part 63

1.2K 38 8
                                    

Buyuk Ada ke saahil pe lehrain pattharon pe sar patak rahi thi. Unka shor us oonche safed qasr-e-Osmani ke andar tak sunaayi de raha tha. Mahal andhere mein dooba tha siwaye uski study ke jahan woh kursi ke pusht se sar tikaye baitha tha. Samne laptop ki chamakti screen par woh paighaam khula tha jo use apnon ki taraf se aaya tha. Uska kaam Adalar mein aakhri marahil pe tha. Taash ke patton ke ghar ka aakhri marhala. Phir use ruposh ho jaana tha.

Kuch arsa ruposh rehkar woh dobara Istanbul aayega ek aakhri kaam niptaayega phir wapas. Apne mulk wapas.

Jab se usne mail padhi thi usne anguthiyaan aur glasses khud se alag kar ke mez pe rakh diye the aur yeh cigarette noshi, isse bhi usse jaldi se jaldi chutkara hasil kar lena chahiye, ab Abdul Rahman Pasha ko chhodne mein kam waqt reh gaya tha.

Uske sar ka dard waisa hi tha aur bohot sochne ke baad usne aashabiyon ka dabao bhi mehsoos kiya. Germany mein usne pandrah June ke baad ke ek tareekh ko apni surgery ke liye le li thi. Doctor ne use ummeed dilayi thi ke operation ke kamiyabi ka chance utna hi tha jitna ke nakami ka. Kyunki woh Buyuk Ada se packup karne se pehle operation ke chakron mein nahi padna chahta tha isliye usne tareekh baad ki le li thi. Yeh uske kaam ka aakhri marhala tha. India mein aakhri marhale mein sab kuch bigad gaya tha aakhri marhale mein uske dost ne jiske paas woh madad ke liye gaya tha use pakadwa diya tha. Sar ka dard hamesha use us dost ki yaad dilata tha. Usne Jihan ke saath achha nahi kiya tha.

Log baaz dafa aapke saath bohot bura kar jaate hain, itna bura ke bas! Tamam soch ko jhatak kar usne phone uthaya aur exchange student ka number nikaala.

"Mere paas aap ke liye ek surprise hai. ARP." Mukhtasir paighaam likh kar usne Haya ko bhej diya. Jab woh jawab degi to woh use Burger King pe bulayega. Wahan Pasha bey ko bhi woh bula lega. Usse pata tha ke Haya ko woh manzar kaise dikhana hai. Jab woh apne shauhar ko us gumshuda shehzade ke saath dekhegi to Jihan ka kaam aasan ho jayega ya to woh jaan jayegi ke wahi Abdul Rahman Pasha hai ya woh use Tayyib Habib ka samjhegi dono surat mein woh usse door chale jayegi. Bhale Turkey se na jaye bas Istanbul se chale jaye. Baad mein hamesha ki tarah woh usse maafi maangne chale jayega aur use mana lega. Magar woh video. Usne gehri saans le kar mobile rakh diya. Video abhi tak locker mein thi. Agar wo jaane se pehle woh use nahi nikal paati to woh video wapas rakh lega.

Haya yeh sab 9 June se 15 June tak ke waqt mein setup karna hoga abhi nahi. Woh restaurant aaya to Tayyib Habib uska intezar kar raha tha. Uske mutalib wahi the aur Jihan ka rawaya bhi waisa hi tha. Chand din intezar kar lo, main tumhari family ko bahar bhejwa dunga. Main ne baat ki hai, bohot jald sab kuch settle ho jayega. Woh be tasyr lehja mein kehte hue register check kar raha tha. Aaj jawaban Pasha bey ne gussa nahi kiya aur na hi lan'aan tan ki hai bas itna kaha:

"Mujhe ummeed hai ke tum jald az jald mera kaam kar doge Jihan, aakhir family sab ke liye ahem hoti hai. Mere liye bhi aur tumhare liye bhi."

Uske aakhri alfaaz pe Jihan ne nigaah utha kar use dekha. Pasha bey ne coat ka collar durust kiya aur alvida ki muskurahat ke saath woh pichle darwazay ki taraf barh gaya.

Shayad woh sirf dhamki de raha tha. Woh uski family ke baare mein kuch nahi jaanta tha. Aise hi usay dhamkana chahra tha. Jihan sar jhattak kar kaam karne laga.

Insaan ka apni individual salahiyat pe had se zyada aitbaar baaz dafa use doosron ko underestimate karne par majboor kar deta hai. Iske saath bhi yahi hua tha magar abhi woh yeh nahi jaanta tha.

Shaam mein woh mamooli taur pe restaurant ke kitchen mein khada gosht kaat raha tha jab uska mobile halkay se baj gaya. Woh tone se samajh gaya ke paighaam kis ki taraf se tha. Magar usne phone jeb se nahi nikala. Qareeb hi uske do chefs kaam kar rahe the. Ek to purani worker thi magar doosra turk naya ladka tha. Usko Jihan ne haal hi mein rakha tha.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now