part 65

1K 32 7
                                    

Aaj se laakhon baras qabal Anatolia ke pahadon, beshumar Hasan Dag aur Erciyes Dag (Dag Turkish mein pahad ko kehte hain) kalaava phata tha aur yun siyal maada in pahadon ki chotiyon se beh kar, ird gird ke maidanon mein door door tak phail gaya. Kai sadiyan us lava ko sookhne mein lag gayi aur qareeban tees lakh baras qabal yeh lava mukammal taur pe khushk toh gaya lekin barish aur katav ke baad yeh apne peeche zameen ke chehre par ek ajeeb o garib ilaqa chhod gaya. Chaand ki sar zameen se mushabaat rakhne wale maidan aur wadiyan jahan hairat angez naqsh o nigar bane reh gaye. Jaise haath se kisi maahir musawwir ne banaye hon.

Cappadocia.. khubsurat ghodon ki sar zameen.

Cappadocia ka pehla naam kisne rakha, is bare mein kai riwayat hain, albatta iska mojooda naam Cappadocia ke baare mein aam raye yeh hai ke yeh Farsi ke "Kat Patu Ke" se nikla hai, yani... (khubsurat ghodon ki sar zameen).

Is khushki aur sabze ke imtizaj liye ilaqe ki mitti ki oopari satah khaasi narm hai, jis ke baais gayi waqt ki Aasai tehzibon ne yahan pahadon ke andar ghar aur church bana liye the. Unki khidkiyan yun hoti thi ke door se lagta jaise kisi pahadi ki bohot si aankhein hon. Zameen ke andar bane saikron sheher aaj bhi yahan maujood the.

Sadiyon purani gharo se bana hua ek suroorat Cappadocia. Mahsan ke kabootaron ki sar zameen.

                   ***************

Cappadocia Turkey ke subay "Nevşehir" mein waqia hai. Ismein chhote chhote sheher the. Jaise Argap aur Goreme waghera. Jahan ghar, ibadat gahen, hotel, sab gharo ki surat bane hue the. Argap se ghanta bhar ki drive par Kayseri ka airport Kayseri Hawalani tha jahan unka jahaz is subah utar gaya tha.

Hum kahaan rahenge Haya? Bahare uska haath pakad ke airport ke lounge mein uske humraah chalte hue baar baar pooch rahi thi.

"Isi hotel mein rahenge na, pehle kuch khaa lete hain."

"Aur agar Abdul Rahman ne phone hi band rakha ho to?"

Is nuqte par pohanch kar uska apna dil doob kar ubhraa. Yeh woh aakhri baat thi jo woh sochna nahi chahti thi. Uske saare numbers band hain. Magar usne koi doosra number on kar rakha hoga aur yaqeenan GPS receiver bhi on hoga. Woh zaroor call karega. Usne Bahare se zyada khud ko tasalli di. Abba aur phupho ko bhi bata diya tha ke woh apni dost ke saath Cappadocia ja rahi hai. Agar usne phupho se raabta kiya to jaan le ga, warna... warna nahi. Woh dono airport ke cafeteria mein aayi aur ek table ke qareeb apna samaan rakh kar kursiyan kheench lein. Aas paas kam log the. Counter saath hi tha aur istiqbaaliya par maujood ladke ke saath do teen nojawan ladke khade hans kar baat kar rahe the. Turkey mein ladkiyon ka tanha safar karna bohot aam si baat thi magar ladke to ladke hote hain. Chand hi lamhe guzre ke woh unki taraf mutawajjah ho gaye. Muskurate hue mud mud kar dekhte hue. Agar use Jihan ko na dhoondna hota to woh kabhi idhar na aati. Jab baar baar unka gardan modna bardasht nahi hua aur Bahare bhi nagawaari se naak sukodne lagi to woh uth khadi hui.

Aap order nahi karegi? Counter wale ladke ne pehle Turk aur phir Bahare ke English please kehne par angrezi mein yahi baat dohraayi taake Haya samajh sake.

Nahi, humein jaana hai. Woh kufat se kehti apna samaan uthane lagi. Pata nahi ab aage kya karna tha. Hale ko bataya nahi tha. So hotels ke baare mein nahi pooch sakti thi.

Aapko hotel chahiye to main madad kar sakta hoon. Ek ladke ne daant nikalate hue peshkash ki. Shukriya... mere paas hotel hai. Woh rakhaayi se keh kar Bahare ka haath pakad ke palatne hi lagi thi ke woh phir bola.

Kaunsa hotel? Jitni tezi se usne poocha tha usse zyada tezi se Haya ke labon se nikla. Yeh upar wala. Usne besakta jaan chhurane ke liye counter pe rakhe guide booklet ki taraf ishaara kiya. Jahan pehle safhe par teen hotels ki tasveerain aur maloomat darj thi. Itne faaslay se usne hotel ka naam to nahi padha, magar woh sab ghair eradi tor pe hua tha.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now