Bachpan ki yaadein us ke zehan mein bohot tooti phooti, bikhri, madham madham si thi. Bosphorus ka neela samundar, samundari baglay, Jahanagir mein waqeha un ka ghar aur dada. Yeh woh sab the jo bachpan mein us ke saath the. Dada abba ka saath un mein sab se zyada asar angaiz tha.
Woh apne maa baap ka akelota aulaad tha. Shadi ke satween baras milne wali pehli aur aakhri aulaad. Ahmad Shah ka eklota pota. Us ke dada karobar ke silsile mein Turkey aaya karte the. Woh fauj se major retired hue the. Waqt se pehle retirement ki wajah un ki kharab sehat thi. Fauj se ba’izzat taur par retirement ke baad woh apne ek dost ke saath karobar mein shareek ho gaye aur tab hi woh Turkey aaye aur phir aate jaate rahe. Turkey mein un ka ilaaj, jo Pakistan mein mumkin na tha, qadray sasta hota raha.
Jab abba ka tabadla Turkey hua to mummy bhi saath aayi. Dada ne tab hi chand paise jorh kar Jahanagir (Cihangir) ke ilaqe mein zameen khareedi. Woh khush qismati ka daur tha. Abba ne baad mein us jagah ghar banwana shuru kiya. Woh tab hi paida hua tha. Dada ki goya aadhi bimari door ho gayi. Woh tab bohot khush raha karte the. Baaki bachi aadhi bimari ke behtareen ilaaj ki sahulat ke bawajood Istanbul na chhod sake. Us waqt Saltanat-e-Turkiye itni taraqqi yafta nahi thi. Abhi papa ki hukoomat aane mein kaafi dahaiyan thi. Papa yani Tayyip Erdogan. Magar Turkey tab bhi bohot khoobsurat tha.
Abba wapas chale gaye the magar mummy, dada aur woh idhar hi rahe. Dada bigadti sehat ke bawajood karobar mein bohot zyada faida hasil na kar sake, so ghar ke haalaat qadray kharab hote gaye. Kuch arsa pehle ki khushhali rooth gayi. Abba ki tankha par guzara karna to na mumkin si baat lagti thi. Tab hi us ne munmy ko kaam talash karte aur phir naukri karte dekha. Tab woh bohot chhota tha, woh umar jis mein mehnat aur mushakkat ke ma'ni samajh se ba'itar hote hain.
Mummy ek factory mein mamooli mulazmat karne lagi thi. Pata nahi woh kya kaam karti thin magar mulk ke bure haalaat ke bawajood woh naukri un ki taleemi qabilat se kam hi thi. Ghar se jaise qismat hi rooth gayi thi. Dada abba ko karobar mein shadid ghaata hua aur nasazi sehat ke bawajood un ka kaam karna na karna barabar ho gaya, magar woh kaam phir bhi karte the. Woh mehnat karne wale, mazboot haathon wale aur mushakkat karne wale aadmi the. Bazaahir raub daar lagte, magar baat karne par itne hi meherban aur shafiq. Jihan ko woh kabhi bimaar nahi lagte the. Roz subah woh use saath le kar walk par jaya karte the. Woh thak jata, dada nahi thakte the. Woh bohot mazboot, bohot bahadur insaan the. Woh us ke ideal the. Us ke hero.
Bura waqt kam nahi hua, barhta gaya to ek din us ne dada ko afsurdah dekha. Jahanagir wala ghar jo unhone bohot chaah se banwaya tha, unhe bechna pad raha tha.
"Dada! Hum woh ghar kyun chhod rahe hain?" Jab woh walk ke liye baahar nikle, to un ka haath pakad kar chalte hue us ne gardan uthakar unhein dekhte hue poocha tha. Unhone bohot malal se use dekha magar bolay to awaaz mazboot thi.
"Yeh ghar bohot bada hai, hamari zaroorat se bhi zyada. Isko bech kar hum koi chhota ghar le lenge."
"Kya hum naya ghar khareedenge?"
"Nahin beta! Hum abhi is ke mutahmil nahi hain magar tum yeh baat apni maa se mat karna. Tum to jaante ho, yeh jaan kar woh ghamgeen ho jayegi. Kya tumhe raaz rakhne aate hain mere bete?" Usne foran asbat mein sar hilaaya.
"Ji dada! Mujhe raaz rakhne aate hain."
Phir unhone Jahanagir chhod diya aur wo samundar kinare ek purane aur khasta haal jagah par aa basay. Yahan unka ghar chhota aur pehle se kamtar tha. Kiraye ka ghar. Tab uske qareeb phela sahil samundar aaj ki tarah khoobsurat pakka footpath se mazeen nahi hota tha, balki wahan pathron ka kacha paka sa sahil tha. Baglay har waqt wahan phad phadata hue uda karte. Dada kehte the:
"İstanbul masjidon ka sheher hai, lekin Jihan ko woh hamesha baglon ka sheher lagta tha." Apne ghar ki balcony se woh un baglon ko aksar dekha karta tha. Shaam ko wahan baith kar woh unhe yun ginate jaise log taare ginate hain. Woh thak jata, magar baglay khatam na hote.