part 48

1.2K 50 8
                                    

Dhadakte dil ke saath usne ek haath mein dibbi pakad kar doosre haath se uska dhakkan khola. Andar siyah makhmal par ek chhoti si flash drive rakhi thi. Usne flash drive uthai aur kholi. Drive ka silver, USB chamak raha tha. Haya ne dhakkan band kiya, aur achnabe se use ulat pulat kar dekha. Ungli ke do poron ke barabar chhoti si drive ka cover siyah tha.

Wahan kahin kuch nahi likha tha.

Ismein kya ho sakta hai bhala? Tasaveer? Documents? Kitabein? Wo nahi janti thi ke uski memory kitni hai kyunki uske upar likha nahi tha, magar yeh to wazeh tha ke usmein duniya jahan ki cheezen sama sakti thi. Andar jo bhi tha, woh tab hi khulta, jab woh use computer se jorhti aur computer... Oh. DJ ko khiraaj dete hue woh laptop apne paas nahi rakh saki thi. Ab usmein jo bhi tha, woh use ghar pohonch kar hi dekh sakti thi.

Usne flash drive wapas dibbi mein daali aur ehtiyaat se purse ke andar ke khanay mein rakh di. Yeh qeemati cheez thi aur use uski hifazat karni thi.

Haya ne sar seat ki peshni nikal di aur jalti aankhen moond li. Subah ke waqiaat aur is hungama khaiz faisle aur tayyari ne use thaka diya tha. Bukhaar, sar dard aur takaan, un sab ki takleef us takleef se kahin chhoti thi, jo aaj Jihan ne use di thi. Woh kuch bhi yaad nahi karna chahti thi, magar tamaam waqiaat umad umad kar aankhon ke samne chalte nazar rahe the.

Be itebaari ka dukh zyada bada tha ya khud ko Jihan ke liye blackmailing ka hathiyaar banaye jaane ka khauf, woh faisla nahi kar saki. Balki ek baat tay thi. Agar in pichle paanch mahino mein usne kuch faisle sahi kiye the to Pakistan wapas jaane ka faisla unmein se ek tha. Apne ghar, baap aur bhai ke tahafuz se barh kar kuch nahi hota.

Use Turki ab bhi utna hi pasand tha, magar Turki ke kuch logon se ab use khauf aane laga tha. Bas bahut ho gaye adventures, usne haar maan li thi. Woh Jihan ko kuch kehne ka mauka diye bina chali aayi thi. Magar woh jaanti thi ke sahi yahi tha. Usko sambhalne aur sochne ke liye waqt chahiye tha.

Jihan ke liye bhi shayad yeh durust tha. Ab kam az kam Pasha use Haya ki wajah se blackmail nahi kar sake ga. Jihan Sikandar se shadeed narazgi ke bawajood, laashaori tor par bhi usne uska acha hi socha tha.

Fajr ke qareeb woh Islamabad pohonchi. Abba ko aane se mana kar diya tha, so uski takeed ke mutabiq unhone driver bhej diya tha.

Sar dard, bukhaar aur bojhal dil... woh goli le kar soyi to Zohr ke qareeb uthi. Itna bada sar par anj! Use haathon se baal lapet te hue lounge mein aate dekh kar Fatima ne muskurate hue kaha. Subah woh so rahi thi aur unki mulaqat ab ho rahi thi.

Amma! Woh aage badh kar unke gale lag gayi. Ghar, tahafuz, aman. Uske aansoo umad umad kar aa rahe the.

Sabeen pareshan ho rahi thi ke itni achanak Haya kyun chali gayi?

Apne bete se poochna tha na!

Jihan ko bataya tha, woh shayad batana bhool gaya ho... Kuch khane ko hai? Woh nigahein chhurakar kitchen ki taraf jaane lagi, wahi Subanji se padi har kaam khud karne ki aadat. Fatima ne haath se pakad kar use baithaya.

Aaram se baitho. Noor Bano khana laga hi rahi hai. Phir zara chonki. Tumhein bukhaar hai. Jab woh gale lagi thi to us waqt itne arse baad milne ke josh mein unhein mehsoos nahi hua tha shayad.

Nahi, safar ki wajah se. Usne dheere se haath chhudaaya.

Pichli dafa jab woh Pakistan aayi thi, tab bhi use bukhaar tha. Tab usne Istiklal Street mein DJ ko kho diya tha. Ab bhi usi bukhaar tha... aur is dafa shayad usne Jihan ko kho diya tha. Usi jagah Istiklal Street mein. Azadi ki gali... jis se woh kabhi apni zindagi azad nahi kar sakti thi.

Shaam mein jab woh Asr parh kar jaye namaz teh kar rahi thi to lounge ki chokhat par Taya Furqan ne hule se dastak di. Woh chonki kar mudi, phir muskuradi.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now