"Khadija, tumhari dost mujhe kuch pareshan si lag rahi hai, khairiyat?" Mrs. Abdullah ne pooch hi liya. DJ ne gadbadakar kar use dekha. Sab khane se rokkar use dekhne lage the.
Haya ne mez ke neeche aahista se apna paon DJ ke paon pe rakha.
Family front ki Haya, koi maqool wajah batao unko.
"Nahin... woh... darasal... Haya... Haya bohot darpok hai. Use street crime se bohot dar lagta hai aur yeh pehli dafa akeli Europe aayi hai, to yeh pooch rahi hai ke kahin Istanbul mein hamara organized criminals se to wasta nahin padega?"
Haya khifat se sar jhukaye lab kaat'ti rahi. Woh khaali haath unke ghar aayi thei. Aur unhone mez bhar di thi, phir bhi uske nakhre khatam hone mein nahin aa rahe the. Use be had pachtawa hua. Woh baat sambhalne par DJ ki be had mamnoon thi.
Qat'an nahin, Istanbul bohot mehfooz shehar hai.
Surkh balon wali ladki rasan se boli. Yahan police aise logon ko khule aam nahin phirne deti. Bilkul... Istanbul mein qanoon ki bohot pasdari ki jati hai. Hale ne taeed ki. Mrs. Abdullah khamoshi se sunti rahi.. Unke chehre par kuch aisa tha ke Haya unhe dekhti gayi.
Jab Hale Noor Istanbul ki shaan mein ek lamba sa qaseeda parh kar farigh hui to Mrs. Abdullah ne gehri saans li.
"Khuda kare, tumhara rabta kabhi Abdul Rehman Pasha se na pade."
Haya ne dheere se kanta wapas plate mein rakha. Ek dum pure hall mein itna sannata chha gaya tha ke kante ki kaanch se takrane ki awaaz sab ne suni.
Kaun Pasha? DJ ne ulajh kar Mrs. Abdullah ko dekha.
Woh Mumbai ka ek smuggler hai, Europe se Asia asleha smuggle karta hai. Istanbul mein agar chidiya ka bacha bhi laapata ho jaye to usmein Pasha ka haath hota hai. Bosphorus ke samandar mein ek jazira hai, Buk Ada. Us jaziray pe us mafia ka raaj hai.
Aur meri mom ko khwab bohot aate hain. Unki beti ne khafgi se unko dekha. Yeh ladkiyan samajhti hain, meri aqal mera saath chodne lagi hai.
Bilkul theek samajhti hain aur exchange students! Kaan khol kar sun lo. Hale ne qadray tlimila kar mudakhlat ki. Istanbul mein aisa koi crime den nahin hai, yeh sab gharelu aurton ke afsanay hain. Yahan koi Bharati smuggler nahin hai.
Dono Turk laxkiyan apne tayyan baat khatam kar ke ab sweet dish ki taraf mutwajje ho chuki thi. Khadija bhi unki baaton pe mutmaeen ho kar shakar paray khanay lagi thi, magar Haya ke halq mein wo bohot meethe se shakar paray kahin atak se gaye the.
Abu Dhabi International Airport par usne us Habshi ke munh se Pasha ka naam suna tha. Woh nihayat muzhamil sa apni biwi se Arbi mein baat kar raha tha. Apne betay ke ilaj ka zikar. Magar ho sakta hai ke woh kisi aur Pasha ke kaam ka zikar kar raha ho aur waqai Turk gharelu aurton ke afsanon ke markaz Pasha ka koi wajood na ho.
Alwadai lamhaat mein jab baqi sab aage nikal chuke to Mrs. Abdullah ne dheere se Haya ke qareeb sar gooshi ki.
Yeh ladkiyan Istanbul ki burayi nahin sun sakti. Tumhe is liye bataya ke tum crime se darti ho aur khoobsurat bhi ho,
Khoobsurat ladkiyon par aam tor par aise log nazar rakhte hain.
Haya ne chonk kar unhein dekha. Unke jhuriyon zada chehre par sachai bikhri thi. Woh waqai apna wujood rakhta hai. Woh bilkul sunn si hui unhein dekhti gayi. Kya afwahoon ka khauf mujassam surat mein unke samne agaya tha, ya unki aqal waqai unka saath chor hi thi?
Shaam ke saaye gehre pad rahe the, jab woh Sabanchi University pohonchi. Sabanci umra ke jamia thi. Wahan chaar mah ke ek semester ki fees bhi das hazar dollar se kam na thi. Shehar se door, muzafaat mein waqea wo qadray golai mein tameer kardah imarat bohot pur sukoon dekhti thi. Chonke woh jagah Istanbul shehar se qareeban pentaalis minute ke faslay par thi, isliye Sabanci mein day scholars nahin hote the. Us ke tamam talaba wa talibat bamuqam Hale Noor jaise logon ke,jin ke ghar Istanbul mein hi the, hostel mein rahaish pazeer the.