Previously
Arav: (manoj se) Boss... sarey intezam porey han...
Manoj: Tuo batao... KS... ab tum kis ko bachaogi?
Continue
Manoj: (dil mein sochtey hue) Mujhy pata hai... tum buhat chalak ho.. KS... tum dono ko bacha logi... lykin mein aysa honey nahi donga...
"Phir KS... MS ki kahi hue baat ke barey mein sochti han... jo unhone us raat thaney se niklatey hue.... heqdquaters janey se pehley boli thi..."
Flashback
MS: (KS se) KS.... ap janti han... yeh mission buhat hi khatarnak hai... isliye ap hamari aik baat yaad rakhiyega... chahey kuch bhi hojaye... sabsy agey or sabsy upar woh log han... na hi ap or na hi hum... chahey kuch bhi ho... ap sabsy pehley un logon ko bachayengi... or hamari parwah nahi karengi...
KS: Mada...m...sir...
MS: (KS ki ankhon mein dekhtey hue) Karishma...Singh.. h...h... hum jo keh rahey uss baat ko samjhiye...
KS: (emotional hotey hue) G MS...
Flashback Ends...
Manoj: Kahan kho gaye tum KS? Batao... tuo phir kya socha tumny?
KS: (gussey mein) Hum dono ko bachayengey... or tum dekhtey reh jaogey...
Manoj: Mujhy... pata tha tum kuch ayasa hi bologi... mgr maaf karna aysa ho nahi payega...
"Issy... pehley ke KS... kuch samajh paye... manoj ka aik admi peechey se KS... ke sir per war karta hai... or woh wohi behosh hojati han..."
Arav: Boss... mein aik baat samajh nahi paya... drug tuo abhi bhi hamarey pass hai.. tuo apny KS.. ko aysa kyon bola ke woh haseena malik... ya awam mein se kisi aik ko hi bacha sakti hai....
Manoj: Tum nahi samjhogey... yeh sab meri chal thi.. Kyoke yeh KS hai... issy deal karna itna asan nahi hai... or mein janta hon... ke yeh pata nahi kaisey... lykin dono ko bacha leiti kyoke isko apni MS... apni jaan se bhi zayada aziz hai... or is wardi ki khatir yeh un logon ko bhi kuch nahi honey deti...
Manoj: (KS ki taraf dekhtey hue) Per mein aysa bilkul nahi honey donga.. KS... is baar... mein koi ghalti nahi karonga...
Manoj: Chalo... ab issy pehley issy hosh aye.. iska or iski MS... ka kam pora kardetey han...
Arav: Yes boss..
Dosri Taraf
"MS... ko hosh aney lagta hai... MS idhar udhar dekhti han.. unhy wahan ragho ke ilawa koi nazar nahi atta..."
Ragho: MS... MS... ap thek tuo han?
MS: (ahista ahista ankhein kholtey hue) Han... H.u..m.. thek han...
MS: (dard mein) Hamara.. sir...
MS: (sochtey hue) Hum yahan kaisey pohanchey... hum tuo KS... ke pass ja rahey the...
Ragho: MS.. yeh log apko behoshi ki halat mein yahan laye the... or shayad..
MS: Shayada.. kya?
Ragho: Shayad... manoj bhi yahan aney wala hai... meiny in logon ki batein sunni thi...
"Issy... pehley ke MS... ragho ki baat ka koi jawab dein... manoj or arav wahan ajatey han..."
Manoj: (muskuratey hue) Ary... dekho bhaye... haseena malik ko hosh agaya... kaisi lagi meri khatir tawaza haseena malik... merey admiyon ne tumhy zayada pareshaan tuo nahi kiya na...
MS: (gussey mein) Tum.. Humey pata tha... tum zinda ho... aik baar hamarey hath khol kar dekho... phir batatey han... tumhy ke wardi ki khatir tawaza kaisi hoti hai...
Manoj: Ary mein tuo dar gaya...
Manoj: (hastey hue) Itna gusssa... acha nahi hota haseena malik.. tumhari na qismat buhat achi hai.. tabhi tuo... tum meri har chal fail kardeiti ho... itni mehnat se meiny tumhy phasaya tha... lykin dekho... tum wahan se bhi chot gaye... mgr afsoos har baar qismat sath nahi deyti na....
