Aahista aahista woh Jihaan Sikandar ke Istanbul mein adjust hoti ja rahi thi.
DJ ki neend aur nesiyaan albata use aajiz kar dete the. DJ ko zara kahin tek mil jati, woh aankhein band karke sone ke liye tayar ho jati aur phir uska bhulakkadpan... Haya jab bhi kuch photocopy karwane jati, use wahan laawaris pade kisi register, kisi notes ke jhathe, kisi kitaab par hamesha shanasai ka gumaan guzarta. Woh use uthakar dekhti to bada bada DJ likha hota tha. Woh har cheez wapas la kar DJ ke sar par maara karti thi. Aur DJ "yeh udhar kaise pohanch gaya" keh kar hansne lag jati.
Sabanci mein unka ek mukhsoos ID card bana tha. Us par tasveer khinchwane ki shart sar aur gardan khuli rakhna tha..Woh mobile ke prepaid card ki tarah thi. Gorsil ka ticket, photocopy ki raqam aur dopehar ke khane ka bill usi card par ada hota tha. Us mein mobile ke easy load ki tarah balance dalwaya jata tha. Unhein un paanch maah mein har mahine ek hazaar euro ka scholarship milna tha, magar chand technical masail ke ba'ais kisi bhi scholarship exchange students ke February ke ek hazaar euro nahi aaye the. Umeed thi ke March mein ekathe do hazaar mil jayenge aur phir aage har mahine baqaidgi se mila karenge. Tab tak Pakistan se aayi raqam se guzara karna tha. So aaj kal sab exchange students ka haath tang tha.
Dopehar ka khana woh Sabanci ke dining hall mein khati thi. Raat ka khana apne kamre mein khud banana hota. Har block mein ek kitchen tha. Jahan par har student apna nashta aur raat ka khana tayar karta tha. Masla yeh tha ke wahan par talba ke liye khusoosi design karda chulhe the. Is khatre ke pesh nazar ke kahin koi padhai mein magan chulhe par kuch rakh ke bhool jaye ya gas khuli chhor de aur nuqsaan ho, woh chulhe automatic the.
Har pandrah minute baad jab chulha khoob garam ho jata to khud bakhud band ho jata. Phir paanch minute baad dobara jal uthta. Unko band hone se rokne ka koi...tariqa na tha. Aur aise bekaar chulhon par desi khana pakaana na mumkin tha. Hostel ke blocks ke qareeb hi ek bohot bara luxury super store "Diasa" tha.
"DIA" uska naam tha aur "SA" Turkish mein store ko kehte the. Woh dono Dia store se rashan latein aur bill aadha aadha taqseem kar leti. Ek raat Haya khana banati aur woh bohot acha sa desi khana hota. Doosri raat DJ ki baari hoti aur jo woh banati, woh kuch bhi hota tha magar khana na hota.
"DJ..mein yeh tumhare sar par ulat doon gi." Woh jab baghair bhuni hui sabzi ka saalan dekhti ya phir uble chawalon pe omelet ke tukde to DJ par khoob chillaya karti thi. Aur phir Turkey ke masalay... woh itne pheeke hote ke Haya chaar chaar chamche bhar ke surkh mirch daalti to ba mushkil zara sa zaiqa aata. Khane uske bhi pheeke hote magar DJ se behtar the. Albata apne kamre mein roz jab subah hoti to DJ bank ki seedhiyan phalang kar utarti aur isi tarah nahar munh khidki mein khadi ho jati. Phir patt khol kar bahar chehra nikaal kar zor se awaaz lagati.
Good morning DJ aur jawab mein door kisi block se ek ladka zor se pukarta..'Tee baee' galiban wo DJ ke alfaz theek se samajh nahi paata tha..DJ roz subah subah yehi amal dohrati...uske teebae kehne ke baad pukarti 'zaleel' aur wo ladka jawaban chillata, da...dee. uske baad Haya kambal se munh nikaal kar cushion uthati aur DJ ko zor se de maarti. Yun uski aur us an dekhe ladke ki guftagu ikhtitam pazeer hoti.
Ghar roz hi baat ho jati thi.
Albata mobile ki registration mein masla hua tha. DJ ka to register ho gaya, magar Haya ke saath hua yun ke uske passport par jahan entry ki tareekh 5 February likhi thi, wahan upar officer ke dastakhat ke ba'ais 5 ka hansa bazahir 6 lag raha tha. Tareekh ka zara sa farq mushkil paida karne laga aur uska phone register na ho saka. Woh Turk SIM us par... istemaal nahi kar sakti thi. Kyun ke haftay ke baad ghair registered phone par Turk SIM block ho jati thi, to Haale ne use apna ek purana mobile set la diya. Aur woh us badsoorat motay bhaday phone ko bardasht karne par majboor ho gayi. Apne mobile par usne apni Pakistani SIM laga di thi. Aur woh roaming par theek chal raha tha.