Chhe June ko jab tak Israel ne saare qaidi raaha kar diye tab tak Sabancı aur Istanbul mein gham aur gusse ki fiza chhayi rahi. Qaidioun ki raahi ke liye muzaahire, Tayyib Erdogan ke sakht bayanat aur Falastini students ka tanaav aur bhi bohot kuch hua jo hamari kahani ke daira-e-kar se baahar hai. Bahrhaal, Mavi Marmara aur Freedom Flotilla ki pareshani khatam hui to sab exams ki taraf mutawajjeh ho gaye.
Woh imtihan bhi usi lambe skirt, full sleeve blouse aur scarf se kiye gaye niqab mein di gayi aur ab use apne chehre ki aadat hoti ja rahi thi. Kandhe par bag lataye aur seene se file laga kar baazu lapetay woh sar uthakar bohot aitmaad se jab Sabancı ki raahdari mein chalti to use Tali aur uski doston ki awaazon ki parwaah nahi hoti.
Tali abhi bhi use istehzaai andaaz mein "Arab Baji" kehti thi. (Arab Baji, yeh Urdu wala Baji hi tha ke Turkon ka “C” Jeem ki awaaz se parh jaata tha). Balkay Tali aur Falastini ladkon ke darmiyan Freedom Flotilla ki kheenchhi gayi lakeer hanoos qaim thi, go ke DJ apni dil ki khwahish ki takmeel dekhne ke liye zinda nahi thi.
Nau junw ko imtihan khatam huye to alwadai dawaton ka aaghaz ho gaya. Pachaas mumalik ke exchange students mein se kuch aakhri mahine mein doosre mumalik ja rahe the, jabke kuch Turkey mein hi reh rahe the. Woh Ayeshe ke paas Buyukada jana chahti thi, magar wahan Abdul Rehman tha aur abhi coffee toh use yaad hogi. Woh badla bhi lega, magar use parwaah nahi thi. Bas chand din hain, phir woh Pakistan chale jayegi to na wahan Abdul Rehman hoga, na awaazay kasne wali Tali. Wahan uske hijab ki izzat hogi. Pehli dafa use Taya Farqan ke nazariyat bure nahi lage the. Woh theek hi Eram par rok-tok karte the. Abba aur Taya kitne khush honge uske hijab par. Magar nahi, use unki khushi se farq nahi padna chahiye. Woh kisi ki sitaish ke liye to yeh sab nahi kar rahi.
Sitaish ke liye agar koi hijab le to jald hi chhod de, kyunki yeh woh kaam hai, jisme riyaa ho hi nahi sakti. Ayeshe ne uski baat pe hans kar kaha tha. Woh itne din baad aaj Buyukada aayi thi aur ab woh teenon saahil ke kinare ek open air café mein baithe thi.
Is se pehle woh un dono behnon ke sath Halima Aunty ke paas bhi ho aayi thi. Aunty, Usman Uncle aur Safir ke sath kahin nikal rahi thi. Bas darwazay pe hi khade khade salaam dua ho saki. Usman Uncle waise hi the, bhaari bharakam aur khush mizaj. DJ ka afsos karne lage to aadatan bolte hi chale gaye aur Bahare Gul bura bura munh bana kar sune gayi. Ek wahi thi jo apne tasurat nahi chhupa sakti thi. Safir se magar Bahare aur Ayeshe dono bore nahi hoti thi. Woh aksar yska zikar karti thi aur ab Haya ki Safir se sarsari si mulaqat bhi ho gayi thi. Woh teis, chobees saal ka khush mizaj ladka tha jaisa ke Europe mein maqeem Pakistani ladke hote hain.
Uski shaadi uske walidain Pakistan mein zabardasti karna chahte the aur yeh qissa Bahare itni dafa dohra chuki thi ke woh Haya ke liye ahmiyat kho chuka tha. Woh dono baap beta Hotel Grand mein kaam karte the aur us dus minute ki mulaqat mein bhi chand baar Safir ke labon se "Abdul Rehman bhai" zaroor nikla tha. Wahi sitaish, fakhar se naam lene ka andaaz jo un dono behnon ka bhi khaas tha. Pata nahi in sab ko Abdul Rehman mein kya nazar aata tha.
Jaane se pehle usne ek dafa socha ke Usman Shabbir se pooch le ke jahaz mein unhon ne agli nishast par baithi Turk aurat ko kya kaha tha ke woh khafgi se wapas mud gayi thi, magar phir usne jaane diya. Baaz baatein adhoori hi rehna behtar hota hai.
Aur riya kaari ki ek pehchaan hoti hai Haya! Ayeshe keh rahi thi. Baaz dafa bande ko khud bhi ilm nahi hota ke woh dikhawa kar raha hai, magar aise kaam ki pehchaan yeh hoti hai ke Allah us par kabhi sabit qadam nahi rakhta. Saahil ke kinare par sayahoon ka kaafi rush tha. Buyukada, Istanbul walon ka "Meri" tha. Mausam-e-garma shuru hote hi sayahoon ka rush lag jata tha.
Bhoore, surmai paron wale samandari baglay bhi saahil ki patti ke sath sath ud rahe the.
Bahare ke haath mein roti thi aur woh baglon ki taraf uchhal rahi thi. Ek tukda bhi zameen pe nahi girta, baglay faza mein hi use chonch mein daba lete.