part 59

1.1K 37 14
                                    

Baab-12

Hotel Grand ke balaayi manzil ke is pur-taish power office mein perfume ki khushboo ke saath cigarette ki mehek bhi phaili thi. Woh revolving chair par baitha, laptop pe hotel ke record check kar raha tha. Qareeb pada ashtray cigarette ke adh jale tukron aur raakh se bhar chuka tha. Yeh uski ek matra buri aadat thi jise woh bohot chaah kar bhi nahi chhod saka tha.

Uski ghair mojoodgi mein hotel Usman Shabbir dekhte the. Woh ek achhe aur imaandaar aadmi the. Unka beta Safeer bhi hotel mein kaam karta tha. Lekin Jihan ki koshish hoti ke woh us ladke ko administration ke maamlaat se door hi rakhe. Safeer qadare ghair zimmedar aur fitratan laalchi waqia hua tha. Usman Shabbir kal Pakistan ja rahe the. So unki maujudgi mein use Safeer ko zara kheench kar rakhna tha. Kal! Haan kal ja rahe the Usman Shabbir Pakistan!

Documents dekhte hue woh ek dum chonka.

Usman Shabbir kal Pakistan ja rahe the? Aur unki wapas aane ki bhi jaldi hi ummeed thi. Kya woh un hi tareekhon mein wapas aayenge, jab Pakistan se do exchange students Haya Suleiman aur Khadija Rana Istanbul aayengi? Kuch der woh isi soch par sochta raha, phir cell phone uthakar dekha. Haya ki emails mailbox par lage clone ke bawajood use milti rehti thi. Usne aaj ki mails check ki. Taaza tareen mail uske ticket ki copy aur electronic form tha jo dorm allotment ke liye Haya ne bhar kar bheja tha. Use yeh mail subah mili thi. Woh masroofiyat ke ba'ais padh nahi saka tha. Ab padhne par be ikhtiyar chehre pe muskurahat aa gayi.

Smoking, drinking sab karti hoon. Sakht jhagadalu hoon.

Paagal ladki. Kya, kya likh kar Sabancı walon ko bhej rahi thi. Unhe waqai mein ab ise khoonkhwar qism ki ladkiyon ke saath dorm dena tha. Usne isi muskurahat ke saath sar jhatka aur phir ticket wali mail check ki.

Paanch February ko un dono ladkiyon ki flight thi. Abhi is mein poore do hafte the.

Ab kya karna chahiye usko?

Bil aakhir ek faisle par pohnch kar usne phone uthaya aur Usman Sahab ki extension milayi.

"Hello?"

Usman bey. Aap ne wapas kab aana hai? Bina tamheed ke us ne kaam ki baat poochi. Bilawajah ki tamheedon se to usay nafrat thi.

"Pandrah, bees din tak. Kyun?"

"Pandrah ya bees?"

"Aath February ki flight hai, aap hisaab laga lein, taqriban..." Wo jaise khud bhi ginne lag gaye. "Kya aap Etihad Airways ki paanch February ki flight le sakte hain? Asal mein ek chhota sa masla hai, mere ek dost ki behan apni friend ke sath Istanbul aa rahi hai."

Phir us ne mukhtasir alfaaz mein unko samjhaya ke unke darmiyan kuch family clashws hain. Wo unke bare mein fikarmand hai ke pehli dafa Istanbul aanay ke paish-e-nazar unko yahan koi masla na ho, so wo chahta hai ke Usman Shabbir se unse apna taaruf karwa dein, ta ke agar kabhi mushkil mein wo unse rabta karein, to wo foran Abdul Rehman ko bata dein. Lekin zahir hai, uska naam darmiyan mein nahi aana chahiye. Sakht qism ka ego issue hai.

Mutawaqq tor par, Usman Shabbir ne foran haami bhar li.

Phone rakhte hue wo ab pehle se zyada mutma'in tha. Pata nahi wo kab us se aur mummy se rabta karti hai. Is doran usko kahin koi masla na ho. Wo uski biwi thi. Uski zimmedari, aur agar wo jaan bhi le ke Usman Shabbir, Abdul Rehman Pasha ke kehne pe ye sab kar rahe thay, tab bhi wo ye sab nahi jaan sakti thi ke Abdul Rehman Pasha kaun tha? Aakhir jaan bhi wo kaise sakti thi?

Abdul Rehman Pasha aur Abdul Raheem Pasha, yeh dono Habib Pasha ki pehli biwi ki aulad thay. Habib Pasha rk darmiyani darjay ke Bharati businessman thay. Woh kuch wajoohat ki bina par pehli biwi aur do betiyon ko chor kar kai baras qabl Istanbul agaye thay. Turkey mein unhon ne Ummatullah naam ki khatoon se shadi ki aur phir yahin ke ho kar reh gaye. Un dono ka ek hi beta tha, Tayyib Habib Pasha, alma'roof Pasha hai.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now