part 5

1.3K 35 2
                                    

"Haya Haya, kidhar ho..?" Wo lobby mein aaine ke samne khadi maathe par tika dursut kar rahi thi jab Fatma Begum mujhse pukarti aayi..har taraf kehma kehmi thi..ek naqable fehem shor sa macha tha..mehendi ka function bahar shuru ho chuka tha..sab jane ki jaldi machaye idhar udhar bhag rahe the aur wo abhi tak wahi khadi thi..."Kya hua amma..?" ..wo teeke ke sath uljhi hui thi jo mathe pe set ho hi nahi raha tha..sone ka gol sikke ka shakal ke tika jiske neeche ek surkh ruby latak raha tha..tike ko theek karte hue musalsal uske kalaiyon mein bhari chudiyan khanak rahi thi.."Jaldi aao, tumhare abba bula rahe hai kisise milwana hai tumhe.." unki aawaz mein khushi ki ramak mehsus karke wo chonk kar unko dekhne lagi..silky saree aur diamonds pehne wo khaasi bawakaar aur khush lag rahi thi..uski ungliyon ne tika chord diya..dil zor se dhadka..Kya phuppo aagayi thi aur unka maghroor beta bhi.."kidhar hai abba..?"

Wo dhakdhak karte dil ke sath unke peeche bahar nikli..gate ke qareeb Sulaiman dikhaye de rahe the unke sath ek khibsurat ladka khada tha jiske shaane pe hath rakhe wo kuch keh rahe the ..samne khase bawaqaar se suit mein malboos ek Sahab aur ek descent si khatoon thi..wo dono pehle se use lehenga zara sa uthaye hue unke qareeb aayi.."Yeh Haya hai, meri beti" Sulaiman Sahab ne muskurakar use shaano se thaama..

"Assalamwalaikum" usne sar ko jambish dete hue madham sa salaam kiya..
"Walaikum assalam beta" ..wo teeno use dilchaspi se dekhne lage..usne golden lehenga aur kamdar blouse pehen rakha tha blouse ke aasteen aadhi se bhi choti thi aur unse nikalte uske dudhiyan baazu sunehre motiyon ke shov mein sunehre dikh rahe the..bhaari kaamta dupatta usne kaandhe par daal rakha tha...baal hamesha ke tarah seedhe karke kamar pe gira rakhe the...tike ke sath sunehre jhumkein kaano se latak rahe the aur malai se bana chehra halke se singar se mazeed dilkash lag raha tha..usne kajal se labrez palkein bichayi ...wo teeno setaishi nigahon se use dekh rahe the...aur Haya yeh mere dost hai Umair Lagari..yeh Mehnaz Bhabhi hai aur yeh unke sahabzaade hai Waleed..uske dil par ek bojh sa aa gira..aankhon mein beikhteyar namkeen paani bhar aaya jise usne andar utar liya..

"Nice to meet you" wo mehman aane lage hai..main phool ki pattiyan udhar rakh aayi thi sab mujhe dhund rahe hoge..toh main...

"Haan haan tum jaao enjoy karo"  Sulaiman Sahab ne aahistagi se uske shaano se haath hataya wo muazatkhana muskurati gate ki janib badh gayi..baahir aake usne beikhteyar ankhon ke bheege saaf kiye aur ek nazar palat ke unko dekha phir sar jhitakkar aagey badh gayi..unke ghar ke sath khali plot mein shamiyane lagakar mehendi ka function arrange kiya gaya tha..mehendiya dono khandano ki alag alag thi.. gende ke phoolo aur motiyon ke ladiyo se har kona saja tha..roshniyon ki ek baahar se utri hui thi takreer segregated thi..mard alag aurtein alag..han aurton wali taraf khandan ke mardo ka aana jaana laga tha..music system ke sath dj betha tha aur movie maker camera liye phir raha tha..Iram bhi silver kaamtar lehenge mein idhar udhar ghum rahi thi..waha dj movie wale aur refreshment serve karte waiters bahar ke mard the magar aaj shadi ka toh ek function tha phir sar dhakne ki pabandi kaisi hoti shadiyon pe toh khair hoti hai na..

