Laptop takye par rakha tha aur wo uske samne kohniyon ke bal ondhi leti thi.. Screen ki roshni uske chehre ko chamka rahi thi. Woh thodi tale hatheli rakhe doosre haath ki ek ungli laptop ke touch pad par phair rahi thi. Lambay seedhay siyah baal peeche qamae par pade thay. Uski aankhein bhi waisi hi thi. Siyah badi badi aankhein jinme chandni jaisi chamak thi. Aur chehra toh malaai ka bana lagta tha. Safed, mulayam aur chamakdar. Woh usi magan andaz mein screen par nigahein markooz kiye touch pad par ungli phair rahi thi. Ek click ke baad agla safha khula to yakdum uski mutaharrik ungli theher gayi. Screen par jami aankhon mein zara tafakkur ubhra aur phir bechaini, usne jaldi jaldi do teen button dabay.
Loading... Agley safha ke load hone ke intezaar karte hue usi muztarib andaz mein usne ungli se chehre ki dai'n taraf se phisalti lati'n peechey kiye. Chand second baad safha load ho gaya. Woh bechaini se hokar chehra screen ke qareeb laayi to silky balon ki chand latein phir se shahne par phisal kar aagey ko giri..Jaise jaise wo padhte gayi uski siyah aankhein hairat se phelti gayi. Lab zara se khul gaye. Aur poora wajood be yaqeeni mein doob gaya. Dher sare lamhe lage thay usko khud ko yaqeen dilane mein, jo woh parh rahi thi bilkul sach hai aur jaise hi uske zehan ne yaqeen ki dharti ko chhua, woh ek jhatke se uth baithi. Uska cell phone side table par rakha tha. Usne haath badha kar cell uthaya aur jaldi jaldi koi number milane lagi.. Raat ki muqaddas khamoshi mein buttono ki awaz ne zara irtaash paida kiya tha. Usne phone kaan se lagaya doosri janib ghanti ja rahi thi.
"Hello Zara!" Shayad rabta mil hi gaya tha. Tab hi woh dabe dabe josh se cheekhi. "Kaisi ho? So to nahi gayi thi?..Haya bol rahi hu“ Doosri taraf uski dost kuch keh rahi thi. Woh lamhe bhar ko sunne ke liye ruki, phir dheere se hans di "Saari baatein chhodo Zara mere paas jo badi khabar hai woh suno! " ab wo aadatan siyah balon ki ek moti latt ungli par lapette hue keh rahi thi.
"Aur tum yaqeen nahi karogi main jaanti hoon." "Arrey nahi Dawar bhai ki shaadi ke baare mein nahi hai "
Doosri taraf Zara ne kuch kaha to usne foran tardeed ki.
"Balkay yun karo , tum guess karo, main tumhein kya batane wali hoon"
Usne ek haath se laptop pare kiya aur takya nikaal kar bed ground ke sath seedha lagaya phir us se tek lagakar paao seedhay kar liye. Saath saath woh nafi mein sar hilati.. Zara ke kahe andaazon ki tardeed bhi karte jarahi thi.
"Nahi! Bilkul nahi. Aisa to hai hi nahi. Arrey meri shaadi wagera nahi ho rahi. Ji nahi! Iram ki bhi nahi ho rahi. Seriously Zara! Tumhari soch bas yahi tak hai. Ab kaan khol kar suno tumhe wo Erasmus Exchange Program yaad hai jiske liye humne apply kiya tha.."Can you beleive it Zara ke mujhe European Union ne scholarship ke liye select kar liya hai."
Dusre janib Zara itne zor se cheekhi ke mobile ka speaker off hone ke bawajood uski cheekh saare kamre mein sunaye di..
Bilkul sach keh rahi hu Zara abhi pandrah minute pehle mujhe university ki taraf se mail mili hai..usne sath hi ek haath se pade pade laptop ka rukh apni janib modh liya aur sar aagey karke dobara se dekha.."Han pandrah minute pehle theek saadhey nau baje selection ki mail aayi hai, tum bhi foran check karo tumne bhi apply kiya tha tumhe bhi mail aayi hogi" wo phone ek hath se pakde dusre se buttom dabakar laptop off karne lagi.."Nahi spain ke university ne nahi balki turkey ke zuban Sabanci university ne hume select kiya hai aur ab him ek semester padhne panch maah ke liye Istanbul jaa rahe hai..laptop ki screem andher hui toh usne use hath se dabakar band kiya phir taar nikalkar side table par rakh diya.."haan maine Sabanci ko net par dekha hai bohot khubsurat university hai magar..." wo lamhe bhar ko khamosh ho gayi..dusre janib se is tafsar kiya gaya toh wo goya hu bas ek chota sa masla hai lekin hum uske bare mein apni families ko agaah nahi karenge ..dheemi aawaz mein bolte hue usne gardan modhkar band darwaze ko dekha..darasal Sabanci mein ladkiyon ke head scarf par pabandi hai..udhar sar dhakna mana hai ghar walo ko bata kar mudaffik karne ke bajaye is baat ko gol kar jaana waise bhi hum dono mein se koi scarf nahi leta..usi pal khidki ke us paar kuch khadka tha..wo chauk kar dekhne lagi .kadadam khidkiyon ke aagey bhaari pardey gire the albatta peeche jaaliya khuli thi shayad uska wehem tha wo sar jhatak kar phone ke jaane mutawajjah ho gayi..."