"MS.. manoj ki taraf gussey se dekh rahi hoti han.. unko pata hota hai.. ke yeh zaror koi bari planning soch raha hai..."
Manoj: Waysey... sunney... mein aya tha.. ke tum KS... ke pass ja rahi thi... tuo phir kya hua?
MS: (gussey mein) Kahan hai KS? Agr... KS ko kuch bhi hua na... tum hum tumhy yahi zinda garh dengey.. or issy mazak samajhney ki ghalti tuo bilkul mat karna.. proper dhamki hai yeh... samjhey na tum...
Manoj: Buhat achey se janta hon mein tum dono ko.. isi liye aj tumharey sath sath tumhari us KS... ka bhi kam tamam kardonga... or tum bhi issy mazak mein mat lena... proper warning hai yeh... SHO Haseena Malik...
Manoj: (gussey mein, apny admiyon se) Le ayo ussy...
"Manoj ke admi.. behoshi ki halat mein... KS ko lekar attey han... or MS... ki barabar wali chair per rasiyon se bandh detey han..."
MS: (KS ki taraf dekhtey hue) Karishmaa...singh..h...
MS: (chilatey hue, manoj se) Hum tumhy nahi chorengey...
Manoj: Relax... haseena malik.. yeh sirf behosh hai... roko... abhi hosh mein lata hon...
"Manoj apney admi ko ishara karta hai.. or woh pani ka glass lakar.. KS ke mou per pani phenkta hai.. KS ko ahista ahista hosh aney lagta hai...."
MS: (KS se) KS... ap thek han?
KS: (MS ki taraf dekhtey hue) MS... hum.. hum.. thek han... ap..
Manoj: (KS ki baat cut kartey hue) Chalo.. bhaye buhat hogaya mel milap...
"Phir... manoj apny admiyon ko ishara karta hai... or woh MS or KS dono per bomb bandh detey han..."
KS: (gussey mein) Yeh... tum thek nahi kar rahey ho... himmat hai... tuo aik baar hamary hath khul kar dekho...
Manoj: Tum dono ka yahi andaz tuo mujhy pasand hai.. bahadur or nidarr.. jinko apney desh ki khatir apni jaan ki bhi parwah nahi...
Manoj: Mgr... afsoos ab tum log kuch nahi kar sakogey..
Manoj: (drug ki bottle dekhatey hue) Yeh... dekh rahey ho.. wohi drug hai... jiskey liye tum log yahan tak aye ho... per kuch kar nahi paye... hahaha...
Manoj: (MS se) Or han... yeh ragho tuo hamarey sath jayega.. issy pichley kuch hissab porey karney han...
"Phir... arav ragho ko wahan se le jata hai..."
"Hint: Manoj... ragho ko apny sath isliye le jata hai... kyoke ussy ragho se woh chip hasil karni hoti hai.. lykin manoj yeh nahi janta ke ab woh chip... MS ke ke pass hai..."
Manoj: (godam se bahir jatey hue) Good bye... SHO Haseena malik... or SI KS... buhat yaad ayogey.. tum log mujhy....
"Phir... manoj or uskey admi wahan se chaley jatey han..."
"MS... or KS aik dosrey ki taraf dekhtey han... or rasi kholney ke liye.. idhar udhar.. koi cheez dhondtey han..."
"KS... apni rasiyaan dheeli karney ki koshish karti han... lykin ussy vibration produce horahi hoti hai... jiski wajah se bomb time se pehley bhi phat sakta hai..."
To be Continued
Enjoy guys
Comments mein zaror batana ke kaisa laga
YOU ARE READING
Madamsir (KAREENA BOND)
FanfictionYeh story "Kareena" friendship per hai... Madamsir or Karishma Singh ki dosti per ke kaisey woh aik dosrey ke lye apni jaan dey bhi sakti han or kisi ki jaan le bhi sakti han...Kahani mein agey kya hoga woh janney ke lye.. READ FULL STORY... © Copyr...