part 7

1.4K 51 1
                                    

Zindagi mein pehli dafa woh yun kisi ladke ke saath tanha baat karne bethi thi. Abba ko pata chalta toh unki saari wasee un nazrein bhak se ud jaati. Use libaas pehenne ki azadi thi, sar dhakne ki pabandi bhi naa thi magar ladkon se be takkalufi ya dosti ki ijazat abba ne kabhi nahi di thi.

Wo bethi toh Waleed zan se gaadi bhaga le gaya.

"Aapko jo bhi kehna hai, jaldi kahiye, phir mujhe bhi kuch kehna hai." Woh sar jhukaye god mein rakhe haathon ki ungliyan marod rahi thi. Ajeeb mustarib halat ho rahi thi uski.

"Pehle aap kahie." Waleed Marriage Hall ki pichli taraf ek nisbati sunsaan gali mein gaadi le aaya tha.

"Ohkay mujhe kuch batana tha."  Woh gardan jhukaye kahne lagi. 'Mere abba ne maloom nahi aapko bataya hai ya nahi magar main batana zaroori samajhti hoon. Mera nikaah meri phupho ke bete se bachpan mein hi ho gaya tha. Woh log Turkey mein hote hain. Kuch khandani masaail ke baais mere abba unse zara badzann hain aur ab mujhe divorce dila kar meri shaadi kahi aur karna chahte hain. Magar main aisa nahi chahti."

Usne sar nahi uthaya. Waleed ki khamoshi se usne yahi muraad li ki woh sakht chaunk ke elam mein hai.

"Main apne shauhar ki wafaada hoon, Mister Waleed! Main ne usike khwab dekhe hain aur zehni tor par khud ko usi se wabastah paati hoon. Ab kisi aur se shaadi karne ke baare mein main soch bhi nahi sakti."

Wo ab bhi kuch naa bola. Haya god mein rakhe haathon ko dekhte huye bolte ja rahi thi.

"Please aap inkar kar dein. Main kisi aur ki biwi hoon. Nikaah par nikaah nahi hosakta, please main aap se darkhwast karti hoon."

Usne chehra upar uthaya. Woh ek tak khamoshi gehri nazron se use dekh raha tha. Yeh uska chehra toh naa tha, jo woh saara raasta driving ke douran dekhti aayi thi. Yeh toh koi aur hi shaksh tha.

"Phir.. phir aap ne kya socha?" Uski awaaz lad khada gayi. Waleed ki aankhon mein kuch aisa zaroor tha ke use laga woh ek sangeen galti kar chuki hai.

Khatre ka alarm zor zor se uske andar bajne laga.

"Kis baare mein?" Woh bojh hal aawaz mein bola toh woh darwaze ki taraf simti.

Naa mehsoos andaaz se uska haath handle par reing gaya.

"Aap ke us rishte se inkar ke baare mein."

"Saari umar padi hai yeh baatein karne ke liye Haya! Abhi toh un lamhon se faida uthao jo mayassar ho." Woh ek dam us par jhuka. Haya ke labon se cheekh nikli. Waleed ne dono haath uski gardan par rakhne chahe, magar usne zor se handle kheench kar darwaza dhakela. Darwaza khulta chala gaya. Wo dusre haath se Waleed ko dhakka de kar bahar nikli. Uska dopatta Waleed ke haathon mein agaya tha. Woh tezi se bahar bhagi toh Waleed ne dopatta kheencha. Dopatta uski gardan ke saath ragadta hua peechhe Waleed ke haathon mein reh gaya. Woh bina peechhe mud ke dekhe, bhagi jarahi thi.

Use Waleed ke darwaza khol kar koi unchi si gali dene ki awaaz sunayi di thi. Uske bhagte kadmon mein tezi aagayi.

Galiyan sunsaan thi. Jaane woh kahan le aaya tha. Aaj itwar tha aur dukaanon ke shutter gire hue the. Woh idhar udhar dekhe baghair bhad hawas se daudti hui ek gali mein mudd gayi.

Peeche koi daudta hua araha tha. Woh bhagti hui gali ke doosre sire tak pahunchi magar yeh kya? Gali band thi. Dead end.

Wo besakhta palti.. Bhagte kadmon ki awaaz qareeb aarahi thi.

Woh daud kar gali ke band sire tak gayi aur deewar ki enton ko cho kar tatola. Shayad andar koi jadui darwaza ho. Shayad Harry Potter ki kahaniyan sach ho magar...

"Kyun bhagti ho?" Masroor se andaz mein kisi ne peechhe se kaha toh woh ghabra kar palti.

Waleed samne se qadam qadam chalta araha tha. Uske labon par fatehana muskurahat thi. Woh nidhaal ki deewar se lag gayi. Uska dopatta toh wahi reh gaya tha. Ab baghair asthiyon ke jhalakte bazu aur galey ka gehra ghaat. Usne be ikhtiyar seene pe bazu lapete.

"Mujhe jane do! " Uski awaaz bhara gayi. Pehli dafa yeh ghalati ki thi aur pehli hi dafaa itni badi saza?

