part 19

1.7K 55 7
                                    

Darwaze par madham si dastak hui to woh surat se kursi se uthi. Ek nazar soti DJ pe daali, doosri apne zair e istamal bunk par jo dobaara se bana silwat aur shikan ke banaya ja chuka tha aur jis pe Turk ladkiyon ke aitmad ke khoon ke jaane ki koi nishani baqi nahi thi... aur darwaza khol diya.

"Salam Alaikum exchange students!" Haale Noor hashash bashash si muskurati hui khadi thi. Woh yun thi goya dhuli hui chaandni. Siyah scarf chehre ke gird lapete, mulki sabz lambay jacket ke neeche safed jeans pehni, shaanay pe bag aur haath mein chabiyon ka guccha pakde, woh poori tayyari ke saath aayi thi.

"Walaikum Assalam, Aao Haale! Main tumhare dorm mein gayi thi lekin tum wahan nahi thi. Main ne andaza lagaya ke tum yahin hogi." Haale ne apna bag mez par rakha aur kursi kheench kar nafasat se baith gayi. "Haan, main alel subah yahan aa gayi thi. DJ ki yaad aa rahi thi."

"Khadeejah so rahi hai?" Haale ne gardan oonchi kar ke upar dekha, jahan DJ do mote kambal ghatri ki surat khud pe daale so rahi thi.

"Haan aur shayad der tak soti rahe."

"Ohh... Main ne socha tha ke tumhare phone register karwane chalein aaj. Turkey mein ghair mulki phone par Turk SIM card ek hafte ke baad block ho jata hai."

"Haan bilkul, tum log jao aur mera phone bhi le jao, main do ghante mazeed soungi." Kambalon ke andar se awaaz aayi to Haale muskuradi, muskurate hue uski chamakti surmayi aankhein chhoti ho jaati thi.

"Chalo Haya! Hum dono chalte hain."

Woh dono saath saath khadi ho gayi thi. Haya subah apne kamre mein ja kar fresh ho kar aayi thi. Abhi woh siyah churidar paijame aur takhno tak aati siyah lambi qameez mein malbus thi. Shiffon ka dupatta gardan ke gird muffler ki tarah lapete, aur upar lamba siyah sweater pehna hue thi jiske button samne se khule the.

Kuch din mere khush qismat din hote hain, jab mere paas car hoti hai aur kuch din bad qismat din jab mere paas car nahi hoti. Aur aaj mera khush qismat din hai. Haale ne uthte hue bataya.

Abhi hum qareebi dukaano mein jayenge, agar wahan se phone register na hue to Jawahar chalein ge, uske baad wahan se Jahangir.

Jawahar? Haya ne abhru uthaayi, Jahangir ko usne kisi Turk ka naam samajh kar nazar andaz kar diya.

Jawahar shopping mall hai. Europe ka sab se bada aur duniya ka chhatha bada shopping mall!

"Oh achha, jaise Pak Towers..."upar oamron se aawaz aayi.

Pak Towers? Haale ne gardan utha kar Khadija ke kambalon ko dekha.

Hamara Pak Towers, Asia ke sab se bade shopping mall mein shumar hota hai. Woh ghanooda awaaz mein boli. Nice Haale sitaish se muskurakar bahar nikal gayi. Haya ne uske jaane ki tasalli kar li, phir lapak kar peechay aayi aur seedhi par chadh kar DJ ka kambal kheenchha. Yeh Pak Towers Asia ka sab se bada mall kab se ho gaya? Usne kaun sa ja kar check kar lena hai. Thoda show marne mein kya harj hai? DJ ghadap se kambal mein ghus gayi.

***

Haale drive karte hue mutaasif kisi baar baar maafi maang rahi thi. Phone register nahi ho sake the. Avea ki dukan pehle to mili nahi, dusri mobile companies ki dukanein hi har jagah thi. Yun jaise aap ko Zong ki dukan ki talash ho aur har taraf Ufone ki dukanein ho. Mushkil se ek dukan mili to uska manager shop band kar ke ja raha tha. Laakhon minnato par bhi usne dukan nahi kholi aur chale gaya. Ab Haale musalsal sharmindagi ka izhaar kar rahi thi.

"Bas karo Haale! Baad mein ho jayega, ab mujhe sharminda mat karo."

"Kher, tumhara dusra kaam to karoon, Jahangir chalte hain."

Haale ne gehri saans andar kheenchhi. Gaadi sadak par rawaan dawaan thi aur khidki ke bahar har su baraf dikhai de rahi thi.

"Tum adress dikhao, hum pahunchne wale hain."

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now