part 46

1.6K 47 14
                                    

"Anatolian City mein ek seminar hai, chalogi?" Haale ne dorm ke darwazay se jhank kar usse mukhatib kiya. Woh jo apni kursi par baithi mesa pe phehli kitabon mein manhmik thi, chonk kar palti.

"Abhi to mumkin nahi hai, mere poore do chapters reh gaye hain." Haya ne safhay aage palat kar dekha aur phir nafi mein gardan hilayi.

"Car mein padh lena. Kitab saath le chalo."

"Itna zaroori kya hai?"

"Tum pachtao gi nahi. Likh kar rakh lo," Haale ne musarrat se kaha, to usne kitaab saath rakh li. Puzzle box bhi bag mein daal liya aur bhuni moongphali ka packet jo kalhi D store se layi thi, haath mein pakad liya. "Kapde theek hain?" Usne gardan jhuka kar subah ke pehne hue libas ko dekha. Grey skirt ke saath lime green blouse aur upar grey scarf jo abhi abhi pin up kiya tha. "Haan! Theek hain, chalo." Haale ne purse car ki chabi sambhali. Yeh uska khush qismat din tha ke aaj uske paas car thi.

Woh seminar hotel ke jis hall mein tha, woh hall sab se oopar wale floor par tha. Uski do mutawazi deewarein glass ki bani thi... Hall khacha khach bhar gaya tha. Auratein, ladkiyan aur be had muamar khawateen, khalis naswani mahol tha.

Un dono ko sheeshe ki deewar ke saath jagah mil gayi. Haya ki kursi qataar ki pehli kursi thi, so ab uske daayein taraf glass wall thi aur baayein taraf Hale. Usne moongphali ka packet khol kar darmiyan mein rakh diya tha. Wohi DJ ke saath beech class mein khane ki aadat.

Rostrum ke aqab mein deewar ek khoobsurat banner se dhaki thi, jis par angrezi mein chhapa tha:

Face viel mandatory or Recommended

"Chehre ka hijab, wajib ya mustahabb?"

Usne do ungliyon aur angoothay ko packet mein daal kar chand daane nikaale aur munh mein rakh liye. Woh scarf karle, yeh uske taqwa ki inteha thi. So ab chehre ka niqab wajib tha ya mustahabb, kya farq padta tha? Seminar angrezi mein tha. Suedis sambhaale khadi maroon scarf wali Arabi khatoon angrezi mein hi keh rahi thi.

"Wajib woh cheez hoti hai jo karen to sawab, na karen to gunaah haj, jabke mustahabb woh kaam hain jo karen to sawab, magar na karne pe gunaah nahi hai. Ab is baat par to sab raazi hain ke ladkiyon ka sar aur jism dhakna wajib hai, lekin kya chehra dhakna bhi laazmi hai?"

Haya ke daayein taraf glass wall par achanak se koi parinda takra gaya tha. Woh chaunki. Woh nanhi si chidiya thi jo sheesay se takra kar neeche gir gayi thi.

"Jab main kehti hoon ke chehra dhakna wajib nahi, sirf mustahabb hai to uski wajah woh hadees hai ke jab Hazrat Asma bint Abu Bakr, Rasulullah (صلى الله عليه وسلم) ke paas aayin aur unka libas zara baarik tha to aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke 'Asma! Jab ladki jawan ho jaati hai to siwaye iske aur uske chehre aur haathon ke taraf ishara karke kuch nazar nahi aana chahiye.' Isse zahir hota hai ke chehra khula rehne pe gunaah nahi hota."

Gir gayi chidiya ab sambhal kar farsh par fudak rahi thi. Chand baar usne sheesay ki deewar par panje maar kar chadhne ki koshish ki, magar nakam rahi.

Aur phir jab Hajj ke moqe par ek ladki jo oont par baithi sawar aap se bachay ke Hajj ke baare mein pooch rahi thi to aap (صلى الله عليه وسلم) ke peechay kharay Fazl (رضي الله عنه) laashoori tor par us ladki ke chehre ko dekh rahe the to aap (صلى الله عليه وسلم) ne haath peechay kar ke Fazl (رضي الله عنه) ka chehra doosri taraf phir diya, jabke us ladki ko chehra dhakne ka nahi kaha. Doosri taraf aap (صلى الله عليه وسلم) ke zamane mein azwaj-e-mutahhirat aur sahabiyaat jo hijab odhti thi, woh mustahabb ke darje ka tha, wajib ka nahi. So jo ayat Surah Noor mein hai ke woh apni zinatain chhupayein, siwa uske ke jo khud zahir ho jaye to is "wo jo khud zahir ho jaye" mein surma, anguthi waghera ke sath chehra bhi shamil hai.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now