Previously
"Phuspag... MS ki rasiyaan kholti han... fight chal rahi hoti hai... manoj or KS apas mein aik dosrey per shoot kar rahey hotey han... dono ki gun mein bullets khatam hojati han..."
"Itney mein arav... KS ko peechey se marney ki koshish karta hai..."
MS: (chilatey hue) KS.. apkey peechey....
"KS.. peechey murti han.. or arav ko marney lagti han... itney mein manoj pass mein pari apny admi ki gun uthata hai.. or MS per fire karney ke liye... unper aim karta hai.."
Continue
"KS... ki nazar manoj per parhti hai... KS arav se gun leiti han.. or ussy oeechey Dhaka dekar... manoj per lagatar sari bullets... fire kar deiti han..."
"Manoj wohi gir jata hai... or har taraf sannata hojata hai..."
KS: (bhagtey hue... MS ke pass jatey hue) MS... ap thek han?
MS: (manoj ki taraf dekhtey hue) Hum thek han.. KS....
MS: (KS se) Yeh apny kya kiya? Humny mana kiya tha apko...
KS: Sorry MS... per yeh issi qabil tha... in jaisey logon ka yahi haal hona chahiye hai...
"MS... KS se kuch nahi bolti... team manoj ke baqi admiyon ko arrest kar leiti hai..."
At Headquaters
"MS.. or team headquaters pohanchtey han.. or billu bhi inspector vikram ke sath headquaters atta hai..."
"Hint: Billu.. Insp. vikram ko sari details bataney jata hai... taqey woh insp. arav ko arrest kar sakein..."
Insp. vikram: (team se) Ap sab logon ka buhat buhat shukriya.. agr ap log nahi hotey tuo hum kabhi is racket ko pakar nahi patey.. or na hi humey pata chalta.... ke hamarey apny department mein hi ghaddar hai...
Insp. vikram: Or manoj... ki fiqar mat kijye.. departmental orders the... ke ussy pakrajaye... zinda ya murda..
Insp. vikram: Kyoke woh department or desh dono ke liye.. buhat hi khatarnak tha...
Insp. vikram: (MS se) Or miss malik.. apny jo chip di thi... humey ussy yeh sabit hogaya hai... ke ab beqasoor han.. yeh sab manoj or uski gang ki... apko phasaney ki koshish thi... isliye ap aj se... balqey abhi se wapis duty join karsakti han...
MS: Shukriya Sir...
Insp. vikram: Chaliye ab mein chalta hon....
Team: Jai Hind... Sir...
Insp. vikram: Jai Hind...
"Phir... insp vikram wahan se chaley jatey han..."
Dsp sir: (MS ka badge or belt detey hue) Miss malik ... ye lijye....
"Phir... MS apna badge, belt or cap pehanti han... or sab log MS ko dekh kar... buhat khush hojatey han..."
Dsp Sir: (team se) Humey.. ap sab per buhat garv hai... ap logon ne aik baar phir sabit kardiya.. ke is shahar ko... mahila police thaney ki or ap jaisey officers ki kitni zarorat hai...
Dsp Sir: Aj meri taraf se ap logon ke liye...
"Phir.. Dsp sir team ko salute kartey han... team ke sab log aik dosrey ki taraf dekhtey han..."
"MS... or KS apas mein aik dosrey ki taraf muskuratey hue dekhti han..."
Team: (salute kartey hue) Jai Hind... Sir...
Dsp Sir: Jai Hind...
"Phir... sab log headquaters se bahir attey han... ke MS ko unki ammi ka phone atta hai.."
Ammi se baat karney ke baad...
"MS... ko itna khush dekh kar... sab log heerani se MS... ki taraf dekhtey han.."
Phuspag: Kya hua MS? Humey bhi bataye...
MS: (muskuratey hue) Chaliye... aj raat ka khana hamari taraf...
Phuspag: (khush hotey hue) Waqai mein?
MS: G bilkul...
KS: Ary.. nahi nahi.. MS... ap kahan taqleef kar rahi han...
MS: Humny nahi... ammi ne bulaya hai... ap sab ko dawat per...
KS: (khush hotey hue) Ammi.. khala ke haan se wapis agaye?
MS: G... ab tuo ayengi na ap? ya hum ammi se keh dein.. ke ap nahi arahi?
Phuspag: MS... hum sab tuo zaror ayengey... kyon santu?
Santu: Han... Han.. phuspag... ammi ke hath ka mazydaar khana hum kaisey miss karsaktey han...
"MS... KS ki taraf dekh rahi hoti han... ke KS... kya jawab deiti han..."
KS: (phuspag ki taraf dekhtey hue) Ary... aysa baat nahi hai... ammi ko hum kaisey mana karsaktey han...
KS: (MS ki taraf dekhtey hue) Ayengey... hum MS...
"Phir.. sab log KS... ki taraf dekh kar hasney lag jatey han..."
KS: (gari ki taraf jatey hue) Amma... bhaq.. chaliye thaney chaliye... kam niptayengi... tuo jayengi na...
"MS... KS ki taraf muskura kar dekhti han... or phir sab log thaney ke liye nikal jatey han..."
The End
Enjoy guys
Comments mein zaror batana ke kaisa laga
YOU ARE READING
Madamsir (KAREENA BOND)
FanfictionYeh story "Kareena" friendship per hai... Madamsir or Karishma Singh ki dosti per ke kaisey woh aik dosrey ke lye apni jaan dey bhi sakti han or kisi ki jaan le bhi sakti han...Kahani mein agey kya hoga woh janney ke lye.. READ FULL STORY... © Copyr...