part 73

794 31 12
                                    

Lounge se baaton ka shor kamray tak sunaai de raha tha. Sana aur Sahrish apni Ammi ke saath aayi thi aur hasb-e-maamool unki aamad pe Eram aur Sonia bhi chali aayi thi. Woh abhi tak kamray mein hi thi. Unse nahi mili thi. Amma darwaze pe do dafa aakar bahar aane ka keh chuki thi.

Ab to bukhar bhi utar gaya hai, bahar ajao. Woh kab se aayi hui hain, acha nahi lagta. Aur phir bhi woh bina kuch kahe baithi rahi. Dil hi nahi cha raha tha kisi se milne ko. Phir kaafi der baad uthi aur apna bag khola taake koi jora nikale. Abhi pehna labas malgaja sa ho raha tha. Grey shalwar qameez aur saath pata nahi kisi joore ka gulabi dupatta pehne bohat bikhre bikhre hulye mein woh bimaar si lag rahi thi. Bag khol kar dhakkan uthaya to samne kapron pe gift pack mein malfoof ek packet rakha tha.

Usne woh packet uthaya. Kuch madham madham sa yaad tha ke Safeer ne jaate hue yeh uske hawale kiya tha, shayad Halima Aunty ne diya tha. Usne wrapper phara, andar bohat khubsurat safed unseeli silk ka kapra tha. Saath mein ek chhota sa card bhi laga hua tha. Usne card uthaya.

"Haya ke liye bohot duaon ke saath. Tum hamesha poochna chahti thi ke tumhare saath flight mein Usman ne saamne baithi Turk aurat se kya kaha tha taake woh tumse zyads frank na ho sake. Toh main tumhein bata deti hoon. Unhone kaha tha ke humne ek aisi dish ka order diya hai jisme Indian style ki tali hui pyaaz bhi shamil hai. Aur baat yeh hai ke Haya ki turk auraton ko tali hui pyaaz se sakht allergy hai, lekin of course woh sirf isliye aisa karna chaah rahe the ke kahin ajnabi se be-takalluf tumhein nuqsan na ho. Hum apne doston ka bohot khayal rakhte hain!"

Faqt Halima aur Usman.

Uske chehre pe afsara si muskurahat umad aayi. Kuch baatein adhoori bhi reh jaen tab bhi unki tashnagi nahi hoti. Jaise DJ ko "Good Morning DJ" kehne wala larka use nahi mila tha. Woh kaun tha, woh kabhi bhi nahi jaan payegi. Aur kaun jaane ke usay khud bhi pata tha ya nahi ke DJ is duniya se chali gayi hai.

Kon jaane!!!

Usne bag se kapde idhar udhar kiye. Aage peeche har jagah dekha. Phir doosra bag khola. Uska wind chime kahin nahi tha. Pata nahi woh use kahan bhool aayi thi. Dil itna kharab hua us baat se ke woh libas badle bina bal clucher mein baandh ke bahar aayi.

Matlab had ho gayi. Ek dum se humein itni suna diyan, Raza bhai ne. Hamara kya qasoor? Aur woh Faiza waghera unko bhi toh dhyaan rakhna chahiye tha na.

Sana lounge ke sofe par baithi zor-o-shor aur khafgi se keh rahi thi. Haya ko aate dekh kar baat rok kar jaldi se uthi.

Haya aapa kahan hain aap? Sab keh rahe the ke aap aate hi bimaar pad gayi hain. Woh bade tapak se uske gale lagi. Haya ne zaras muskurayi. Sonia bhi ache se mili. Baaki Sahrish aur Eram to apne apne mood mein thi, magar usay kahan parwah thi. Natasha apne masroof andaaz mein be niyaaz si sofa pe baithi magazine ke warq palat rahi thi.

Toh phir kya tumne Faiza se shikayat ki? Woh sab baith gayi to Sonia bhabhi ne Sana ko tafakkur se dekhte hue silsila-e-kalam wahi se jora. Lounge ke wast mez par sheeshe ke pyale mein strawberries bhari thi darmiyan se kati hui surkh hue strawberries Sahrish baat sunte sunte ek ek karke kha rahi thi.

Haan aaj ja kar phone karungi. Had hai. Phir Haya ko dekh kar Sana wazahat karne lagi. Faiza bhaji ne pata hai kya kiya? Kya? Haya ne uske andaaz mein dohraaya. Use koi dilchaspi nahi thi. Faiza Arsal ki behan thi aur Arsal woh tha jiske walime ki raat Taya Abba ne uski beizzati ki thi.

Faiza bhaji ne Arsal bhai ke walime ki tasveerein Facebook pe laga di. Chalo apni lagati thi khair thi. Magar hamari table ki bhi teen tasveerein album mein laga di aur privacy public rakh di. Raza bhai ne dekha aur phir humein hi sunaane lage.

Ab Faiza bhaji se poochho kahan ke ethics hain ye kisi aur ki tasveer mein laga do?

Woh bas khamoshi se Sana ko dekhti rahi. Uska zehan Kalis ki sarhad se aage nahi badha tha.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now