Abba ne mujhe kabhi scarf lene ya dhakne par majboor nahi kiya, thank god...han iram ghar se bahar scarf leti hai abbu taya furqan zara sakht hai na" wo phir se bed ground se tek lagaye neem daraz malan se batane lagi..permission toh koi masla hi nahi abba Spain jane ki ijazat naa dete magar Turkey mein Sabin phuppu rehti hai na so wo maan gaye the, waise bhi unhe apni beti par pura bharosa hai phir wo chand lamhe ear piece se ubharti apmi dost ki baatein sunti rahi..
Zara khamosh hui toh usne nafi mein sar hilaya.."Kal nahi Dawar bhai ki mehendi parso hai tum aa rahi ho na aur haan main aur iram lehenga pehen rahe hai saare cousins bohot excited hai khandan ki pehli shadi hai na" "Okay tum jakar ab mail check karo, main bhi soti hu raat bohot ho gayi hai" alvidah e kalimat kehkar usne mobile kaan se hataya aur takye par uchal diya phir jane ke liye uth khadi hui..Bahar lounge khamoshi se dooba tha..Haya ns ahista se apne kamre ka darwaza band kiya aur nange pao chalti lounge se kitchen ki taraf aayi siyah lambi kameez aur kaale trouser mein uska qadd mazeed daraz lag raha tha..kitchen mein andhera phaila tha wo darwaze ke qareeb ruki aur hath se deewar par switch board tatola button dabne ki aawaz aayi aur saari battiyan jal uthi..usne aage badhkar fridge ka darwaza khola aur paani ki bottle niklane ko jhuki..jhukne se reshmi baal kandho se phisalkar samne ko aa gire..Haya ne nazakat se ungli se unko peeche hataya aur bottle nikalkar sidhi hui phir counter par rakhke rack pe sheese ka glass uthaya aur bottle usme undeli..pani ke nazdi ke glass mein girne lagi tabhi uski nigah counter par rakhi kisi safed cheez par padi..wo jaise chonk uthi..bottle wahi slab par rakhkar us taraf aayi..wo safed adh khule gulabon ka bouqet tha jisme kahi kahi saf pattey jhalak rahe the sath hi ek band safed lifafa rakhka tha..Haya me guldasta uthaya aur chehre ke qareeb laakar aankhein monde soongha..dil fareb tazgi bhare mehek uske andar tak utar gayi ..phool bilkul taaza the jaise abhi abhi tode gaye ho jaane kaun rakh gaya idhar usme band lifafa uthaya aur palat kar dekha..uspe ghar ke pate ke upar numaya sa Haya Sulaiman likha tha peeche bhejne wale ka pata naa tha bas courier service ke mohar aur sticker lage the..Mohar par ek roz khabar ki tareekh thi usko kabhi kisine yun phool nahi bheje..kya maamla tha yeh bhala...ulajhte hue Haya ne lifafa chaa kiya andar ek mota kaaghaz tha usne do ungliyan lifafe mein dalkar kaghaz pakda aur baahir nikala ..safed kaaghaz bilkul saaf tha ..na lakeer na koi design bas uske wast mein angrezi ke teen lafz leekhe the Welcome to Sabanci..wo sannatein mein reh gayi..yeh kya mazak tha bhala khat bhejne wale ko kaise pata ke wo Sabanci jaa rahi hai..khat par toh ek roz khabar ki tareekh thi jabke qabooliyat ki wo e mail use abhi pandrah minute pehle mausool hui thi..jo baat use officially batayi hi pandrah minute kaval gayi thi wo us shaksh ko ek roz pesh kar kaise malum hui..agar Zara ko usne khud abhi naa bataya hota toh wo samjhti ki yeh uski harkat hai aur yeh khat Sabanci university ki taraf se nahi aa sakta tha kyunki us par ek kaumi satah ke courier compapny ki mohar lagi thi phir kisne bheja use yeh..pani se bhara glass wahi slab par chordkar bouquet aur lifafa uthaye wo ulajhti hui apne kamre ki taraf chali gayi..
Sapeher ke thandi si chaaya har taraf chayi thi wo parast kandhe se latkaye baarik heels se chalti porch mein khadi apni car ki taraf aayi jo thi toh uski bhai Rohail ki magar uske padhayi ke ghar se America chale jane ke baad Haya ki malkiyat thi..
Usne chabi lock mein ghumaye hi thi ke gate ke us paar se Zara aati dikhaye di..wo darwaza kholkar muskurati hui seedhi hui.."Haya mujhe toh koi mail nahi aayi".Zara ne adh khule gate ko dhakelkar andar kadam rakhka..uske chehre par udasi thimmwo darmiyani shakl o surat ke stylish si ladki aur Haya ki hum umr thi.."koi baat nahi ek do din mein ajayegi tum fikar naa karo, humne sath hi apply kiya tha..mera selection hogaya hai toh tumhara bhi ho jayega.."