"Hello!" Doosri jaanib zara der khamoshi ke baad ek bhaari gambheer awaaz sunayi di.
"Assalam-o-Alaikum, Miss Haya Suleman?"
"Ji... aap kaun?"
"Main Major Ahmed baat kar raha hoon, Cyber Crime Cell se. Aapne hamari agency mein report ki hai, humein abhi aapki complaint moosool hui hai."
Woh jo koi bhi tha, bohot khubsurat bolta tha. Gehra, gambheer, magar narm lehja jismein zara si chaashni bhari tapish thi. Garm aur sard ka imtizaaj.
"Magar... Major Ahmed... main ne complaint mein apna number to nahi likha tha." Woh dhak dhak karte dil ke saath keh rahi thi. Eram bhi herat bhare khauf se usko dekh rahi thi. Jawaban wo dheere se hans diya.
"Numbar to bohot aam si cheez hai Miss Suleman! Main to aapke baare mein bohot kuch jaanta hoon."
"Kya?"
"Yahi ke aap Suleman Asghar ki beti hain. Aapke walid ki ek construction company hai. Aapka bhai Rohail George Mason University mein zair e taleem hai. Khud aap International Islamic University mein LLB Honours Shariah and Law ke paanchwen saal mein hain. February mein aap exchange program ke tehat Istanbul ja rahi hain, ghaliban Sabanci University mein aur pichle hafte apne cousin Dawar Furqan ki mehendi ke function par banne wali video ki internet par uploading ko aapne report kiya hai. Is that right, ma'am?"
Woh jo dum-bakhut sunti ja rahi thi, mushkil bol payi. "Ji... ji wohi video."
"Ab aap kya chahti hain?"
"Yahi ke aap usay us website se hata dein." Uski awaaz mein bohot maan, bohot minnat bhar aayi thi.
"Okay, aur kuch?"
"Aur... aur jin logon ke paas uski CD hai woh bhi..." Aage uska gala radh gaya, ehsas-e-toheen se kuch bola bhi nahi gaya.
"Main sheher ke ek ek bande se woh video nikalwaloon ga, aap befikar rahiye." Aur usay laga mano bohot bada bojh uske upar se utar gaya ho.
"Thank you, Major Ahmed." Uske andaz se zahir tha ke woh phone rakhne wali hai to woh keh utha. "Thank you to aap tab kahen jab main yeh kaam kar doon aur is kaam ko mehaz shuru karne ke liye bhi mujhe aapka taawun chahiye."
"Kaisa taawun?"
"Madam! Aapko zara si takleef karni hogi, aapko us video ki baqaida report karne ke liye mere office aana hoga."
"Kya? Nahin, nahin main nahin aasakti." Woh pareshani se hakla gayi. Eram bhi fikarmandi se uska chehra dekhne lagi. "Phir to yeh kaam nahin ho payega. Aise steps phone par nahin liye ja sakte." Usay laga, woh mehsooz sa muskara raha tha.
"M... magar main nahin aasakti." Aur woh kaise aasakti thi? Agar kisi ko pata chal jata to kitni badnami hoti.
"Aapko aana padega, main gaadi bhej deta hoon."
"Nahin nahin, acha Khuda Hafiz." Usne jaldi se phone band kar diya.
"Bhaad mein gaya yeh aur iska cyber crime cell. Agar Abba ya Taya Furqan ko pata lag gaya ke hum ek agency ke headquarters gaye hain... to hamari taangein tod denge woh."
"Main to pehle hi keh rahi thi ke report na karo."
Private number se phir call aane lagi thi. Usne jhunjhla kar phone hi off kar diya. Us video se zyada Major Ahmed ne use blackmail kiya hai. Yeh khayal phir pura din uske zehan mein goonjta raha tha.
Woh bahut thaki hui Passport Office se nikli thi. Islamabad se Pindi ka itna lamba aur rush bhari sadak pe thaka dene wala safar kar ke woh aaj Passport Office se apna passport uthane aayi thi, magar yahan ilm hua ke passport chaudah January ko hi mil payega aur abhi chaudah January mein hafta rehta tha. Koi technical masla tha jiske ba'ais Islamabad wale passport office mein passport ka kaam ruka hua tha tabhi use Pindi mein hi apply karna pada tha.