Cappadocia ka pur-asrar husn waisa hi tha magar ek dafa phir ismein udaasiyan ghul chuki thi. Aashiyana ke makinon ne unka istqbaal usi garam joshi aur mohabbat se kiya jo unka khas tha magar uska dil udaas tha. Woh use kuch bhi bataye baghair chala gaya tha..
Bar bar wahmaye satar rahe the. Iztirab, bechaini aur fikarmandi. Duniya bas un teen cheezon tak mehdood ho kar reh gayi thi.Woh do din kis karb mein guzre, koi andaza nahi kar sakta tha. Raat mein woh usi sofe par jis ke aqab mein khidki khulti thi, baith kar usi tarah rone lagi magar koi nahi aaya jo usko kehta ke woh phir se uske liye aa gaya hai. Bahare neeche Pinar ke sath thi. Woh samne hoti to Haya yun na roti magar akele mein aur baat thi.
Bahare ke aane ke baad bhi woh usi tarah baithi rahi aur jab baithay baithay thak gayi to wahun so gayi. Shayad ke koi use uthaye. Koi uske samne mez pe aa baithe aur holay se uska shana choo kar use awaaz de. Magar khwab har dafa poore nahi hote.
Subah uski aankh kisi shanasa awaaz se khili thi. Woh awaaz bohot der tak uski samaat mein gunjti rahi thi yahan tak ke woh ek dum chonak kar uth baithe. Yeh awaaz itni manaus magar nai… yeh to…
Woh tezi se uthkar khidki ke peeche aayi aur khidki se samne se parda uthaya..khidki ke bahar kisi huk se uska wind chime latak raha tha. Door Cappadocia ke ufaq par taloo hotay sooraj ki kirnon se uski crystal ki pankhdiyan sunehri pad rahi thi.Jaise sone ke patangay jhool rahe ho. Steel, kaanch aur lakri ke takraane ki awaaz manaus awaaz.
Uski aankhein bheeg gayi thi. Be ikhtiyar usne labon pe dono haath rakh kar jazbaat ko qaboo karna chaha magar aansoo phir se toot toot kar girne lag gaye the. Woh aa gaya tha. Woh Cappadocia wapas aa gaya tha aur is tarah se usko apni khairiyat bata raha tha.
Ab uski zaban samajhne lagi thi. Dafatan use mehsoos hua ke wind chime ki ek lari ke sath ek kagaz sambandha hua hai. Usne khidki ka patak khola aur haath badha kar kagaz pakra. Woh ek tour guide ke tour ka maloomati parchah tha. Us par Jihan ne khud se kuch bhi nahi likha tha magar woh samajh gayi thi ke use kya karna hai. Use kal subah us tour ko lena hai kyunki wahi woh Jihan se mil sakegi. Haya ne phir ek nazar us parchay pe bani tasveer pe daali aur be ikhtiyar ek udaas muskurahat uske labon pe phail gayi. DJ aur uska sabse bada khwab. Sabse badi excitement. Hot air balloon.
Agli subah abhi sooraj nahi nikla tha aur fajr Cappadocia pe qatra qatra utar rahi thi. Haya ne khidki ka parda zara sa sar ka kar dekha.
Cappadocia ke pahaad abhi tak jamni andheray mein doobay the. Woh khud bhi abhi abhi namaz parh ke hati thi. Parda barabar kar ke usne wall clock pe ek nazar daali. Subah ke saade teen. Bahare dressing table ke aage khadi mandi mandi aankhon se khud ko aaine mein dekh rahi thi aur baalon ko brush kar rahi thi. Haya apni ajrak ki lambi qameez pe abaya pehen chuki thi aur ab chehre ke gird niqab lapet rahi thi. Haya kya woh mujhe daante ga? Brush singhaar mez pe rakhte hue Bahare ne tashweesh se poocha. Nahi main hoon na. Woh kuch nahi kahe ga. Bahare ne sar hila kar apne gulabi purse se band nikala. Baal pony ki tarah samete aur phir band lagane se qabl mur kar Haya ko dekha.
Agar main baal na baandhoon to kya tum Ayeshe ko nahi bataogi?
Ho sakta hai batadoon. Waise agar tumne baal kholne hain to khol lo aur upar scarf le lo. Us mashware pe Bahare ne napasandidgi se naak sikodi aur isse to pony behtar hai wali nazron se Haya ko dekhte hue pony bana li.
Aabla van aa gayi hai. Fateh ne bahar se awaaz lagayi. Halankeh woh usse bohot badi nahi thi phir bhi woh use aabla kehta tha. (Turkish mein aabla apa aur bhai ko aabi bolte hain.)
Hum tayaar hain. Woh jaldi jaldi niqab pin up karti Bahare ka haath thamay bahar nikal aayi.
Ashiyana ke bahar unko tour company ki van lene aayi thi. Jo unhein hot air balloon ki dute tak pohonchana tha. Saare intezam Moloot Bay ne karwaye the. Isliye unhein discount mil gaya tha. Hot air balloon fajr ke waqt udha karte the. Dehrh do ghante ki flight thi. Yani Cappadocia ke upar ud kar woh saara khitta dekh kar wapas ajana tha. Van ne jab unhein balloon site par utara to is waqt fajr taza thi. Woh ek highway thi. Uski side par khula saaf ilaqa tha. Sadak par unki qatar ke sath beeson din khadi thi. Bahut se siyyah idhar udhar aa ja rahe the. Woh bhi Bahare ka haath thamay sadak se utar kar baayein taraf ke khule maidan mein aayi. Wahan ek qatar mein hot air balloons zameen par rakhay the. Yun ke unki tokriyan seedhi rakhi thi jabke tokri se natthi ghubaarah bachon ke plastic ke nanhe se baghair hawa ke ghubaaray ki manind ek taraf dhal ka hua zameen pe sajda rez pada tha. Bade bade ghubaaray aur badi badi tokriyan.