KS knows the truth

208 23 3
                                    

Previously

Ammi: Emotional blackmail buhat achey se karna atta hai.. tujhy..

MS: (muskuratey hue) Acha... ab bataiye... ke baat kya thi... jiskey liye itna sab hangama hua hai...

Continue

Ammi: Baat yeh thi... ke hum kal teri khala ke han ja rahey han.. 

MS: (heerani se) Khala ke han? 

Ammi: Han... unki tabiyat thori thek nahi hai... tuo humny socha ke janey se pehley terey sath thora waqt guzar lein... 

Ammi: (MS ko pyar kartey hue) Kyoke hum jantey han... hamarey janey ke baad... tuo humey buhat miss karti hai... 

MS: (emotional hotey hue) Woh.. tuo hai... apkey hotey hue.. humey kisi cheez ki fiqar hi nahi hoti...

Ammi: Tabhi.. humny terey liye.. aik haftey ka salan banakar upar freeze kardiya hai.. koshish karna bahar ka khana zara kam hi khana.. 

MS: G Ammi.. 

Ammi: Chal.. ab hath mou dho ley... humny terey liye tera favourite gajar ka halwa.. bhi banaya hai... 

MS: (khush hotey hue) Wah! gajar ka halwa... abhi attey han...

"Phir.. MS fresh honey chali jati han..." 

 "Uskey baad... dono kahan kahtey han... kuch batein kartey han... or phir so jatey han..."

Next Day

"Agley din.. subah ammi... station janey ke liye nikal rahi hoti han... ke itney mein MS... bhi room se ajati han..."

MS: Rukiye.. ammi hum arahey han...

MS: (room se bahar attey hue) Laiye.. humey dijiye...

Ammi: Kya?

MS: (luggage ki taraf ishara kartey hue) Saman or kya?

Ammi: (heerani se)Tuo ja rahi hai... humey chorney?

MS: Koi or nazar araha hai apko yahan per?

Ammi: Nahi... tujhy duty ke liye late hojaiyega.. hum chaley jayengey...

MS: (saman ammi se letey hue) Kal.. tak tuo ap humey bol rahi thi... ke hum apko time nahi detey... or aj jab hum apko bol rahey han.. tuo ab apko khud jana hai...

Ammi: Hum tuo bas...

MS: Humny... phuspag.. se keh diya hai... ke hum huney thaney aney mein thora late hojayega...

MS: Ab chalein?

Ammi: (muskuratey hue) Han.. chalo..

Ammi: (dil mein sochtey hue) Yeh.. nahi sudhreygi...

"Phir.. MS or ammi station janey ke liye nikal jatey han..."

Dosri Taraf

"Thaney mein.. sab log apny kam mein busy hotey han..."

KS: (file check kartey hue) Phusapg... woh case no. 215 ka file kidhar hai?

Phuspag: Woh.. file tuo MS ke cabin mein hai... hum le aye kya?

KS: (file ki taraf dekhtey hue) Nahi.. Nahi... ap bethiye.. hum dekh letey han... humey aik or file bhi dekhna hai...

Phuspag: G thek hai...

"Phir... phuspag... apney kam mein busy hojati han..."

Madamsir (KAREENA BOND)Where stories live. Discover now