Affa Noor
Terminal One se jo parwaaz unko mili, us mein bhi Usman Shabbir saath hi the. Apni dastaan-e-hayat faramosh kar ke woh ab unki taraf mutawajeh hue aur unka interview karne lage.
"Kaun ho? Kahan se aayi ho? Kyun aayi ho? Turkey mein kahan jana hai? Kyun jana hai?"
"Sabanci? Sabanci University?" Unhone itni buland awaaz mein dohraya ke agli nashist par baithi Turk khatoon ne gardan mod kar qadre oonche ho kar unko dekha.
Sabancı! Is se aagay khatoon ne qadray sataish se chand alfaz turk mein kahein, jo Haya ko samajh na aaye. Jawaban Usman Shabbir ne apni bhaari bhar kam awaaz mein kuch kaha to woh khatoon qadray gar badakar wapas rukh pher gayi.
"Aap ne unko kya kaha?" Haya ne kari nigahon se unhein ghura.
"Kuch nahi, tum batao, yeh Pakistan mein walidain itne azad khayal kab se ho gaye ke jawan bachiyon ko akele Turkey bhej dein?"
"Akele nahi hain hum, hamara poora group hai, hum do students hain aur baaqi faculty members hain, jo do roz qabal rawana ho chuke hain."
Magar Unho ne jaise suna hi nahi. "Kher ab akeli ja rahi ho to khayal rakhna..." aur phir unka waaz shuru ho gaya. "Namaz parha karo, Quran parha karo, parda kiya karo, sach bola karo, Allah se daro" gharz har woh baat jo apne bete ki tarbiyat ke waqt unhein bhool gayi thi, ab achanak yaad aa gayi. Haya ne qadray jhanjhla kar rukh pher liya.Dopehar do baje khidki ke us paar... Neeche... Bohot neeche... Woh parfosun manzar phelne laga.
Marmara ka samandar, upar badal aur baraf... Yoon jaise neeli chadar pe safed roi ke gaale tair rahe hon, woh us manzar ke sehr mein khoti chali gayi.
Jahan Sikandar ka Turkey uske qadmon tale tha.
Yeh rakh lo. Parwaz utarne ka elaan hone laga to nihayat zabardasti Usman Shabbir ne apna visiting card use thamaya. Is par mere ghar, cell aur office ke numbers likhe hain. Kabhi kabhar main ghar par nahin hota aur kabhi kabhar mera cell bhi off hota hai lekin office ke number par main hamesha milta hu. Meri secretary ki fazooliyat se bachne ke liye direct meri private extension dial karna. Woh hai 14 yani chaudah, kyunke meri aur Pakistan ki tareekh e paidaish chaudah August hai. Rakh lo, zaroor pad sakti hai.
Usman Shabbir se ba mushkil jaan chhoot rahi thi. Unko kabhi call karna ya dobara mulaqat ka tasavur hi Haya ke liye sohan e rooh tha, phir bhi un ke israar par usne apne sunehri pouch mein woh card dekhe baghair rakh liya. Ataturk International Airport Istanbul ki European taraf waqea tha. Yeh use baad mein ilm hua tha albatta jo baat use hamesha se maaloom thi, woh yeh thi ke Istanbul duniya ka woh waahid sheher tha, jo do khiton ko baaham milata hai... Europe aur Asia.
Istanbul ke do hisay the. Ek European taraf kehlata tha aur doosra Asian taraf yani Anatolian taraf (Anatolian taraf ko urf e aam mein “purana sheher” bhi kaha jata tha).
Woh dono jab apne samaan ki trollies dhakelte aagay aaye to Rumi Forum ke do arkan unko mil gaye, jo unhe lene aaye huay the.. Rumi Forum aik Turkish NGO thi jo bilkhusoos exchange students ka bohot khayal rakhti thi.
Woh do larkay, Ahmet aur Chughtai. Chughtai naam to hamare yahan bhi hota hai, jaise musawwir Abdul Rehman Chughtai, hai na Haya. DJ ne sarghoshi ki thi.
Assalam-o-Alaikum! Woh bohot garmjoshi aur ehtram se mile. Chughtai ne un se bags le liye. "Aaiye! Bahar gaadi intezar kar rahi hai."
"Chughtai bhai, zara please pani pila dein. Bohat pyaas lagi hai." Haya ki tarah DJ bhi pyaas se behaal thi. Chughtai ne sar isbat mein hilaya aur Ahmet ke saath samaan uthane laga. Phir woh dono un ke aage chalte huye bahar ki taraf barh gaye.
Be-had mehmaan nawaz qaum ke is sapoot ne un ko pani kyun nahi pilwaya, yeh mua’ma woh saari zindagi nahi hal kar saki. Qawi imkaan yeh tha ke Chughtai ki angrezi kamzor thi, jis ke ba'ais woh un ka mudda samajh nahi paaya tha. Bahar nikalne se qabl unhone apni raqam Turk Lira aur Euros mein tabdeel karwa li thi. Ek lira Pakistani pachpan rupay ka tha aur ek Euro ek so pachees rupay ka.