Previously
"Hint: KS... phone number isliye track nahi karwa rahi... kyoke pehla tuo yeh ke woh aik private number hai... track nahi hosakta or dosra yeh ke... is tarah santu ko aditya ke barey mein pata chal jayega... or aditya ke kisi ko bhi bataney se mana kiya hai..."
"KS... apni bike rukti han... or woh msg parhney lag jati han..."
Continue
"Yeh msg aditya ki taraf se hota hai.."
On message
Aditya: Agr... ammi ko bacahan hai tuo.... Jahan ho wohi ruk jao... KS... hum thori deer mein tumhy call karengey...
"Message parhney ke baad..."
KS: (gussey mein) Amma! bhaq! yeh kya mazak hai...Yeh jo koi bhi hai ab hamarey hathon se nahi bacheyga...
"KS.... bike start karti han... or wahan se janey hi lagti han... ke unhy Dsp Sir ka phone atta hai..."
On Call
Dsp Sir: Kahan hai ap KS?
KS: Sir... woh bas hum apni headquaters hi arahey the... woh MS...
Dsp Sir: Humny... issi barey mein baat karney ke liye apko call ki hai KS... hamarey pass bilkul waqt nahi hai... ap janti han ke miss malik ne qanoon apny hath mein liya hai... or higher authorities se unkey khilaf notice nikal chuka hai... apko jald se jald unhy pakarna hoga...
KS: (heerani se) Yeh ap ka keh rahey han sir...? Ap... jantey han... ke MS koi bhi kam kabhi bhi baghair sochey samjhey nahi... karti... or humey yaqeen hai... ke iskey peechey bhi koi buhat bari wajah hogi...
Dsp Sir: Hum... kuch nahi jantey KS... that's an order... yeh kam apko karna hi hogi....
KS: Per Sir... Hamara baat tuo suniye...
Dsp Sir: Per... war kuch nahi KS... Miss malik ko pakariye... jald se jald...
Call Ends...
KS: (sochtey hue) Hum... MS ko dhondengey tuo zaror... lykin unhy begunah bhi sabit karkey rahengey.... hamarey hotey hue koi bhi shaks MS ka baal bhi baaqa nahi karsakta....
"Phir... KS apni bike start karti han... or apny khabri network ke area mein janey ke liye nikal jati han..."
Dosri Taraf
Car Mein
On Call
"Aditya... MS ko rastey ki instructions de raha hota hai... Jungle se nikal kar MS aik sunsan ilaqey mein pohanchti han..."
Aditya: Han... tuo Haseena malik... yeh mera area hai... samny jo ghr dekh rahi ho... aj ki raat tum yahan rukogi... akhir tumny merey admiyon ko bachaney ke lye qanoon hath mein liya hai... tumhary liye mein itna tuo kar hi sakta hon... hahahaha...
MS: Bakwas band karo apni... tum jantey ho humny yeh sab kyo kiya...
Aditya: (hastey hue) Buhat achey se janta hon... mgr kya karon kam abhi khatam nahi hua na... aj raat tum yahan aram karo... kal subah 4bje tumhy nikalna hai... baqi ki information tumhy subah mil jayegi... ghr ki chabi tumhy gari ke dashboard per mil jayegi...
Aditya: (gussey mein) Or han... zayada hoshiyari karney ki koshish mat karna... bholo mat hamarey admi abhi bhi tumhari team per nazar rakhey hue han...
Call Ends...
"MS.... ki ankhon mein anso ajatey han... kyoke woh kuch nahi kar pa rahi hoti... "
MS: (sochtey hue) Humey maaf kardijiyega... team... yeh sab hamarey liye buhat mushkil hai.. lykin hum ap sab ko nahi kho saktey...
"Phir MS... dashboard se ghr ki chabi uthati han... car lock karkey ghr ke andar chali jati han..."
"Hint: Us porey ilaqey mein sirf aik hi ghr hota hai..."
Thaney mein
"Sab log thaney mein buhat pareshaan hotey han.... buhat raat hojati hai..."
Cheetah: Buhat raat hogaye hai... phuspag... karisham madam bhi abhi tak nahi aye han... aysa kijiye ke ap or santuji ghr chaley jaiye...
Phuspag: (udaas lehjey se) Thek hai.... apna khayal rakhna or koi bhi khabar miley humey foran phone karna....
Cheetah: G phuspag...
"Phir santu or phuspag dono wahan se apny ghr janey ke liye nikal jatey han..."
KS ke ghr per
"Phuspag raat bhar beth kar... KS ka intezar karti han... lykin woh ghr nahi atti... Woh buhat baar KS ko call karti han lykin KS phone receive hi nahi karti....."
Phuspag: (bar bar mobile ki taraf dekhtey hue) Kahan han ap.... karishma g.... MS ka phone subah se band ja raha hai.... or ap bhi phone nahi utha rahi.... kya karey ab hum...
Santu ke ghr per
"Dosri taraf santu... apny ghr mein apny laptop ke zarye koshish karti hai... ke koi suragh dhond sakey... pori raat santu isi kam mein lagi rehti hai.... finally buhat koshish karney per santu ko MS ki last location mil jati hai...."
"HINT: MS ki jungle ki location... jahan unka phone last unky pass tha..."
Dosri Taraf
"KS... raat bhar MS or ammi ki talash mein sarkon per ghoom rahi hoti han... or apny khabri network se pata laganey ki koshish kar rahi hoti han..."
"KS.... ko aditya ka calll atta hai..."
"Hint: KS... ko abhi tak aditya ke barey mein kuch nahi pata chala"
On Call
KS: Hello...
Aditya: Hello... KS...
KS: Tum? Kya chahtey ho tum?
Aditya: (gussey mein) Jab meiny tumsy kaha tha... ke wohi ruk jao... tum tum wapis thaney kyo nahi gaye... bola tha na ke mujhy gussa mat dilana ammi merey pass han... mgr tum... tumhy tuo apni marzi karni hai....
KS: Hum... tumhary ghulam nahi hai... hamara jo dil chahey ga hum karengey... or yaad rakhna ab tum humsy bachogey nahi... ghalti kardi tumny... jo KS se panga le liya... acha hota ke... humsy panga leney se pehley hamarey barey mein kuch maloom kar letey tum...
Aditya: KS... mein woh tumhary bekaar khabriyon ki tarah nahi hon... jissey kuch khabar nahi... tumhy kya lagta hai... tum buhat smart ho... abhi tak tuo tumhy mera name tak nahi pata.... or batein bari bari... ab tum dekho... tumhari is baat ka kya natija hoga... agley 10min mein apna mobile zaror check karlena...
Call Ends..
KS: (gussey mein) Amma! Bhaq!
"KS... foran se MS... ko phone milaney ki koshish karti han... lykin unka phone abhi bhi band ja raha hota hai... phir KS thaney mein phone karti han..."
YOU ARE READING
Madamsir (KAREENA BOND)
FanfictionYeh story "Kareena" friendship per hai... Madamsir or Karishma Singh ki dosti per ke kaisey woh aik dosrey ke lye apni jaan dey bhi sakti han or kisi ki jaan le bhi sakti han...Kahani mein agey kya hoga woh janney ke lye.. READ FULL STORY... © Copyr...