MS and KS

358 21 2
                                    

Previously

KS: MS... sabsy pehley humey breaking news milti hai.. ke ap central jail se 2 buhat hi khatarnak ghundoon ko churwa kar ley gaye han... phir hum apsy raabta karney ki koshish kartey han... tuo apka tuo phone hi band ja raha hota hai... ap janti han humny apko kahan kahan nahi dhonda MS... lykin apka tuo kuch pata hi nahi... ap janti han hum per ka beit rahi thi us waqt...

"MS musalsal KS ki taraf dekh rahi hoti han... or unka gussa thanda honey ka intezar kar rahi hoti han..."

Continue

KS: Or us din... jab apny humey call kiya or in sab se door rehney ke liye kaha... yeh jantey hue bhi ke hum apkey liye kitna pareshaan horahey hongey... apny humey kuch nahi bataya... or phir jab itni mushkilon se hum apki location track karkey highway per pohanchey tuo....

KS: Tuo... humey pata chalta hai... ke aik gari buhat teezi se naqa bandi toor kar bhag rahi han... or us gari ko chala kon raha tha... ap MS... humny apko kitna rukney ki koshih ki apsy baat karney ki koshsih ki... 

KS: Lykin apny tuo hum per goli hi chala di... or issy pehley ke hum kuch samajh paye... woh aditya usne tuo humey marney ka pora pora intezam kar diya tha... woh tuo hamara qismat acha tha... ke hum waqt rehtey hospital pohanch gaye...

KS: (gussey mein) Or upar se woh... woh aditya woh humey bar bar blackmail kar raha tha... apkey ammi ke or hamari team ke name per...

KS: (gussey mein moqa banatey hue) Woh tuo ap agaye bech mein warna woh.. hamarey hathon zinda nahi bachta...

"MS or KS... apas mein aik dorey ki taraf dekh rahey hotey han.."

KS: MS... apki wajah se hum aik aik second hazar mout marey han... aik aik din humny kaisey kata hai... yeh hum hi jantey han... agr apko ya ammi ko kuch bhi hojata tuo... hum khud ko kabhi maaf nahi kar patey...

"Phir KS chup hojati han... or dekhti han... ke MS kuch nahi bol rahi han..."

KS: (MS ko dekhtey hue) Hogaya.. hamara... ap bol sakti han...

"MS... KS ki taraf dekhti han... ke ab inka gussa thanda hogaya hai... "

"MS... KS ke pass jati han..."

MS: (KS ki taraf bazo barhatey hue) Idhar aye...

"KS agey barhti han... or phir MS KS ko galey laga leiti han..."

MS: (KS ke kandhon per hath rakhtey hue) Hum... samajh saktey han... ke ap per kya guzri hogi KS.... yeh sab hamarey liye bhi asan nahi tha... lykin hum majboor the...

MS: Usny... ap sab logon per nazar rakhey hue thi... agr hum apko koi bhi signal deney ki koshish kartey... tuo ussy pata chal jata... or hum apni wajah se ap logon ki jaan jokhim mein nahi dal saktey the..

MS: Hum... jantey the ke woh 5saal baad lota hai... or is baar woh pori tayari ke sath aya hai... or humsy badla lena chahta hai... or woh aik cyco admi hai... kisi ko bhi marney se pehley aik dafa bhi nahi sochta...

MS: (KS ko tasalli detey hue) Isi lye KS... humny ap sab logon se yeh sab chupaya... ap sab log hamari team han... hamari family han... agr ap logon ko hamari wajah se kuch hojata tuo...

"MS... ki ankhon se anso girney lagtey han... tuo woh dosri taraf mou karkey apney anso saaf karney lagti han... or khud ko sambhalti han..."

KS: (MS ka hath pakartey hue) Aysey... kaisey kuch bhi hojata MS... hum kuch honey hi nahi detey...

