
Maa begum:Tum to wohi karti hu jo tumhe karna hai.Bolo kya bolna chahti ho Lekin Tamiz Aur tehzib se.Bhulna maat mein saas hu tumhari.
Meerab:Aap ke liye rewayat aap ki bacchon ki khushi se badke hai?
Maa begum:Haa.Mere liye rewayat sab se age hai.
Meerab:Is liye aap ko aap ki beti ki ansu se bhi koi fadak nahi pada.
Maa begum:Woh na samaj hai apne bhale bure ka pata nahi hai use.
Meerab:Woh itni badi to hai ke woh apne liye acche bure ka faisla lee sake.Lekin aap ne jid pakad ke beith gayi ki Khandan se bahar rishtan nahi karna.Agar aab us ladke ke ilawa uske jaga koi farishta bhi aa jai Phir bhi aap ko is rishten se Inkaar hi hoga.Aap puri Yakeen ke sath keh sakti hai aap Jaha rishtan karenge waha aap ki beti khush hogi.Apni mohabbat ko bhula kar kisi Aur ko apna ke woh rishtan nibha payegi?Shayed mashre ke khatir woh rishtan nibha bhi de kya woh dil se khush rah payegi?Nahi maa woh dil se kabhi khush nahi hogi.Har pal gut gut ke jiyegi.Takleef Aur aziyat se majbur hoke rishtan nibhaigi.Aur us waqt use aap ki kiye gayi faisle yaad ayegi Aur aap ko woh qusurwar therayegi apni halat ke liye Aur kahegi meri maa ne meri pasand ke bade mein janne ki bhi koshish nahi ki.Kya aap ni beti ki takleef dekke aap khud ko maf kar payenge?Kya aap us waqt aap ki beti ki nazron mein nahi gir jayenge.Is liye kehta hu abhi bhi waqt hai rewayat nahi Mariyaam ki bade mein soche.Uski khushi ko tarzi de.Aur jo rewayat insaan apni hath se banata ho use uski gale ka hi fanda maat banaiye.
Maa begum:Tum Yakeen ke sath kaise keh sakti ho ke woh ladka sahi hai Mariyaam ke liye.Ho sakta hai woh bhi galat nikle.Mein to uski khushi ke liye use kuye mein nahi phek sakti.
Meerab:Mein kaha keh rahi hu ke aap waha hi Mariyaam ki shaadi karai.Mein chahti hu aap ek baar us ladke Aur uski family ke bade mein pata lagai.Mile un logo se.Unse milne ke baad agar aap ko Kuch galat nazar aay to beshak maat dena rishtan.Mariyaam ko mein samjhaungi.Lekin bina unse mile jane begair sirf is liye rishtan na dena kyun ki Woh Khandan se bahar hai woh zaidti hai.Milne ke baad jo faisla karenge hume manjur hoga.Aur Mujhe Yakeen hai aap faisla karte waqt beti ki khushi ke bade mein sochenge.Kisi rewayat ke bade mein nahi.

Maa begum looks at her.Meerab left the room.Maa begum thinking about Meerab's word.She talk with Murtasim and he finds out about Naurez, he is from a decent family and he is a good guy.Murtasim told to Maa begum to make it surprise.Don't disclosed that she is going to invite Naurez and his family.

In the room.

Meerab hugs Murtasim and said;

Meerab:Aaj mein bohot khush hu.Finally Mariyaam ko uski khushi mil gayi hai.
Murtasim:Aaj pehli baar apni marzi se ma ne Kuch faisla kiya hai jo humari rewayat ke khilaf hai.Aaj kuch naya hua ghar mein.
Meerab:Aisa nahi hai jo jaisa chal raha hai waisa hi chalti jai.Kabhi kabhi naya ko jaga dene ke liye Purane ka sath chodna parta hai.Jaise har nayi subha ek nayi chiz ka agaz karti hai.Har nayi shuruwat behtari lata hai.
Murtasim:Sach kaha tumne.
Meerab:Ek minute tumhe kaal raat se pata hai maa is rishten ke liye maan gayi hai Phir bhi tum chup the.
Murtasim:Agar keh deta to aisi khush hoti?Tumhare honton ki is muskan ke liye Kaal tumhari narazgi bhi jheli.
Meerab:Tumne baat bohot galat kiya tha?
Murtasim:Muh se nikal gaya tha.Aur maine woh baat hum dono ko indicate karke nahi bola.Phir bhi agar tumhe bura laga ho to I'm extremely sorry.
Meerab:Filhal maf kar raha hu Lekin agli baar aisa kuch kahoge to sidha fasi pe latka dungi.
Murtasim:Hum to haste haste aap ke liye apna jaan bhi de denge.
Meerab:Jaan nahi chahiye sath chahiye tumhara.
Murtasim:Mein to hu tumhare sath har pal har waqt har lamha.Tum bhi mera sath maat chodna.
Meerab:Kabhi nahi.
Murtasim:Allah kare aise hi haste muskurate kat jai Zindegi.Waise kaal raat tum ko maine miss bohot kiya aab chahti hu tum kaal ki kami aaj puri kardo.

Murtasim coming closer to her and Meerab understand what's murtasim going to do.Meerab gets a chance and flew away from the room.Murtasim smiles.

Meerab collides with Haya.

Haya:Samhal ke.
Meerab:Yeh baat to tum par lagu hota hai zara samhal ke.Aur kya keh rahe the us waqt agar murtasim mujhse mohabbat karta to woh meri baat jarur mante.Dekho aaj kiya hua.Murtasim ne Mariyaam ke rishten ke baat is liye chupai taki mere honton pe muskan aa sake.Aise mohabbat karta hai woh mujhse.
Haya:Koi mohabbat nahi karta tumse.
Meerab:Ek Baat batau tum to Bachpan se yaha pali bari ho na.Tumhari tarbiyat bhi maa begum ke hath huya.To woh tumhe bahu banane ki jaga Mujhe dekhtei bahu kyun bana diya?
Haya:Ta ki murtasim tumhe daba ke rakh sake.
Meerab:Kya mein dabi hui hu?Na hi naa pura Bachpan sath guzarne ki wayozud bhi murtasim ne kabhi tumhare bade mein nahi socha.Lekin us ladki se be panah mohabbat kar beithi jise woh pasand bhi Shayed nahi karta tha.Isko hi mohabbat kehte hai.Zor zabardasti se koi kisi ko haseel nahi kar pata.Waqt hai sudhar jao.

Haya looks at her.

Author's note:Need your feedback.

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now