part 34

1.5K 47 6
                                    

Sab sonay ja chuke the aur woh apne kamray mein aaine ke samne khadi paranda ko ulat-pulat kar dekh rahi thi. Sonia ne kaafi sakht bandha tha, girah khul ke nahi de rahi thi. Bila aakhir paranda chor kar usne peshani par jhoolte teekay ko kheenchne ke liye chuwa hi tha ke darwazay par dastak hui.

Usne teeka chhoda aur phir hairat se darwazay ko dekhti us tak aayi. Amma, Abba to sonay chale gaye the phir usne darwaza khola. Samne Jihan khada tha.

"Sorry! Tum so to nahi gayi thi?" Woh qadray jhijhak kar bola. Siah trouser ke upar aadhi aasteen wali safed T-shirt pehne woh wahi Turkey wala Jihan lag raha tha.

"Nahi, tum batao khairiyat?"

"Haan, abhi main lounge mein baitha tha to woh Furqan mamu ki beti aayi thi."

"Eram?" Usne zara hairat se sawaliya abroo uthayi.

"Haan wohi. Tumhara phone aur purse mez par rakha tha, usne phone utha kar mujh se kaha ke use ek call karni hai, abhi paanch minute mein phone la degi, magar ab...”

Usne kalai pe bandhi ghadi dekhi. "Ab 20 minute honay ko aaye hain magar woh wapas nahi aayi. Main ne socha tumhein bata doon."

"Uff! Tumne usay mera phone kyun le jaane diya?"

Jawaban Jihan ne bechargi se shanay uchkaye.

"Usne mujhse ijaazat nahi maangi thi aur main usay kaise rok sakta tha? Mujhe to Furqan mamu ki family se waise hi bohot darr lagta hai."

"Kyun?" Woh chonki.

"Kyunkay woh surkh mirch ka istemal bohot zyada karte hain."

Woh gehri saans le kar bola to woh be ikhtiyar hans di aur yeh Turkey se aanay ke baad pehli dafa tha, jab woh yoon poore dil se hansi thi.

Surrkh mirch ka istemal, humein bhi aata hai. Tum idhar hi thehro, main zara Eram se phone le aoon." Aur aaj to waise hi Eram ki taraf uske bohat se hisaab ikhatte ho gaye the.

"Acha. Main intezar kar raha hoon." Woh muskara kar kehta sofe par baith gaya aur woh bahar chali aayi.

Taya Furqan ke lounge mein sab hi maujood the. Siwaye Eram aur Sonia ke. Taya Abba bohat par malal andaz se nafi mein sar hilate kuch keh rahe the, shayad aaj wale waqay ka tazkara, jab Haya ko aate dekha. "Aao aao beta." Unho ne muskara kar apne saath sofe par baithne ka ishara kiya aur phir Sonia ko awaaz di.

"Sonia! Haya ki chai bhi le aana."

"Ji! Acha Abba!" Sonia ne jawaban kitchen se awaaz lagayi.

"Nahi Taya abba! Main chai nahi piyongi, bas ab sone hi ja rahi thi." Woh betakallufi se kehti Taya Abba ke saath sofe par aa baithi.

Unki gharelu siyasatein aur waqti tand o teekhi baatein ek taraf, Taya Furqan us se pyaar bhi bohat karte the aur aaj Mehwish ki badtameezi par jahan woh dukhi the, wahan unhe Haya ki qadr bhi aayi thi.

"Abba so gaye tumhare?"

"Ji, kab ke. Main bas zara Eram se phone lene aayi thi."

"Phone kyon?" Taya Abba buri tarah chonkay. Saima Tayi bhi thathak kar usay dekhne lagi.

"Eram ko koi call karni thi to woh mera phone le kar gayi thi, magar abhi mujhe apni friend ko message karna hai, so socha phone le loon." Woh bohot sadgi se keh rahi thi.

Taya ke chehre ka rang foran hi badal gaya tha. Narmi ki jagah sakhti ne le li thi.

"Eram... Eram," unhon ne buland awaaz mein pukara.

"Ji Abba!" Woh dupatta sambhalti, bhagti hui aayi, magar Haya ko baithe dekh ke uska rang ek dum se faq hua.

"Haya ka phone usay wapas do." Taya ne usay kari nigahon se ghoorte hue, baray zabt se kaha.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now