"Kaise jane doon, phir tum ne haath thodi  aana hai?" Woh chalte chalte us se chand qadam ke faasle pe aa khada hua tha. Door lage street pole ka bulb uske peechhe chup gaya tha.

"Please main aisi ladki nahi hoon".

"To kaisi ladki ho? Mujh se lift leli magar shadi se inkaar hai? Tab hi gaadi mein itni be rukhi dikhrahi thi. Woh us ke bilkul samne aa ruka.

"Please.." woh hole hole laraz rahi thi. Usmein itni himmat na thi k ab Waleed ko dhakka deti.

Woh muskurathe hue aage barrha. Haya ne sakti se aakhein meech li. Uska sar chakrane lagaa tha.

Tab hi usne zor se kisi zarb lagne ki awaaz suni aur phir Waleed ki karaah.. usne dheere se aakhein kholin.

Waleed chakra kar neeche gir raha tha aur uske peechhe koi khada nazar aa raha tha.

Shauk naranjish shalwar kamiz mein malboos, makeup se ata chehra liye, wohi us roza vala khawaja saraa doali.. Us ke haath mein ek frying pan tha, jo us ne shayad Waleed ke sar pe mara tha. Woh sakhit si us ko dekh rahi thi.

Dolly ne paon se ek thokar Waleed ko mari to us ka behosh wajood zara sa pare hua. Woh do qadam aage barha aur Haya ke saamne ruka. Uski silver chamkili eyeshadow se aankhon mein aisi kaat thi ke woh saans roke use dekhti rahi.

Tab hi usne haath badhaya aur Haya ko gardan ke peeche se dabocha yun ke gudi pe gire baal bhi uske girift me aagaye...

Dolly ke hath aur Haya ke gardan ke darmiyan uske baal the phir bhi uske hath ka khurdura pan wo mehsus kar sakti thi lekin labon se keh tak nahi nikli..uski gardan ko yunhi peeche se daboche Dolly ne jhatke se usko aagey dhakela..wo beikhteyar khasi magar Dolly ke berehem girift dheeli na padi..wo use usi tarah pakde apne aagey aagey dhakel kar chal raha tha..wo ladkhadate kadmon se chal rahi thi..

Gali ke aghaz tak jahan se woh aayi thi, woh use le gaya, phir mukhalif simt mur gaya. Samne hi marriage hall ka pichhla hissa tha.

Woh use apne aagey dhakelta pichle gate tak le aaya aur ek jhatke se use chhoda. Usne palat kar dabdabai aankhon se Dolly ko dekha.

Woh abhi tak lab bhinche, talkh kaat daar nigahon se use dekh raha tha.

Haya ki aankhon se aansu girne lage the..use laga wo ab kabhi bol nahi paayegi..

Daftan Dolly ne apni gardan se lipta narangi dupatta kheenchha aur us par uchala... dupatta uske sar par aa thehra. Phir silky baalon se phisalta hua shaanon pe dhalak gaya..  Dolly chupti hui nazron se use dekhta hua aahista se bola.

"Be-haya."

Uske lehje mein barchi ki kat thi..

Phir woh palat gaya. Wo bheegi ankhon se use door jaati dekhti rahi.. Narangi dupatta uske kandhon se phisal kar qadmon mein aa gira to woh chonki, phir jhuk kar dupatta uthaya.
Reshmi bhadkila narangi dupatta jispar sasta sa golden sitaaron ka kaam tha wo kabhi apni maasi ko bhi aisa dupatta naa deti magar aaj usne achhe tareeke se khud ko is mein lapeta, ta ke pehchani na jaye aur pichhle gate ki taraf badh gayi.

Hall mein jaane ki bajaye woh bathroom ki taraf aayi aur apna huliya durust kiya.Rone se kajal beh gaya tha..baal bhi bikhre the..wo baal us chote se clutch mein tha jo usne us saare arse mein apne baay hath mein daboche rakha tha..Shukr..

Andar function urooj par tha.

Stage par dulha dulhan rishtedaro cousins aur dost muskura rahe the..

Soniya Bhabhi bhi bohot acchi lag rahi thi..aur Dawar Bhai bhi..

Eram firozi frock mein chehekti hui idhar udhar ghum rahi thi..use bhi wahi hona chahiye tha magar wo aisi zehni haalat mein na thi ke do qadam bhi chal paati so bay dum si aakhri nashist par giri hui thi.

"Be-haya"

"Be-haya"

"Be-haya"

Dolly ke alfaaz hathode ki tarah uske dimaag par baras rahe the. Woh be-haya to nahi thi. Woh to kabhi kisi ladke ki gaadi mein nahi baithi thi. Us se to yeh ghalti pehli baar hui thi, phir ...? Soch soch kar dimaag phata ja raha tha.

Woh aadhe function ke baad hi tabiyat kharabi ka bahana kar ke chali aayi thi.

Yeh Dawar aur Sonia ki shaadi ke chand din baad ka zikr hai.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now