part 64

2.5K 63 4
                                    

Woh aaj phir university chali aayi thi. Dr. Ibrahim se aaj usne waqt nahi liya tha lekin phir bhi woh usko apne office mein mil gaye.

"Aapne theek kaha tha sir! Humein logon ko waqt dena chahiye. " Unke saamne baithi woh aaj bohot sukoon se keh rahi thi aur woh usi tawajjo se usse sun rahe the. Saamne uske liye mangwa kar rakhi coffee ki satah se dhuwain ke margolay uth kar fiza mein gum ho rahe the. Unke office ka khamosh pur sukoon mahaul uske aasab ko relax kar raha tha.

"Yaqeen karein sir! Log shuru mein aapke hijab ki jitni marzi mukhalifat kar lein, ek waqt aata hai ke woh use qabool kar lete hain. Balki yun kehna chahiye ke woh aapko usme qabool kar lete hain. Chahe unhe hijab tab bhi utna hi napasand kyun na ho jitna pehle tha. Ab mujhe yaqeen aa gaya hai ke aahista aahista saare masle hal ho jaate hain."

"Bilkul." Unhone muskurakar ishaara kiya aur tawaquf mein sar hila kar tayeed ki.

"Magar sir jab main apne masail se ghabra gayi to aapke paas aayi aur tab maine aapse kaha tha ke ye "tu asool-e-sabr" insano ko insano se hi chahiye hota hai. Aapne meri baat ki tayeed ki thi right!"

Ji phir? Woh puri tawajjo se sun rahe the.

"Phir sir ye ke meri phuphi kehti hain ke insaan ko apne masail dusron ke samne bayan nahi karne chahiye. Jo shakhs aisa karta hai woh khud ko be izzat kardeta hai. Kya aisa hi hai sir! Kya humein apne masail kisi se nahi share karne chahiye?"

Woh apni coffee ki satah pe aaye jhakh ko dekhte hue keh rahi thi jismein mukhtalif ashkaal nazar aa rahi thi. "Magar phir hum to asool-e-sabr kaise karenge sir?" Jihan ki taraf ki roodaad sun kar uske zehan mein ye sawal atak kar raha tha. "Aapki phuphi theek kehti hain. Sawal karna yani kisi ke aage haath phailana bhale woh hamdardi lene ke liye hi ho har haal mein napasandida hota hai. Insaan ko waqai mein apne masail apne tak rakhne chahiye. Duniya ko apni problem side dikhane ki zarurat nahi hoti. Apne masail ka waqai mein ishtihar nahi lagaya karte." Magar... woh lehza bhar ke liye ruke.

Woh namehsoos tareeqay se kursi par aage ko hui. Use isi "magar" ka intezaar tha.

"Magar insaan pe har waqt ek sa phase nahi rehta mere bachay! Waqt badalta hai. Masail bhi badalte hain. Kabhi kabhi insaan aisi situation mein giriftar ho jata hai jisse woh pehle kabhi guzra nahi hota. Tab use chahiye ke apne masail ka hal kisi se pooch le. Insaan ko sirf tab apne problems share karne chahiye jab usse waqai mein apne paas se iska hal na mile. Koi ek dost, ek teacher ya phir koi ajnabi, kisi ek bande ke samne apne dil ki bharas nikal dene mein koi harj nahi hota jo waqiatan mein asool-e-sabr kare. Haan! Lekin ek baat yaad rakhein. Us shakhs ko kabhi apni basekhi na banayein. Aapko har kuch din baad kisi ke kandhe pe rone ki aadat nahi dalni chahiye. Dene wala haath lene wale haath se behtar hota hai. Har waqt doosron se tasalli lene ke bajaye behtar hai ke hum tasalli dene wale banein. Asool-e-sabr sabr ki taleem dene ka naam hota hai, har waqt lete rehne ka nahi.

Usne samajh kar sar hila diya. Uski coffee ab thandi hoti ja rahi thi, jhajh ki ashkaal chhutti ja rahi thi. Use khushi thi ke aaj woh sar ke paas phir se naye masail le kar nahi aayi thi. Main samajh gayi aur mujhe kuch aur bhi batana tha aapko. Use jaise usi pal kuch yaad aaya. Aapne kaha tha main ahzaab ki surat mein kuch miss kar gayi hoon. Maine us bare mein bohot socha phir mujhe ek khayal aaya. Achha aur woh kya. Woh dilchaspi se kehte zara aage ko hue.

"Sir! Jang-e-Ahzab ke khatam hone ke baad Banu Quraiza apne qilaon mein chalay gaye the. Musalmanon ne unka ta'aqub kiya aur unko jaa liya. Agar Banu Quraiza ka faisla aap (صلى الله عليه وسلم) pe chhoda jata to aap (صلى الله عليه وسلم) zyada se zyada unhe woh jagah chhod dene ka hukam de dete magar unka faisla Sa'ad (رضي اللہ عنہ) pe chhoda gaya jo Qabeela Aus se the. Unhone Banu Quraiza ka faisla Yahudiyon ki apni sazaon ke mutabiq kiya yani ke tamam mardon ko ghaddari ke jurm mein qatal kiya jaye. Yeh Bani Israel ke hawn ghaddari ki saza thi. Kya maine yehi baat miss kar di ke aakhir mein Banu Quraiza ko unke apne hi saza dete hain.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now