In the lounge area.
Maa begum talking with Anwar;
Maa begum:Meerab ko lee to aye ho yaha aab age kiya karna hai?
Anwar:Baap ke ghar pe hai age kiya socho.
Maa begum:Baap ban gaye ho to baap ka farz bhi ada karo.Beti ko ruksat karne ke bade mein socho.
Anwar:Abhi abhi to aye hai.Tasalli se sochunga.Aab befikr rahe.In the next day.
Meerab getting late in the morning.Maa begum called her and said;
Maa begum:Is ghar ki kuch usool hai yaha koi itni der tak nahi sote.
Meerab:Jaga change hone ke wajah se Mujhe raat ko der se neend ayi thi is liye uthne mein der ho gayi.
Maa begum:Ayenda Aisi Galti nahi honi chahiye.
Meerab:Der se uthna koi Galti hai kya?
Maa begum:Jo bhi kam is ghar ke usool ke khilaf karoge usko hi Galti mani jayegi.Aye baat samaj mein?Meerab looks at her.
After a while.
Meerab is coming garden area and Roaming around.That time Murtasim was sitting with his men,He saw Meerab there without covering her head.
Murtasim gets furious,he goes to her and holds her hand and pulled her in the home.
Meerab:Hath chodo mera kya kar rahe ho?
Murtasim takes her in the lounge area where Maa begum and Anwar sipping on tea.
Anwar:Yeh kya harqat hai Murtasim?Hath chodo uska.
Murtasim:Puche apni ladli se kya kar rahi thi woh bahar?
Meerab:Kiya kya hai maine?
Murtasim:Samjha de koi is Baittamiz ladki ko ki is Khandan ke aurte bina dupatte sad pe ude mulazim ke samne nahi jati.
Anwar:Kiya bole jaa rahe ho yeh.
Murtasim:Agar ise is ghar mein rehna hai to ise bhi humare Khandan ki sare usool ko manni hogi.
Meerab:Nahi manni is ghar ke so called usool Aur rewayat.Yeh ghar hai ya koi qaid?
Maa begum:Sahi to keh raha hai mera beta.Agar is ghar mein rehna hai to yaha ki usool Aur rewayat manna farz hai tum par.Anwar,Meerab ko yaha lane se Pehle tumhe use is ghar ki tor tarike samjhana chahiye tha.
Meerab:Itni choti si baat ka batangar bana diya hai tumne.
Maa begum:Yeh konsa lehze mein baat kar rahe tum mere bete se.Humari Khandan ki ladkiyan aise kise se bhi baat nahi karte.Meerab gets super irked and said;
Meerab:Usool Aur rewayat sun sunke mere kan pak gaye hai.Mujhe nahi manna yaha ki jo bhi rasm hai rewaz hai.
Anwar:Meerab beta andar jao.
Meerab:Par chachu...
Anwar:Beta jau andar.Meerab go towards the room.
Maa begum:Iski aaj ki Baittamizi ko akhri Galti samaj ke maf kar raha hu.Aise Baittamizi dobara maf nahi karunga.
Anwar:Mein samjhaunga use.
Murtasim:Aur acchi tarha se samjhana use.
Maa begum:(In Mind) Is ladki ka lagam kinchne ka Kuch sochna hoga.Meerab is hell angered on everyone.She tried to calm herself.
In Meerab's room.
Haya comes to Meerab and said;
Haya:Mujhe pehchanti ho?
Meerab:Woh jo maa begum hai unki beti ho na tum.
Haya:Sagi maa to nahi hai par maa ban kar hi pala hai Mujhe.Lekin aab unki honewali bahu keh sakti ho.
Meerab:Congratulation Lekin zara bachke rehna us murtasim khan se.
Haya:Kyun?
Meerab:Jis tarha ki gussewala insaan hai woh kiya pata puri Zindegi tumhari usse ladte hui hi guzar jai.
Haya:Apni mohabbat se uske gusse ko bhi mein qabu kar lungi.