"Haya dance shuru karein..?

Iram apna lehenga sambhalti uske paas aayi..Dawar bhai pe saare arman nikalkar sare rasmein unko mardane mein bhej diya gaya tha..

"Haan theek hai tum gaana lagwao aur..yeh kaun hai..."  wo masrufiyat andaz mein Iram se bolti lehza bhar ko chonki..saamne wali kursiyo ke qataar ke sath ek ladki khadi ek kursi par bethi khatoon se jhunk kar mil rahi thi..usne siyah Abaya aur upar stole le rakhi thi wo aurton ka function tha phir bhi ajeeb baat hai ke us ladki ne ungliyon se naqaab thaam rakha tha uski aankhein aur maathein ka kuch hissa niqaab se jhalak raha tha..uski aankhein bohot khubsurat thi..wo jaise muskurate hue un khatoon ko kuch keh rahi thi..

"Kaun" Iram se palat kar dekha phir gehri saans lekar wapas mudi...

"Yeh Alien hai"
"Kaun"...Haya ne hairat se kaha "Alien..."

"Areh bhai Shehla bhabhi hai yeh..puri duniya se alag unki dedh inch ki masjid hoti hai bas tawwajjah khinche ke liye functions par bhi Abaya niqab mein milti hai ..ab pucho bhala aurton ke function mein kisse parda kar rahi hai..

"Han waqai hi ajeeb hai yeh bhi"  usne shaanein uchkaye..wo unke ek second cousin ki wife thi aur saal bhar pehle hi shadi hui thi..dj ne gaana set kar diya tha..khoob shor hungama shuru ho gaya..unhone movie wale ko dance ki movie banane se mana kardiya aur phir dance karna shuru kiya...ek sunehri pari lag rahi thi toh dusri chandi ki..jab paao dukh gaye aur khub taaliyan baji toh toh wo haste hue waapis kursiyon ki taraf aayi..

"Assalamualaikum Shehla Bhabhi"  wo ladki bhi usi mez pe maujood thi..Mehwish, Sehrish aur Sana bhi apni ammi ke sath wahi thi..Iram ne foran salaam kiya..Haya ne bhi pairwi ki..

"Walaikum assalam, kaisi ho tum dono..?" Wo muskurakar khush dili se mili..ek haath ke do ungliyon se usne abhi tak niqab thaam rakha tha..."Bilkul theek, Shehla Bhabhi, niqab utarde idhar kaun hai.."

Shehla ne jawaban muskurakar is baat mein sar hilaya magar niqab usi tarah pakde rakha..

"Mashallah , tum dono bohot pyari lag rahi ho"

Wo baat karte karte zara si tirchi hogayi..

Haya ne hairat se dekha shayad us taraf movie wala film bana raha tha isliye..ajeeb aurat hai itni bhi kya be etbari...hamari family movie hai hum kaunsa baahir kisi ko dikhayege..Haya badbadayi..phir wo jald hi maazrat karke waha se chali aayi..

Us mez pe Aabida chacchi bhi toh bethi thi aur kal unki baate sun lene ke baad itni mulafaqat usme nahi thi ke wo Aabida chacchi aur Saima tai se has haskar baatein kar sakti..Amma jaane kidhar thi..kisise puche ke Sabeen phuppo aayi hai ya nahi aur aayengi ya nahi ..kaafi der se uljhan me rahi phir ghar chali ayi aur lounge me telephone stand ke sath rakhi diary uthayi..raks ke baais paao dard karne lage the..wo sofe pe dham se giri..ek hath se golden high heels ke straps kholkar unhe utara aur nange paao thande marble ke farsh par rakh diye..sath hi wo diary ke page palatti Sabeen phuppo ka number talash kar rahi thi..usne kabhi unko yun phone nahi kiya tha magar aaj wo dil ke haathon haar gayi thi..

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now