KS ki narazgi

398 36 8
                                    

Previously

MS: (gussey mein) Tumhari wajah se humey apny sedhanton... se samjhota karna para aditya.... tumhari wajah se hamari ammi ko itni taqleef hue... tumhari wajah se humny us din humny us masoom bachey ke sir per bandooq rakhi or tumharey admiyon ko churaya... tumhari hi wajah se humny un rifles ki smuggling ki... tumhari hi wajah se hamari team ko itni itni.... pareshaani jheelni pari...

"Boltey boltey... MS... ki grip gun per tight hoti jati hai... sab log MS ki taraf dekh rahey hotey han..."

MS: (chilatey hue) Or... aditya tumari hi wajah se us din... us din humny... hu...mny KS per goli chalaye...

Continue

MS: (chilatey hue) Or... tumny unhy hospital pohancha diya...

 "Or... phir kya MS sari ki sari goliyaan aditya ke paron ki taraf karkey fire kar deiti han..... "

"Sab... log MS ko dekh kar heeran hojatey han...."

"MS... aik lambi sans leiti han or khud ko sambhalti han..."

MS: (aditya se) Bas.. yahi farq hai tumny ho hum mein... jantey ho humny tumhy mara kyon nahi... tajurba kehta hai hamara... nafraton ki aggh tum mein or hum mein barabar ki hai... 

MS: (aditya se) Tajurba kehta hai hamara... nafraton ki aggh tum mein or hum mein bhi barabar ki hai... lykin agr woh aggh tabah kardey zamaney bhar ko... tum farq kya reh jayega tum mein or hum mein...

MS: Chahtey tuo hum uss din bhi tumhari baat nahi mantey... or woh video record nahi kartey... lykin humny aysa nahi kiya... jantey ho kyon... kyoke hum aysa nahi honey desaktey the... hum apni ankhon ke samny aik nirdosh ki jaan jatey hue nahi dekh saktey the... bhaley hi uskey liye humey mujrim ke samney ghutney kyon na tekney parein... lykin apny farz se samjhota kabhi nahi kar saktey..

MS: (emotional hotey hue) Is... wardi ke liye... buhat kuch khona parta hai... buhat samjhotey karney partey han... khud ko tiyaghna... parta hai... khud ko dao per lagana parta hai... or phir bhi badley mein kuch nahi milta... 

MS: Insan wohi jo padh ka pakka... Imaan wohi jo sach ka pakka... jaan jaye tuo jaye... per sach per kabhi anch na aye... or sach ki hifazat ki shapat le tabhi... jab tera irada ho pakka...

"Or phir... MS aditya ko ghasettey hue... headquaters le jati han... or baqi team bhi unkey peechey peechey chali jati hai... "

Headquaters Mein

"Phir... MS aditya ko collar se pakartey hue... dsp sir ke samney lakar khara kar deiti han..."

MS: Yeh lijiye sir... apka mujrim...

 "Dsp sir yeh sab dekh kar heeran hojatey han..."

Dsp Sir: Yeh.. sab kiya hai miss malik... ap humey samjhayengi?

"Phir... MS shoro se sari story Dsp Sir ko batati han..."

Dsp Sir: Woh... sab tuo thek hai... lykin yeh sab ap sabit kaisey karengi...

KS: (foran se) Uska bhi hal hai... sir...

KS: (cheetah ki taraf dekhtey hue apna hath barhati han) Cheetey...

"Cheetah... voice recorder KS ke hath mein deta hai..."

KS: (voice recorder on kartey hue) Yeh dekhiye sir...

"Us mein aditya ki woh sari batein record hoti han.. jo aditya ne private hanger per kahi thi... yeh sunkar aditya bhi heeran hojata hai..."

Madamsir (KAREENA BOND)Where stories live. Discover now