Sard nam hawa adheemi le mein beh rahi thi. Hari hari ghass par Sabancı ki gol si imarat poore waqar ke sath khadi thi, jaise ek golai ki shakl mein bane ghar ko hat pehnadi jaye. Sheeshe ke unche daakhili darwazon ke saamne seedhiyan bani thi. Seedhiyon ke dono taraf sabza phaila tha. Woh dono filein thamay zine utar rahi thi, jab DJ ne uska shana hilaya.
Yeh jo aakhri zine pe teen larkay khade hain, yeh wahi Palestinian larkay hain. Dekho, Taali bhi unke sath hai.
Usne apne chehre par aate baal peechay hataaye aur dekha. Woh handsome aur khush-shakal se larkay seedhiyon ke kinare khade baaton mein masroof the.
"Aao inse milte hain."
"Mujhe dilchaspi nahi hai. Tum jao, mujhe zara kaam hai." Woh khat khat zeena utarti aage barh gayi. DJ ne use nahi pukara, woh un Falasteeniyon ki janib chali gayi thi. Aur woh yahi chahti thi, DJ se dosti apni jagah, magar filhal woh khoob azadi se Istanbul ko khojna chahti thi. Akeli aur tanha...
Qareeban ghante bhar baad woh apne kamre se khoob tayar ho kar nikli aur pathreli sarak par chalne lagi. Usne blue jeans ke upar ek tang, stylish sa ghutnon tak aata surkh coat pehen rakha tha. Shadeed sardi ke bawajood nange paon mein paanch inch oonchi surkh pencil heel pehni thi. Reshmi baal hawa se shanon pe ud rahe the aur gehre kajal ke saath ras bhari ki tarah surkh lipstick. Use surkh lipstick hamesha se purkashish lagti thi aur aaj use maloom tha ke woh bohot haseen lag rahi hai.
Bus stop aa chuka tha, jab badal zor se garjay. Yeh bus stop university ke andar hi tha. Sabanci ki heroine Gursel thi. Gursel bus service. Woh Sabanci ke talbha ke liye hi chalti thi aur unhein Istanbul sheher tak le jati thi. Haale ne usay Gursel ka schedule ratwa diya tha.
"Jis din tumhari Gursel chhuti, tumhein Haale Nur bohot yaad aaye gi," usne sakhti se taakeed karte hue kaha tha. Gursel apne muqarrara waqt se ek lamha ki takheer nahi karti thi, aur agar aap chand second bhi der se aaye to Gursel gayi. Ab do ghante baith kar agli Gursel ka intezar karein.
Jab woh Gursel mein baithi to aasman par siyah badal ikathe ho rahe the. Jab Gursel ne Bosphorus ka azeem-o-shaan pul paar kiya to moti moti boonden pani mein gir rahi thi aur jab woh Taksim Square par utri to Istanbul bheeg raha tha. Taksim Square Istanbul ka ek markazi chowk tha. Wahan ain wast mein Ataturk samet tareekhi shakhsiyaat ke mujasme nasb the. "Mujasma-e-Azadi" ek taraf hara bhara sa park tha, aur dusri taraf metro train ka zameen daoz station.
Woh bus se utri to barish tada tad baras rahi thi. Mote mote qatrey us par gir rahe the. Woh seene par baazu lapete tez tez se sadak paar karne lagi. Gili sadak par unchi heel se chalna dushwar tha. Chand hi lamhon mein woh poori tarah bheeg chuki thi.
Zair e zameen metro station tak jati woh chaudi seedhiyan samne hi thi. Woh qareeban daud kar seedhiyon ke dahane tak pohonchi hi thi ke chatak ki awaz aayi. Woh ladkhadati aur girte girte bachi. Uski dayen sandal ki heel darmiyan se toot gayi thi. Toota hua do inch ka tukda bas atka hua sath latak raha tha.
Usne khifat se idhar udhar dekha. Log masroof andaz mein chatriyan tane guzar rahe the. Shukr ke kisi ne dekha nahi tha.
Barish isi tarah baras rahi thi. Uske baal mote gile latton ki soorat chehre ke atraf mein chipak gaye the.
Usne kufat se toote jootay ke sath zeena utarna chaha, magar yeh namumkin tha. Jhunjhla kar woh jhuki, donon jooton ke straps khole, paon un mein se nikale aur jootay straps se pakad kar seedhi hui.
Neeche train ke pohnchne ka shor mach gaya tha. Woh bhagte hue nange paon zeena utarne lagi. Uske pehlu mein gire haath se ladke dono joote idhar udhar jhul rahe the. Metro ka ticket dedh lira ka tha, chahay jis bhi station par utro. Woh ticket lekar jaldi se train mein dakhil hui taake kisi ke mehsoos karne se pehle hi motabar ban kar jootay pehan kar baith jaye.