TWO

2.5K 104 8
                                    

In the Engagement venue.

Ruhail comes to Meerab and said;

Ruhail:You looking beautiful.
Meerab:I know.
Ruhail:Ek Baat kehna tha tumse.
Meerab:Koi baat kehne se Pehle yaad rakhna Ruhail tum mere sirf acche dost ho.Isse jyada ummed tum mujhse maat rakhna.Aur mein kabhi tumhe ek dost se jyada kuch samjha nahi Aur na kabhi samjhungi.Kuch bhi kehke jo dosti ka rishtan hai woh kharab maat karo Aur mere liye situation ko awkward maat karna please.Aab bolo kya Kehna chahte the.
Ruhail:Bohot khubsurti se tumne bohot kuch keh diya hai.Na mera dil tuta Aur nahi Mujhe mayusi hui.Aab kuch nahi Kehna Mujhe.Mere liye bhi is dosti ka rishtan bohot aziz hai.

They both smiles at each other.

Hydrabad.

Maa begum comes to Murtasim's room and said;

Maa begum:Gari ka sisha kaise toota?
Murtasim:Chota sa accident ho gaya tha.
Maa begum:Allah khair tum thik to ho beta?
Murtasim:Mein Bilkul thik hu Maa.Aap fiqr nahi kare.Jis ke wajah se mera yeh nuksan hua hai use uski bharpai karni hogi.
Maa begum:Kisne kiya tha yeh?
Murtasim:Tha koi Baittamiz magrur ladki.
Maa begum:Ladki?
Murtasim:Khair chode is baat ko.Mein Aur baat nahi karna chahta is bade mein.
Maa begum:Thik hai khana khalo aake.Table tayar hai.
Murtasim:Aap jai mein aata hu.

Maa begum left from the room.

Still murtasim can't forget the incident.He can't digest the fact that how a ordinary girl raised voice against him.For the first time someone hurt his ego.

In the Dining hall.

All the Family gathered in the dining hall.Anwar khan was in phone.He cut the call and joined them.

Maa begum:Usi se aab tak rabte mein ho na jisne palat kar kabhi hume nahi dekha.
Anwar:Bada bhai hai woh mera.Khoon ka rishtan hai unse.Rabta kaise na rakhu.
Murtasim:Usi khoon ne is ghar se sare taluk khatam kar diye hai Chachasab Shayed aap bhul chuke hai.
Anwar:Sab ne majbur kiya tha unse woh kadam uthane ke liye.Woh Bechara bhi kya karte unki biwi ko to kisi ne woh rutba nahi diya Jiske woh haqdar the.Apni biwi ke izzat ko bar karar rakhne ke liye unhe humse rishtan todna pada.Galti unki nahi humari thi.Kya ho jata agar Anila Bhabi ko apna lete to.
Maa begum:Kaise apnati us gana gane wali bahar se aayi ek aurat ko.Is khandan ki rewayat hai khandan se bahar hum kabhi rishtan nahi karte.

Haya smirked.

Anwar:Aap logo ki yeh purani soch pata nahi kab badlegi.
Murtasim:Kabhi nahi badlega.Aab tak jaisa chal raha hai waisa humesha rahega.
Anwar:Agar tum log apni rewayat nahi badal sakte to mujhe bhi majbur maat karo apne bhai Aur unke gharwalo se taluk na rakhne se.

Maa begum make a angry face.

In the next day.

Meerab brings tea for her parents.