Meerab:Best of luck.Meerab smiles.
In the study room.
Murtasim is checking some paper then maa begum comes there and said;
Maa begum:Kuch baat karna chahta tha tumse.
Murtasim:Bole.
Maa begum:Mein tumhara shaadi ka soch rahi thi.
Murtasim:Khandan ki koi bhi ladki se Mujhe koi aitraaz nahi hai Lekin Haya nahi honi chahiye.
Maa begum:Mein Meerab ki soch rahi hu.Murtasim stop working on the paper and made a shocking face.
Murtasim:Aap hosh mein to hai Maa?
Maa begum:Soch samaj ke hi kaha hai beta.
Murtasim:Aaj ki wakiyat ke baad bhi aap ke zehen mein aisa khayal aaya kaise?
Maa begum:Nayi jaga hai tod tarike sikhne mein waqt lagegi.Ek baar yaha ras bas jai to yaha ki rang mein bhi rang jayegi.
Murtasim:Lekin woh hi kyun?
Maa begum:Kyun ki woh Khandan ki sabse khubsurat Aur padi likhi ladki hai.
Murtasim:Aur sabse Baittamiz bhi.Aap subha ki Baittamizi bhul sakti hai Lekin maine nahi bhula.Meerab se meri shaadi ka khayal chod de.Kyun ki mein usse shaadi nahi karunga.
Maa begum:Maine faisla lee liya hai.
Murtasim:Mujhe Inkaar hai.Maa begum looks at her.
In the night.
In the terrace.
Meerab comes there and sees Murtasim smoking there.
Murtasim looks at her said;
Murtasim:Yaha kya kar rahe ho raat ko?
Meerab:Tumse Matlab.Aab kiya yaha aana bhi mana hai?
Murtasim:Ha mana hai.Humari khandan ki ladkiyan yun raat ko chad pe nahi aate.
Meerab:Tang aa chuki hu aab mein Tumhare ghar ki usool Aur rewayat sun sun ke.Tum log ek kam karo ghar ke bahar Khan haveli ki jaga qaid khana likhlo.Kyun ke tumhara yeh ghar kam qaid jyada lagta hai.
Murtasim:Shukar manao aaj tumhari Galti ki Saza nahi sunai gai.Nayi ho yaa sochke maf kar diya.Lekin Ayenda nahi karunga.
Meerab:To kya karoge sad kalam karoge yaa Mujhe fasi pe lat ka doge.Ek baat sun lo murtasim khan mein kisi ke baap se bhi nahi darti.Jaisa Mujhe darana chahte ho to daralo kyun ke akhir mein to tumhari sari koshish e naqam hi honi hai.Meerab left from there and murtasim clenched fists.
In the Anwar's room.
Maa begum comes to Anwar and said;
Maa begum:Meerab ki hawale se ek faisla liya hai maine.
Anwar:Kon sa faisla?
Maa begum:Meerab Aur murtasim ki shaadi ka faisla.
Anwar:Lekin woh dono nahi manenge.
Maa begum:Maan jayenge Pehle tum to haa kehdo.
Anwar:Pehle Meerab se baat to karlo.Faisla to use karni hai.
Maa begum:Apna Accha bura use malum hai?
Anwar:Phir bhi yeh uski Zindegi hai Aur use pura haq hai apni Zindegi ke bade mein faisla lene ka.Mein Meerab ki marzi janke aap ko bataungi.
Maa begum:Mujhe faisla haa sunni hai.
Anwar:Had hai zabardasti ki.
Maa begum:Jo sochna hai socho Lekin maine faisla lee liya hai.Anwar is in big thought how he talked to Meerab about the wedding.
YOU ARE READING
𝑩𝒂𝒏𝒅𝒊𝒔𝒉 𝒆 𝑴𝒐𝒉𝒂𝒃𝒃𝒂𝒕
FanfictionAnother Meerasim plot from my imaginary world. Ranking #83 Pakistan out of 76.3k stories.