part 11

1.4K 48 2
                                    

Haya..haya,Jaise hi woh ghar mein daakhil hui, lounge mein baithe Suleiman Sahab tezi se uski taraf badhe...unke chehre pe gaiz o gazab chaya hua tha..wo darkar peeche hati..tabhi kahi peeche phone ki ghanti baji..

"Yeh video tumhari hai? Tum... tum mujrey karti ho?" Rohail jo Sofe par baitha tha, ek dam utha aur bohat si Cdz uski taraf uchhali. Wahan sab mojood the. Taaya Furqan, Dawar Bhai, Rohail sab aur ek taraf Eram zameen par bethi ro rahi thi. Door kahi phone ki ghanti musalsal baj rahi thi.

"Nahi... nahi..." woh sar hilate hue khauf se unko kehna chahti thi. Uska mun to hilta tha lekin awaz nahi nikal rahi thi. Woh sab uska khoon lene par tule the.

Dafatan Sulaiman Sahab aage badhe aur ek zordar thappad uske chehre par de mara.

"Be haya... be haya" use thappadon se marte hue Sulaiman Sahab keh rahe thay. Unke lab hil rahe thay magar unse awaaz Dolly ki nikal rahi thi. Woh Sulaiman Sahab nahi, Dolly bol rahi thi..

Dolly dolly..Pinky..Behaya..Pinky ki ungliyan..phone ki ghanti...wo ek jhatke se uth bethi..Kamre mein andhera tha usne hath badhakar table lamp on kiya..zard si roshni har jagah phail gayi..usne beikhteyar dono hatho se apna chehra chua wo theek thi...sab theek tha..kisiko kuch ilm nahi hua tha..wo sab ek bhayanak khwab tha..Oo Khudaya..wo nidhal si bed crown ke sath peeche jaane lagi..uska saans tez tez chal raha tha..dil waise hi dhadak raha tha..pura jism paseene se bheega tha..phone ki maksos tone usi tarah baj rahi thi..haan bas wo ghanti khwab nahi thi..usne side table se mobile uthaya aur chamakte screen ko dekha..Private Number Calling..chand lamhe lage the use ek faisle par pohochne mein aur phir usne phone kaan se lagaliya..

Major Ahmed main apki office aakar report karwane ke liye tayyar hu..kal subah 9 baje mere ghar ke backside par maujood ground ke entrance gate par gaadi bhejde..9 baje sharp..

"Sure"  use fatihana lehja sunayi diya tha..usne aahista se phone band kardiya..Kabhi bhi wo kisi ladke se yun tanha nahi mili thi magar naa milne ki surat mein wo video kabhi na kabhi leak ho jati toh zyada bura hota...usne beikhteyar jhurjhuri li..us khaufnaak khwab ne use yeh sab karne par majboor kiya tha..use laga ab uske paas aur koi chaara nahi hai..raha Major Ahmed..toh usse wo nipat legi..

"Playground ke gate ke saath shahtut ka tanawar darakht tha. Woh usse tek lagaye muntazir khadi thi. Surkh lambi A-line kameez aur neeche chudidar paijama.. Upar stylish sa suit sweater jiski lambi aasteen hatheliyon ko dhanp kar ungliyon tak aati thi aur kandhon pe brown chhoti si stole numa shawl.. Lambe baal peeche kamar pe gir rahe the, sardi aur dhund mein wo muztarib si khadi surkh padti naak liye wo dono hath aapas mein ragad rahi thi..

Eram ya Zara usne kisi ko nahi bataya tha. Yeh khatra usko akele mol lena tha. Dafa'tan usne bechaini se sweater ki aasteen peeche hatayi aur ghadi dekhi. Nao bajne mein ek minute tha. Usi pal ek car zan se uske samne ruki. Siyah purani Mercedes aur kisi bhut ki tarah samne seat mein dekhta driver.

Woh khamoshi se sar jhukaye aage badhi aur peechla darwaza khol kar andar baith gayi. Uske darwaze band karte hi, driver ne gaadi aage bhagadi.