Waqas:Aab to tum Mujhe mera adat bigad rahe ho beta.
Meerab:Woh kaise?
Waqas:Agar kaal tum shaadi karke chali jaoge to aise subhe subhe kon chai pilaiga hume?
Meerab:Mein hi pilaongi aap ko chai woh bhi humesha.Mujhe nahi jaana aap ko chod ke kahi bhi.
Anila:Yeh to Duniya ka dastor hai beta.Betiyan humesha baap ke ghar nahi rehti.
Meerab:Mein rahungi apne baap ke ghar humesha.
Anila:To tumhe shaadi nahi karni kya?
Meerab:Karungi Lekin sasural nahi jaongi.Ghar damad chalega Mujhe.Baba mere liye ek ghar damad dhundna.
Waqas:Suno beti ki baten.
Meerab:Baba I'm damm serious.Mujhe aap logo ki judai bardast nahi hogi.Is liye mein Allah se dua karungi ke mein aap logo se kabhi judah na ho.

Waqas kissed on her daughter's forehead and Anila smiles on them.

Hydrabad.

Haya smiles on Recalling Maa begum's word regarding the Khandan ki andar shaadi.

Mariyaam:Itna has kyun rahe ho?
Haya:Suna nahi Maa begum ne kiya kaha aaj?
Mariyaam:Kiya?
Haya:Wohi is khandan ke rewayat hai waha kisi ki shaadi Khandan ke bahar nahi hoti.
Mariyaam:Ha to.
Haya:To meri Aur Murtasim ki shaadi pakki.

Mariyaam laughing hard and said;

Mariyaam:Khule ankhon mein sapna dekhna koi tumse shikhe Haya.Tumhe lagta hai bhai tumse shaadi karenge?
Haya:Mere ilawa kon hai is khandan mein Murtasim ke layek.
Mariyaam:Maa begum ko acche tarha se pata hai Murtasim bhai tumhe kitna na pasand karte hai.Woh aisa kuch nahi karenge jo bhai ko pasand nahi ho.
Haya:Chahe jo ho jai Murtasim ki shaadi to mujhse hi hogi.Tum dekhna.
Mariyaam:Jaha mohabbat na mile waha apna waqt zaya maat karo Warna kismat mein sirf rona ayega Haya.Waqt rehte sudhar jao.Khud ki tazlil apni hath se maat karo.

Haya gives her a angry glance.

Karachi.
Meerab sees Her mother's sad face and said;

Meerab:Kiya hua mama?
Anila:Tumhare baba ke bade mein soch rahi hu aaj kaal woh apni gharwalo ko bohot yaad karte hai.Retired karke ghar mein hai na to tanhai mein woh unhe yaad bohot aate hai.
Meerab:Ek kam karte hai aap Aur Baba jake kahin ghum ke aa jai.Baba ko bhi Accha lagega aur ap dono ko bhi ek dusre ke sath waqt mil jayega.
Anila:To tum bhi chalo humare sath.
Meerab:Mujhe kebab mein haddi nahi banni.Aap log ho aay.Mein ticket kar dungi jaha aap log jana chahte hai.
Anila:Tum akele kaise rahoge?
Meerab:I can manage Mama.Aap log jao.
Anila:Mein Pehle Waqas se baat karti hu.Dekhte hai woh jate bhi yaa nahi.
Meerab:Aap unhe mana lena.Ja Simran jile apni Zindegi.
Anila:Nautanki.

Meerab laughed.

Hydrabad.

Murtasim entering home,Haya gives him a glass of water.

Murtasim:Kitni baar kaha hai Mujhe aisi behuda harqat Bilkul pasand nahi hai.Tumhari bheje mein woh baat gusti nahi hai kya?
Haya:Humesha Aise kyun pesh aate ho mere sath?
Murtasim:Kyun ki Mujhe nafrat hai behayai se.Aurat ka bejhijak mard ki qarib aane se.Chodo mera rasta.
Haya:Kyun nahi samjhte ho mein tumhe....
Murtasim:Dafa ho jau mere nazar ke samne se Warna Anjaam Accha nahi hoga.

Haya moved infront of him and Murtasim going towards his room.

Author's Note:This not completely similar to the drama story.Story and plot both are different from the Tere Bin.But you'll find the vibe of it.I hope my story going well and I don't disappointed you.

𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕 Where stories live. Discover now