MS: (KS ki taraf dekhtey hue) Hum jantey han KS.... humey ap per pora bharosa hai... tabhi tuo humey is baat ka yaqeen tha... ke agr humey kuch ho bhi jata tuo... ap hamarey peechey se sab sambhal lengi...

KS: MS... yeh kaisi batein kar rahi han ap? Is thana ka sirf aik hi SHO han... or woh han ap... SHO Hassena Malik... hum hamesha apkey sath han... dhal bankar kharey han... apkey sath... chahey kuch bhi hojaye...

"Phir... MS or KS dono aik dosrey ki taraf muskura kar dekh rahey hotey han..."

"Kaafi.. deer hojati hai tuo mahila police team cabin ke bahar darwazey ke pass kharey hokar MS or KS ki batein sun rahi hoti hai..."

MS: (team ki taraf dekhtey hue) Ajaiye ap log bhi andar...

"Phuspag ghabratey hue cabin ke andar jati han... or santu or cheetah bhi phuspag ke peechey peechey cabin ke andar jatey han..."

Phuspag: (ghabratey hue) Woh... Woh.. MS...

KS: (gussey mein) Nahi... woh ka? koi kam dhanda nahi hai yahan per kisi ko batein sunney ke ilawa...

Phuspag: (foran se) Arey... hum batein thori sun rahey the...

KS: Nahi... Nahi... ap tuo darwazey ki oiling check kar rahi thi.. Haina?

Phuspag: Han... wohi tuo...

KS: Acha! Tuo oiling check karney ke liye teen teen logon ki jarorat parhti hai.. humko nahi pata tha...

MS: Chaley choriye... yeh sab...

MS: Kam... ki baat yeh hai... ke ab humey un dono qaydiyon ko pakar kar lana hai...

KS: G MS...

MS: Tuo... kisi ke pass koi plan hai?

"Billu MS ke cabin ki khirki mein bahar se boltey hue..."

Billu: (window se) When.. billu the spy is here... then no fear...

Billu: Plan hai... merey pass...

KS: (gussey mein) Billey! tum wahan ka kar rahey ho? Andar ayo foran..

Billu: Atta... hon madam...

"Phir billu cabin mein atta hai..."

KS: (billu se) Han... ab bolo ka plan ha?

Billu: Plan... yeh hai... ke hamarey pass aditya ka phone tuo hai... tuo hum ussy un dono ko message kartey han... or koi bhi bahana karkey urgent lucknow bula letey han...

KS: Wah billey! Idea tuo acha hai... Ka kehti han MS?

MS: (sochtey hue) Hmm... Idea tuo acha hai... thek hai try karkey dekh letey han aik baar...

"Apna idea approve honey ke baad billu itera raha hota hai..."

KS: (billu se) Han... bas bas ab zayada itrao nahi... 

KS: (billu se) Jindagi mein aik kam ka acha karliya... tuo bas over hogaye...

Billu: (phuspag ki taraf dekhtey hue) Maa..aaa..

Phuspag: Arey.... kya har waqt ap becharey billu ke peechey pari rehti han... bhul gaye MS ki ammi ka pata isi ne hi humey bataya tha... or hospital se bhagney mein bhi issi ne hi apki madad ki thi..

KS: Han... Han... thek hai... tuo konsa ahsan kiya hum per...

MS: (foran se) Bas... kijiye ap log... koi moqa tuo chor dijiye... jab dekho tab shoro hojatey han...

Phuspag: MS... hum kahan... yeh humsy larti han...

KS: (gussey mein) MS... hum... hum lartey han... insy... jaisey yeh tuo buhat masoom han na...

Phuspag: Han... tuo hum han masoom...

MS: (KS or phuspag dono ko ignore kartey hue) Inka... tuo yunhi chalta raheyga....



To Be Continued

Enjoy Guys

Comments mein zaror batana ke kaisa laga


Written by: Video-diary

Follow for more..

Madamsir (KAREENA BOND)Where stories live. Discover now