Paanchvin ghanti par Jihan ki khumar aaluad awaaz gonji.
"Aap ka matlooba number is waqt so raha hai. Barah-e-meherbani, kaafi der baad raabta karein. Shukriya."
Jihan! Utho aur meri baat suno!" Woh jhalla si gayi thi.
"Main bohot thaka hua hoon, mujhe sone do, maine restaurant..."
"Jahannum mein gaya tumhara restaurant. Tum abhi isi waqt Marmara Hotel pohoncho. Abba aaye hue hain aur saath unke doston aur ghairah bhi hain, mujhe akele unse milna acha nahi lag raha." Uski awaaz mein be-basi dar aayi to dar thi.
Saath khadi ladki ab baalon ko unche jode mein bandh rahi thi.
"Main nahi aa raha, mujhe aaram karne do."
"Thik hai. Jahannum mein jao tum aur tumhara restaurant. Woh jin logon ne tumhare restaurant mein toad phod ki thi na, unhone bohot acha kiya tha, tum ho hi isi qabil." Usne zor se button dabakar call cut ki.
Turk ladki ab basin ki slab par rakha scarf utha kar chehre ke gird lapet rahi thi. Haya chand lamhe bekhiyali mein use takti rahi, phir kisi mechanical amal ke tahat usne shaonon pe phaila dupatta utaara aur sar par rakh kar chehre ke gird tang hala bana kar pallu baayein kandhe par daal liya. Sabz dupatta georgette ka tha aur chaaron itraaf se safed moti patti lagi hui thi. Pakistan ka jhanda. Kandhe, aasteen aur kalaiyan tak dupatte mein chhup gayi thi, magar kya woh achi bhi lag rahi thi? Shayad nahi.
Lekin kis ko? Kisi ne usse poocha aur ek dam se uska dil pur sukoon ho gaya. Us waqt woh logon ko achi lagna bhi nahi chahti thi. Woh yeh sab Allah Ta'ala ko raazi karne ke liye nahi kar rahi thi, woh to shayad sirf apna difa kar rahi thi. Neki, Allah ka khauf, use ab bhi unmein se kuch mehsoos nahi hota tha.
"Abba!" Unke aqab mein ja kar usne unhe pukara to woh teenon ek saath palte.
"Oh my child!" Abba khushi se aage bade. Wo ek rasmi muskurahat labon pe sajaye Abba se mili aur Lugari Uncle ko faaslay se salaam kar liya.
"Beta! Ye Lugari hain, mere dost aur ye unke sahib zade hain Waleed."
"Mujhe to aap jaanti hongi, hum pehle mil chuke hain."
Waleed ek mehsooz muskurahat ke saath use dekhte hue bola tha.
"Mujhe yaad nahi, main har kisi ko yaad nahi rakhti." Zara khaai se keh kar woh abba ki taraf mudi aur apni baat ka rad-e-amal aane se pehle hi boli.
"Aap ko kidhar le kar jaun Abba! Istanbul ki sair aap kahan se shuru karna chahenge?"
"Mere khayal se uncle! Istiklal Street chalte hain, uski roshni ke baare mein bahut suna hai." Waleed ki muskurahat zara simti to thi magar woh abhi bhi mayoos nahi hua tha. Istiklal Street ki roshni se uska ishara us jagah ke bars aur night clubs ki taraf hi tha.
"Jahan tum kaho, tum zyada jaanti hogi Istanbul ko." Abba muskara kar bole the.
"Mere khayal se Abba, hum Blue Mosque (Neeli Masjid) chalte hain. Main Jihan ko bhi bata doon." Usne sara programme bana kar mobile pe Jihan ko message karne lagi. Jan bujh kar bhi Jehan ka naam lene ke bawajood bhi in baap betay ne nahi poocha ke kaun Jihan? Use mazeed kufat hui. Usi koft zada andaaz mein usne message likha.
"Hum Blue Mosque, Aya Sofia aur Topkapi ja rahe hain, tum bhi wahan aa jao aur agar tum nahi aaye to main tumse kabhi baat nahi karungi."
"Yeh baat stamp paper par likh kar do!" Foran jawab aaya tha.
"Fine. Ab main tumse waqai kabhi baat nahi karungi."
"To kya text karogi?" Saath ek masoom sa muskurata chehra bhi tha. Usne jawab nahi diya, agar woh saamne hota to woh uski gardan daboch leti.