Taqreeban dedh ghante baad woh safe house thi.

Safed deewaron wala khali kamra, darmiyan mein lakdi ki kursi aur mez, jis par usse baithaya gaya. Mez par sirf telephone rakha tha. Baqi poor kamra khali tha.

Woh muztarib si gardan idhar udhar ghuma kar idhar udhar dekhne lagi. Teen taraf safed deewarein thi. In mein se aik deewar mein woh darwaza tha, jahan se woh aayi thi. Albatta chouthi simt us ke bil-muqabil deewar sheeshay ki bani thi. Dar-asal woh sheeshay ki screen thi, jo zameen se le kar chhat tak faili thi.Shayad wo chota khaali kamra kisi bade kamre ka hissa tha jisme sheeshe ki screen lagakar partition kardiya gaya tha..

Usne zara ghaur se screen ko dekha. Uska sheesha mukammal taur par dhundla kar diya gaya tha, jaise machine phek kar frosted kiya jata hai. Us dhundle sheeshe ke paar ek dhundhla sa manzar tha..har shai itni dhundli thi ke wo ba mushkil bana paa rahi thi..Yaqeenan woh sheesha ek kamre ko do hisson mein taqseem karne ke liye darmiyan mein lagaya gaya tha aur us ke paar kamre ka baqi hissa tha.

Bas ek dhundhla sa khaaka samajh mein aata tha.. sheeshay ke paar koi bada, purdesh sa office tha aur office table ke peeche revolving chair pe koi baitha tha. Uska rukh Haya ki jaanib hi tha. Uska chehra wazehana tha bas ek dhundli si outline hi banti thi. Khaki uniform, sar par cap, tek laga kar kursi pe baitha, mez pe rakhi koi cheez ungliyon pe ghumata. Wo kis tarah dekh raha tha, wo faisla naa kar payi.. uska rukh toh samne Haya ke jaanib hi tha..Shayad dekh bhi usi ko raha tha magar uski ankhein wazehana thi, wazehana thi to bas ek cheez, us officer ke gandumi chehre ke daayein taraf waale aadhe hisse par yak badnama si kalaq, jaise adha chehra jhulas gaya ho.

Dafa'tan woh shakhs aage ko jhuka aur mez se kuch utha kar kaan se lagaya. Ghaliban phone ka receiver.Tring Tring...

Yak dam Haya ke samne mez pe rakha phone bajne laga. Woh chonki. Phone musalsal baj raha tha kya woh shakhs use call kar raha tha?

Usne dhadakte dil se receiver uthaya aur kaan se lagaya.

"Hello , Assalam Alaikum Ms. Haya Sulaiman! This is Major Ahmed."

Wohi bhaari, naram garam saa khubsurat lehja.

"Wa Alaikum Assalam!" Woh phone haath mein pakad kar kaan par rakhe yak tak samne screen ko dekh rahi thi, jiske paar aadhe jhulse chehre wala officer phone thame baitha tha. Kya wohi Major Ahmed tha?

"Main umeed karta hoon ke humne aapko zyada takleef nahi di."

"Ji. " Usko ghutan mehsoos hone lagi thi.

"Mere samne laptop par tamam system khula hua hai. Mujhe ek click karna hai aur aapki video safha e hasti se yun mit jayegi jaise kabhi banayi hi nahi gayi thi."

Deewar ke us paar dhundhle manzar mein baithe us officer ke samne bhi laptop khula pada tha. Toh woh Major Ahmed tha? Magar samne kyun nahi aata tha?

Aur sheher ke ek ek bande se main yeh video nikalwa chuka hoon. Boliye Haya! Main click kar doon?

'Aur... woh report?c

Samjhein, woh darj ho gayi. Usay laga woh muskuraya tha.

"Magar... aapne kaha tha ke mujhe report ke liye...

Ghalat kaha tha, excuse banaya tha. Baaz auqaat bahane banane padte hain, tab jab mazeed sabr nahi hota, samjhi?"

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now