part 61

1.2K 39 6
                                    

Hashim phone pe apne bete ki bimari ka zikar kar raha tha, magar usne koi dilchaspi nahi li. Hotel Grand ka paisa uska zaati paisa naa tha, zaati to uske paas kuch nahi tha aur Hashim sada ka jawari, apni saari jama punji to woh juey mein lutta aata tha, phir woh kyun uski madad kare. Apne tein usne baat khatam kar di. Tabhi Ayeshe ka message aaya.

Maine Aane se poocha tha, woh keh rahi hain ke tum subah ki flight se India chale gaye the. Waise itne saare logon se ek waqt mein itne saare jhoot bolte hue tumhe kabhi afsos nahi hota? Nahi. Usne ek lafzi jawab bhej kar ARP wali sim band kar di. Ye Ayeshe bhi na, kisi din marwaayegi use. Agle hi roz usne Hashim ko Adalaar bheja. Woh is waqt tak dukan pe khada raha jab tak Ayeshe nahi aa gayi. Ayeshe ke aate hi Hashim usse mila, aur usne chhe choukhaton wale puzzle box ka order likhwa diya aur choukhaton pe wo jo Turk ke bajaye angrezi haroof-e-tahaji hon. Sath hi usne Abdul Rahman ko batane se sakhti se mana bhi kiya. Wajah saaf thi. Use wo puzzle box Haya ko dena tha. Jaise wo apni maloomat aur classified documents ek agent se doosre ko muntaqil karte the ke kahin kisi locker mein chhod diya, ya ration can mein, aur baad mein kisi doosre agent ne aakar use uthaa liya, taake kisi agent ko ye na pata chale ke uska doosra saathi kaun hai aur pakde jaane ki surat mein woh apne saathi ke liye koi khatra na bane. Usne bhi apni asliyat batane ke liye kisi aise hi treasure hunt ka socha tha. Khud aamnay saamnay woh kabhi nahi batayega. Uski biwi ko usko samajh kar, use khud dhoondna chahiye. Nahi, woh use aazma nahi raha tha, woh to bas apne andaaz mein baat pohoncha raha tha.

Haan magar jab wo puzzle box us tak pohonchega aur bil-farz kisi tarah usne Adalar tak is box ke banane walon ko trace kar bhi liya, to wahan se woh sirf itna jaan paayegi ke ye kaam Abdul Rahman ke ilawa kisi ka bhi ho sakta hai. Bas ismein Abdul Rahman mulawwis nahi hai. Haya usko talash kare, ye woh chahta tha, magar woh uski jaasoosi kare, ye woh hargiz nahi chahta tha.

Aglay chand roz khairiyat se guzr gaye. Woh deactivate ho kar bas ghar aur restaurant tak mehdood ho gaya tha. Unhi dino usay us larki ka khayal baar baar aata raha jo usne Sabanci mein dekhi thi, woh usko pehle bhi dekh chuka tha. Usay yaad tha ke pichle saal Sabanci ke kuch students internship program ke tehat Hotel Grand aaye the aur chand haftay unhone wahan kaam kiya tha. Usne computer mein sara data khola aur ek ek entry ko check karte hue bilakhir kaar woh usay mil hi gayi.

Hale Noor Chong Lo. Romi Forum ki ek karkun. Uska field record bhi kaafi acha tha. Woh uski employee thi, aur apne har employee ka sara bio-data woh apne paas rakhta tha. Apne har mulazim ko pehchanta tha. Magar uske har mulazim ne usay nahi dekha tha.

Woh hotel malikon ki tarah private lift use karta tha aur nichle ohdon par kaam karne wale mulazimon ki usse koi mulaqat naa thi aur intern se kaha uska rabta ho pata tha. Phir bhi, shayad yunhi aate jaate us larki ne usay dekh rakha ho. Woh usi dorm block se nikal rahi thi jo Haya ka tha. Ho sakta hai woh wahan kisi kaam se aayi ho aur uska apna block koi dusra ho aur uska Haya se koi rabta na ho aur usne kabhi Grand Hotel ke owner ko na dekha ho. Magar phir bhi aindah woh Sabanci jaate hue ehtiyaat karega, warna duniya waqai mein bohot chhoti thi.

Chand din baad ek subah jab woh Burger King ke kitchen mein kaam kar raha tha to ek dum se uske sar mein shadeed dard uthne laga. Ye dard usay bohot chirchira bhi bana deta tha. Sara mood kharab ho jata. Ab bhi yehi hua. Woh talkhi bharay andaaz mein zor se khat khat karta gosht kaat raha tha. Pichle ek hafte se qabza mafia ke kuch log usay tang kar rahe the. Restaurant ki lease ka maamla tha aur Pasha Bey ke saath unki koi talkhi ho chuki thi. Aise mein usay apne Restaurant ki security ke liye apply karna tha, magar us se pehle woh koi thos waqiya chah raha tha jisse uska case aasan ho jaye. Irada tha ke aaj dopahar mein apne kuch aadmiyon se restaurant mein tod-phod karwa kar security claim aur insurance claim dono hasil kar lenge. Aise waqt mein usay moqa se hatt jana chahiye. Woh ye sab soch hi raha tha ke Haya aur DJ aa gayi.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now