"Hamare dulha bhai bhi saath hi aaye hain." Haya drawing room mein jhaank kar andar kamre mein aayi to woh munh ladkaaye baithi thi.
"Tum aise kyun baithi ho?"
Eram ne aahista se sar uthaya. Sar par saleeqe se dupatta jamaye woh tayyar baithi thi..han aankhein zara veeran si thi
"Woh video...! Dafaa karo usay. Aao sab bhula rahe hain. Ladke ko uski walida maajida ne andar bulaya hai, tumhe dikhane ke liye. Aao!" Usne haath pakad kar usay khada kiya.
"Aur abba..?" Eram ki ankhon mein zara si pareshani utri... "Unse ijazat leli hai aur woh baahir mardo mein baithe hai..Woh Eram ko hath se pakde drawing room ki taraf le aa aayi..Jaali daar ke parde ke peeche wo dono lamhe bhar ko ruki thi..Andar sofo mein Saima Tayi, Fatima Begum aur Soniya Bhabbi bhi bethi thi..
Samne wale do single sofey par ek nafees si khatoon aur ek khoobroo sa nau jawan baitha tha. Samne rakhi mez lawazmaat se saji thi aur Sonia bazeed israr mehmanon ko bohot kuch pesh kar rahi thi. "Bas bhabhi! Humein to apni jaisi hi bacchi chahiye. Ba-haya, ba-parda, soum-o-salaat ki paband." Woh khatoon muskara kar keh rahi thi.
"Aree Mrs. Kareem! Hamari Eram to kabhi sar dhake baghair gate se bahar nahi nikli."
"Assalam-o-alaikum!" Woh Eram ko saath liye andar daakhil hui. Uske salaam par sab ne sar utha kar dekha.
Gulabi poori aasteenon wali shalwar kameez mein hum rang dupatta achhi tarah faila kar sar par liye Eram jhuki jhuki nigahon ke saath samne ek sofe par aa baithi.
Haya bhi saath hi thi. Kamar par girte silky baal, grey A-line shirt aur trouser zaib tan kiye, dupatta kandhe par daale Eram ke saath hi taang par taang rakhe pur aitmaad tareeke se baithi gayi yun bethne se trouser ke paayche zara upar ko uth gaye aur grey kanchi chapplo mein mukeet safed paao takno tak jhalakne lage..
Begum Kareem ki mushfiq si aankhon mein Eram ke liye pasandeedgi ki jhalak utri thi. Unhone taayidi andaaz mein apne smart se bete ko dekha, magar woh Eram ko nahi, balki bohot ghour se Haya ko dekh raha tha.
"Aur beta! Aap kya karti ho?" Bete ko mutawajah na paakar woh Eram se mukhatib hui.
"Ji, Masters kar rahi hoon English Literature mein." Eram ne jhuki jhuki nigahon se jawab diya.
Tab hi Haya ko mehsoos hua ke woh ladka musalsal usay dekh raha hai. Taaish yaa paseendeedgi se nahi balke gaur se jaanchti parakhti nazron se..
Dafatan usne pocket se apna BlackBerry phone nikala aur khamoshi se sar jhukaaye button press karne laga.
Khawateen aapas mein guftagu mein masroof thi, magar Haya kuch ajeeb sa mehsoos karti kunakiyon se usko dekh rahi thi. Jo apne phone par jhuka hua tha. Tab hi haule se uske mobile se "My Name is Sheila" ki awaaz goonji, jise usne foran band kar diya. Magar wo sun chuki thi. Sheila ke saath shadiyon ka makhsoos shor bhi sunayi diya tha aur Eram ne bhi shayad kuch suna tha, tab hi chonk kar gardan uthayi aur phir qadre sabki se wapas jhuka di.
Haya ko apne jaan jism se nikalti hui mehsoos hui thi.. Kya duniya itni chhoti thi?
Woh ab mobile par kuch dekh raha tha, kabhi screen par dekhta aur kabhi Haya aur Eram ke chehron par nigah daalta. Saaf zahir tha woh kuch milane ki sa'i kar raha tha.
Lekin dihani tasdeek saboot sab saaf zaahir tha phir ekdum wo utha aur tezi se kamre se nikal gaya. Ek sharminda si khamoshi ne saare mahaul ko gher liya.
Haya ne sar jhuka diya, use apna dil doobta hua sa mehsoos hua tha.
Woh bohot bechain si baithi thi.. Paao upar sofe par samete haath mein remote pakde, woh jhalaayi hui si channel badal rahi thi. Muztarib, bebas, pareshaan.